3
Isrāīl kī Rab se Bewafāī
1 Rab farmātā hai, “Agar koī apnī bīwī ko talāq de aur alag hone ke bād bīwī kī kisī aur se shādī ho jāe to kyā pahle shauhar ko us se dubārā shādī karne kī ijāzat hai? Hargiz nahīṅ, balki aisī harkat se pūre mulk kī behurmatī ho jātī hai. Dekh, yihī terī hālat hai. Tū ne muta'addid āshiqoṅ se zinā kiyā hai, aur ab tū mere pās wāpas ānā chāhtī hai. Yih kaisī bāt hai?
2 Apnī nazar banjar pahāṛiyoṅ kī taraf uṭhā kar deḳh! Kyā koī jagah hai jahāṅ zinā karne se terī behurmatī nahīṅ huī? Registān meṅ tanhā baiṭhne wāle Baddū kī tarah tū rāstoṅ ke kināre par apne āshiqoṅ kī tāk meṅ baiṭhī rahī hai. Apnī ismatfaroshī aur badkārī se tū ne mulk kī behurmatī kī hai. 3 Isī wajah se bahār meṅ barsāt kā mausam rokā gayā aur bārish nahīṅ paṛī. Lekin afsos, tū kasbī kī-sī peshānī rakhtī hai, tū sharm khāne ke lie taiyār hī nahīṅ. 4 Is waqt bhī tū chīḳhtī-chillātī āwāz detī hai, ‘Ai mere Bāp, jo merī jawānī se merā dost hai, 5 kyā tū hameshā tak mere sāth nārāz rahegā? Kyā terā qahr kabhī ṭhanḍā nahīṅ hogā?’ Yihī tere apne alfāz haiṅ, lekin sāth sāth tū ġhalat kām karne kī har mumkin koshish kartī rahtī hai.”
6 Yūsiyāh Bādshāh kī hukūmat ke daurān Rab mujh se hamkalām huā, “Kyā tū ne wuh kuchh dekhā jo bewafā Isrāīl ne kiyā hai? Us ne har bulandī par aur har ghane daraḳht ke sāye meṅ zinā kiyā hai. 7 Maiṅ ne sochā ki yih sab kuchh karne ke bād wuh mere pās wāpas āegī. Lekin afsos, aisā na huā. Us kī ġhaddār bahan Yahūdāh bhī in tamām wāqiyāt kī gawāh thī. 8 Bewafā Isrāīl kī zinākārī nāqābil-e-bardāsht thī, is lie maiṅ ne use ghar se nikāl kar talāqnāmā de diyā. Phir bhī maiṅ ne dekhā ki us kī ġhaddār bahan Yahūdāh ne ḳhauf na khāyā balki ḳhud nikal kar zinā karne lagī. 9 Isrāīl ko is jurm kī sanjīdagī mahsūs na huī balki us ne patthar aur lakaṛī ke butoṅ ke sāth zinā karke mulk kī behurmatī kī. 10 Is ke bāwujūd us kī bewafā bahan Yahūdāh pūre dil se nahīṅ balki sirf zāhirī taur par mere pās wāpas āī.” Yih Rab kā farmān hai.
Mere Pās Lauṭ Ā
11 Rab mujh se hamkalām huā, “Bewafā Isrāīl ġhaddār Yahūdāh kī nisbat zyādā rāstbāz hai. 12 Jā, shimāl kī taraf dekh kar buland āwāz se elān kar, ‘Ai bewafā Isrāīl, Rab farmātā hai ki wāpas ā! Āindā maiṅ ġhusse se terī taraf nahīṅ dekhūṅgā, kyoṅki maiṅ mehrbān hūṅ. Maiṅ hameshā tak nārāz nahīṅ rahūṅgā. Yih Rab kā farmān hai.
13 Lekin lāzim hai ki tū apnā qusūr taslīm kare. Iqrār kar ki maiṅ Rab apne Ḳhudā se sarkash huī. Maiṅ idhar-udhar ghūm kar har ghane daraḳht ke sāye meṅ ajnabī mābūdoṅ kī pūjā kartī rahī, maiṅ ne Rab kī na sunī.’ ” Yih Rab kā farmān hai. 14 Rab farmātā hai, “Ai bewafā bachcho, wāpas āo, kyoṅki maiṅ tumhārā mālik hūṅ. Maiṅ tumheṅ har jagah se nikāl kar Siyyūn meṅ wāpas lāūṅgā. Kisī shahr se maiṅ ek ko nikāl lāūṅgā, aur kisī ḳhāndān se do afrād ko.
15 Tab maiṅ tumheṅ aise gallābānoṅ se nawāzūṅgā jo merī soch rakheṅge aur jo samajh aur aql ke sāth tumhārī gallābānī kareṅge. 16 Phir tumhārī tādād bahut baṛhegī aur tum chāroṅ taraf phail jāoge.” Rab farmātā hai, “Un dinoṅ meṅ Rab ke ahd ke sandūq kā zikr nahīṅ kiyā jāegā. Na us kā ḳhayāl āegā, na use yād kiyā jāegā. Na us kī kamī mahsūs hogī, na use dubārā banāyā jāegā. 17 Kyoṅki us waqt Yarūshalam ‘Rab kā Taḳht’ kahlāegā, aur us meṅ tamām aqwām Rab ke nām kī tāzīm meṅ jamā ho jāeṅgī. Tab wuh apne sharīr aur ziddī diloṅ ke mutābiq zindagī nahīṅ guzāreṅgī. 18 Tab Yahūdāh kā gharānā Isrāīl ke gharāne ke pās āegā, aur wuh mil kar shimālī mulk se us mulk meṅ wāpas āeṅge jo maiṅ ne tumhāre bāpdādā ko mīrās meṅ diyā thā.
19 Maiṅ ne sochā, kāsh maiṅ tere sāth beṭoṅ kā-sā sulūk karke tujhe ek ḳhushgawār mulk de sakūṅ, ek aisī mīrās jo dīgar aqwām kī nisbat kahīṅ shāndār ho. Maiṅ samjhā ki tum mujhe apnā Bāp ṭhahrā kar apnā muṅh mujh se nahīṅ pheroge. 20 Lekin ai Isrāīlī qaum, tū mujh se bewafā rahī hai, bilkul us aurat kī tarah jo apne shauhar se bewafā ho gaī hai.” Yih Rab kā farmān hai.
21 “Suno! Banjar bulandiyoṅ par chīḳheṅ aur iltijāeṅ sunāī de rahī haiṅ. Isrāīlī ro rahe haiṅ, is lie ki wuh ġhalat rāh iḳhtiyār karke Rab apne Ḳhudā ko bhūl gae haiṅ. 22 Ai bewafā bachcho, wāpas āo tāki maiṅ tumhāre bewafā diloṅ ko shafā de sakūṅ.”
“Ai Rab, ham hāzir haiṅ. Ham tere pās āte haiṅ, kyoṅki tū hī Rab hamārā Ḳhudā hai. 23 Wāqaī, pahāṛiyoṅ aur pahāṛoṅ par butparastī kā tamāshā fareb hī hai. Yaqīnan Rab hamārā Ḳhudā Isrāīl kī najāt hai. 24 Hamārī jawānī se le kar āj tak sharmnāk dewatā hamāre bāpdādā kī mehnat kā phal khāte āe haiṅ, ḳhāh un kī bheṛ-bakriyāṅ aur gāy-bail the, ḳhāh un ke beṭe-beṭiyāṅ. 25 Āo, ham apnī sharm ke bistar par leṭ jāeṅ aur apnī be'izzatī kī razāī meṅ chhup jāeṅ. Kyoṅki ham ne apne bāpdādā samet Rab apne Ḳhudā kā gunāh kiyā hai. Apnī jawānī se le kar āj tak ham ne Rab apne Ḳhudā kī nahīṅ sunī.”