Yāqūb
1
Yih ḳhat Allāh aur Ḳhudāwand Īsā Masīh ke ḳhādim Yāqūb kī taraf se hai.
Ġhairyahūdī qaumoṅ meṅ bikhre hue bārah Isrāīlī qabīloṅ ko salām.
Īmān aur Hikmat
Mere bhāiyo, jab āp ko tarah tarah kī āzmāishoṅ kā sāmnā karnā paṛe to apne āp ko ḳhushqismat samjheṅ, kyoṅki āp jānte haiṅ ki āp ke īmān ke āzmāe jāne se sābitqadmī paidā hotī hai. Chunāṅche sābitqadmī ko baṛhne deṅ, kyoṅki jab wuh takmīl tak pahuṅchegī to āp bāliġh aur kāmil ban jāeṅge, aur āp meṅ koī bhī kamī nahīṅ pāī jāegī. Lekin agar āp meṅ se kisī meṅ hikmat kī kamī ho to Allāh se māṅge jo sab ko faiyāzī se aur baġhair jhiṛkī die detā hai. Wuh zarūr āp ko hikmat degā. Lekin apnī guzārish īmān ke sāth pesh kareṅ aur shak na kareṅ, kyoṅki shak karne wālā samundar kī mauj kī mānind hotā hai jo hawā se idhar-udhar uchhaltī bahtī jātī hai. Aisā shaḳhs na samjhe ki mujhe Ḳhudāwand se kuchh milegā, kyoṅki wuh dodilā aur apne har kām meṅ ġhairmustaqilmizāj hai.
Ġhurbat aur Daulat
Pasthāl bhāī Masīh meṅ apne ūṅche martabe par faḳhr kare 10 jabki daulatmand shaḳhs apne adnā martabe par faḳhr kare, kyoṅki wuh janglī phūl kī tarah jald hī jātā rahegā. 11 Jab sūraj tulū hotā hai to us kī jhulsā dene wālī dhūp meṅ paudā murjhā jātā, us kā phūl gir jātā aur us kī tamām ḳhūbsūratī ḳhatm ho jātī hai. Us tarah daulatmand shaḳhs bhī kām karte karte murjhā jāegā.
Āzmāish
12 Mubārak hai wuh jo āzmāish ke waqt sābitqadam rahtā hai, kyoṅki qāym rahne par use zindagī kā wuh tāj milegā jis kā wādā Allāh ne un se kiyā hai jo us se muhabbat rakhte haiṅ. 13 Āzmāish ke waqt koī na kahe ki Allāh mujhe āzmāish meṅ phaṅsā rahā hai. Na to Allāh ko burāī se āzmāish meṅ phaṅsāyā jā saktā hai, na wuh kisī ko phaṅsātā hai. 14 Balki har ek kī apnī burī ḳhāhishāt use khīṅch kar aur uksā kar āzmāish meṅ phaṅsā detī haiṅ. 15 Phir yih ḳhāhishāt hāmilā ho kar gunāh ko janm detī haiṅ aur gunāh bāliġh ho kar maut ko janm detā hai.
16 Mere azīz bhāiyo, fareb mat khānā! 17 Har achchhī nemat aur har achchhā tohfā āsmān se nāzil hotā hai, nūroṅ ke Bāp se, jis meṅ na kabhī tabdīlī ātī hai, na badalte hue sāyoṅ kī-sī hālat pāī jātī hai. 18 Usī ne apnī marzī se hameṅ sachchāī ke kalām ke wasīle se paidā kiyā. Yoṅ ham ek tarah se us kī tamām maḳhlūqāt kā pahlā phal haiṅ.
Sunanā Kāfī Nahīṅ Hai
19 Mere azīz bhāiyo, is kā ḳhayāl rakhnā, har shaḳhs sunane meṅ tez ho, lekin bolne aur ġhussā karne meṅ dhīmā. 20 Kyoṅki insān kā ġhussā wuh rāstbāzī paidā nahīṅ kartā jo Allāh chāhtā hai. 21 Chunāṅche apnī zindagī kī gandī ādateṅ aur sharīr chāl-chalan dūr karke halīmī se kalām-e-muqaddas kā wuh bīj qabūl kareṅ jo āp ke andar boyā gayā hai, kyoṅki yihī āp ko najāt de saktā hai.
22 Kalām-e-muqaddas ko na sirf suneṅ balki us par amal bhī kareṅ, warnā āp apne āp ko fareb deṅge. 23 Jo kalām ko sun kar us par amal nahīṅ kartā wuh us ādmī kī mānind hai jo āīne meṅ apne chehre par nazar ḍāltā hai. 24 Apne āp ko dekh kar wuh chalā jātā hai aur fauran bhūl jātā hai ki maiṅ ne kiyā kuchh dekhā. 25 Us kī nisbat wuh mubārak hai jo āzād karne wālī kāmil sharīat meṅ ġhaur se nazar ḍāl kar us meṅ qāym rahtā hai aur use sunane ke bād nahīṅ bhūltā balki us par amal kartā hai.
26 Kyā āp apne āp ko dīndār samajhte haiṅ? Agar āp apnī zabān par qābū nahīṅ rakh sakte to āp apne āp ko fareb dete haiṅ. Phir āp kī dīndārī kā izhār bekār hai. 27 Ḳhudā Bāp kī nazar meṅ dīndārī kā pāk aur bedāġh izhār yih hai, yatīmoṅ aur bewāoṅ kī dekh-bhāl karnā jab wuh musībat meṅ hoṅ aur apne āp ko duniyā kī ālūdagī se bachāe rakhnā.