55
Rab ke pās Āo Tāki Zindagī Pāo
1 “Kyā tum pyāse ho? Āo, sab pānī ke pās āo! Kyā tumhāre pās paise nahīṅ? Idhar āo, saudā ḳharīd kar khānā khāo. Yahāṅ kī mai aur dūdh muft hai. Āo, use paise die baġhair ḳharīdo. 2 Us par paise kyoṅ ḳharch karte ho jo roṭī nahīṅ hai? Jo ser nahīṅ kartā us ke lie mehnat-mashaqqat kyoṅ karte ho? Suno, suno merī bāt! Phir tum achchhī ḳhurāk khāoge, behtarīn khāne se lutfandoz hoge. 3 Kān lagā kar mere pās āo! Suno to jīte rahoge.
Maiṅ tumhāre sāth abadī ahd bāndhūṅgā, tumheṅ un anmiṭ mehrbāniyoṅ se nawāzūṅgā jin kā wādā Dāūd se kiyā thā. 4 Dekh, maiṅ ne muqarrar kiyā ki wuh aqwām ke sāmne merā gawāh ho, ki aqwām kā ra'īs aur hukmrān ho. 5 Dekh, tū aisī qaum ko bulāegā jise tū nahīṅ jāntā, aur tujh se nāwāqif qaum Rab tere Ḳhudā kī ḳhātir tere pās dauṛī chalī āegī. Kyoṅki jo Isrāīl kā Quddūs hai us ne tujhe shān-o-shaukat atā kī hai.”
Merā Kalām Betāsīr Nahīṅ Rahtā
6 Abhī Rab ko talāsh karo jabki use pāyā jā saktā hai. Abhī use pukāro jabki wuh qarīb hī hai. 7 Bedīn apnī burī rāh aur sharīr apne bure ḳhayālāt chhoṛe. Wuh Rab ke pās wāpas āe to wuh us par rahm karegā. Wuh hamāre Ḳhudā ke pās wāpas āe, kyoṅki wuh farāḳhdilī se muāf kar detā hai.
8 Kyoṅki Rab farmātā hai, “Mere ḳhayālāt aur tumhāre ḳhayālāt meṅ aur merī rāhoṅ aur tumhārī rāhoṅ meṅ baṛā farq hai. 9 Jitnā āsmān zamīn se ūṅchā hai utnī hī merī rāheṅ tumhārī rāhoṅ aur mere ḳhayālāt tumhāre ḳhayālāt se buland haiṅ.
10 Bārish aur barf par ġhaur karo! Zamīn par paṛne ke bād yih ḳhālī hāth wāpas nahīṅ ātī balki zamīn ko yoṅ serāb kartī hai ki paude phūṭne aur phalne-phūlne lagte haiṅ balki pakte pakte bīj bone wāle ko bīj aur bhūke ko roṭī muhaiyā karte haiṅ. 11 Mere muṅh se niklā huā kalām bhī aisā hī hai. Wuh ḳhālī hāth wāpas nahīṅ āegā balki merī marzī pūrī karegā aur us meṅ kāmyāb hogā jis ke lie maiṅ ne use bhejā thā.
12 Kyoṅki tum ḳhushī se nikloge, tumheṅ salāmatī se lāyā jāegā. Pahāṛ aur pahāṛiyāṅ tumhāre āne par bāġh bāġh ho kar shādiyānā bajāeṅgī, aur maidān ke tamām daraḳht tāliyāṅ bajāeṅge. 13 Kāṅṭedār jhāṛī kī bajāe jūnīpar kā daraḳht ugegā, aur bichchhūbūṭī kī bajāe mehndī phale phūlegī. Yoṅ Rab ke nām ko jalāl milegā, aur us kī qudrat kā abadī aur anmiṭ nishān qāym hogā.”