22
Shāhī Mahal Nazar-e-Ātish Ho Jāegā
Rab ne farmāyā, “Shāh-e-Yahūdāh ke mahal ke pās jā kar merā yih kalām sunā, ‘Ai Yahūdāh ke bādshāh, Rab kā farmān sun! Ai tū jo Dāūd ke taḳht par baiṭhā hai, apne mulāzimoṅ aur mahal ke darwāzoṅ meṅ āne wāle logoṅ samet merī bāt par ġhaur kar! Rab farmātā hai ki insāf aur rāstī qāym rakho. Jise lūṭ liyā gayā hai use zālim ke hāth se chhuṛāo. Pardesī, yatīm aur bewā ko mat dabānā, na un se ziyādatī karnā, aur is jagah bequsūr logoṅ kī ḳhūṅrezī mat karnā. Agar tum ehtiyāt se is par amal karo to āindā bhī Dāūd kī nasl ke bādshāh apne afsaroṅ aur riāyā ke sāth rathoṅ aur ghoṛoṅ par sawār ho kar is mahal meṅ dāḳhil hoṅge. Lekin agar tum merī in bātoṅ kī na suno to mere nām kī qasam! Yih mahal malbe kā ḍher ban jāegā. Yih Rab kā farmān hai.
Kyoṅki Rab Shāh-e-Yahūdāh ke mahal ke bāre meṅ farmātā hai ki tū Jiliyād jaisā ḳhushgawār aur Lubnān kī choṭī jaisā ḳhūbsūrat thā. Lekin ab maiṅ tujhe bayābān meṅ badal dūṅgā, tū ġhairābād shahr kī mānind ho jāegā. Maiṅ ādmiyoṅ ko tujhe tabāh karne ke lie maḳhsūs karke har ek ko hathiyār se lais karūṅga, aur wuh deodār ke tere umdā shahtīroṅ ko kāṭ kar āg meṅ jhoṅk deṅge. Tab muta'addid qaumoṅ ke afrād yahāṅ se guzar kar pūchheṅge ki Rab ne is jaise baṛe shahr ke sāth aisā sulūk kyoṅ kiyā? Unheṅ jawāb diyā jāegā, wajah yih hai ki inhoṅ ne Rab apne Ḳhudā kā ahd tark karke ajnabī mābūdoṅ kī pūjā aur ḳhidmat kī hai.’ ”
Yahuāḳhaz Bādshāh Wāpas Nahīṅ Āegā
10 Is lie giryā-o-zārī na karo ki Yūsiyāh Bādshāh kūch kar gayā hai balki us par mātam karo jise jilāwatan kiyā gayā hai, kyoṅki wuh kabhī wāpas nahīṅ āegā, kabhī apnā watan dubārā nahīṅ dekhegā.
11 Kyoṅki Rab Yūsiyāh ke beṭe aur jānashīn Sallūm yānī Yahuāḳhaz ke bāre meṅ farmātā hai, “Yahuāḳhaz yahāṅ se chalā gayā hai aur kabhī wāpas nahīṅ āegā. 12 Jahāṅ use giriftār karke pahuṅchāyā gayā hai wahīṅ wuh wafāt pāegā. Wuh yih mulk dubārā kabhī nahīṅ dekhegā.
Yahūyaqīm par Ilzām
13 Yahūyaqīm Bādshāh par afsos jo nājāyz tarīqe se apnā ghar tāmīr kar rahā hai, jo nāinsāfī se us kī dūsrī manzil banā rahā hai. Kyoṅki wuh apne hamwatanoṅ ko muft meṅ kām karne par majbūr kar rahā hai aur unheṅ un kī mehnat kā muāwazā nahīṅ de rahā. 14 Wuh kahtā hai, ‘Maiṅ apne lie kushādā mahal banwā lūṅgā jis kī dūsrī manzil par baṛe baṛe kamre hoṅge. Maiṅ ghar meṅ baṛī khiṛkiyāṅ banwā kar dīwāroṅ ko deodār kī lakaṛī se ḍhāṅp dūṅgā. Is ke bād maiṅ use surḳh rang se ārāstā karūṅga.’ 15 Kyā deodār kī shāndār imārateṅ banwāne se yih sābit hotā hai ki tū bādshāh hai? Hargiz nahīṅ! Tere bāp ko bhī khāne-pīne kī har chīz muyassar thī, lekin us ne is kā ḳhayāl kiyā ki insāf aur rāstī qāym rahe. Natīje meṅ use barkat milī. 16 Us ne tawajjuh dī ki ġharīboṅ aur zarūratmandoṅ kā haq mārā na jāe, isī lie use kāmyābī hāsil huī.” Rab farmātā hai, “Jo isī tarah zindagī guzāre wuhī mujhe sahīh taur par jāntā hai. 17 Lekin tū farq hai. Terī āṅkheṅ aur dil nājāyz nafā kamāne par tule rahte haiṅ. Na tū bequsūr ko qatl karne se, na zulm karne yā jabran kuchh lene se jhijaktā hai.”
18 Chunāṅche Rab Yahūdāh ke bādshāh Yahūyaqīm bin Yūsiyāh ke bāre meṅ farmātā hai, “Log us par mātam nahīṅ kareṅge ki ‘Hāy mere bhāī, hāy merī bahan,’ na wuh ro kar kaheṅge, ‘Hāy, mere āqā! Hāy, us kī shān jātī rahī hai.’ 19 Is ke bajāe use gadhe kī tarah dafnāyā jāegā. Log use ghasīṭ kar bāhar Yarūshalam ke darwāzoṅ se kahīṅ dūr phaiṅk deṅge.
Yahūyākīn Bādshāh ko Dushman ke Hawāle Kiyā Jāegā
20 Ai Yarūshalam, Lubnān par chaṛh kar zār-o-qatār ro! Basan kī bulandiyoṅ par jā kar chīḳheṅ mār! Abārīm ke pahāṛoṅ kī choṭiyoṅ par āh-o-zārī kar! Kyoṅki tere tamām āshiq *Āshiq se murād Yahūdāh ke ittahādī haiṅ. pāsh pāsh ho gae haiṅ. 21 Maiṅ ne tujhe us waqt āgāh kiyā thā jab tū sukūn se zindagī guzār rahī thī, lekin tū ne kahā, ‘Maiṅ nahīṅ sunūṅgī.’ Terī jawānī se hī terā yihī rawaiyā rahā. Us waqt se le kar āj tak tū ne merī nahīṅ sunī. 22 Tere tamām gallābānoṅ ko āṅdhī uṛā le jāegī, aur tere āshiq jilāwatan ho jāeṅge. Tab tū apnī burī harkatoṅ ke bāis sharmindā ho jāegī, kyoṅki terī ḳhūb ruswāī ho jāegī. 23 Beshak is waqt tū Lubnān meṅ rahtī hai aur terā baserā deodār ke daraḳhtoṅ meṅ hai. Lekin jald hī tū āheṅ bhar bhar kar dard-e-zah meṅ mubtalā ho jāegī, tū janm dene wālī aurat kī tarah pech-o-tāb khāegī.”
24 Rab farmātā hai, “Ai Yahūdāh ke bādshāh Yahūyākīn bin Yahūyaqīm, merī hayāt kī qasam! Ḳhāh tū mere dahne hāth kī muhrdār angūṭhī kyoṅ na hotā to bhī maiṅ tujhe utār kar phaiṅk detā. Ibrānī meṅ Yahūyākīn kā mutarādif Kūniyāh mustāmal hai. 25 Maiṅ tujhe us jānī dushman ke hawāle karūṅga jis se tū ḍartā hai yānī Bābal ke bādshāh Nabūkadnazzar aur us kī qaum ke hawāle. 26 Maiṅ tujhe terī māṅ samet ek ajnabī mulk meṅ phaiṅk dūṅgā. Jahāṅ tum paidā nahīṅ hue wahīṅ wafāt pāoge. 27 Tum watan meṅ wāpas āne ke shadīd ārzūmand hoge lekin us meṅ kabhī nahīṅ lauṭoge.”
28 Log etarāz karte haiṅ, “Kyā yih ādmī Yahūyākīn Ibrānī meṅ Yahūyākīn kā mutarādif Kūniyāh mustāmal hai. wāqaī aisā haqīr aur ṭūṭā-phūṭā bartan hai jo kisī ko bhī pasand nahīṅ ātā? Use apne bachchoṅ samet kyoṅ zor se nikāl kar kisī nāmālūm mulk meṅ phaiṅk diyā jāegā?”
29 Ai mulk, ai mulk, ai mulk! Rab kā paiġhām sun! 30 Rab farmātā hai, “Rajisṭar meṅ darj karo ki yih ādmī beaulād hai, ki yih umr-bhar nākām rahegā. Kyoṅki us ke bachchoṅ meṅ se koī Dāūd ke taḳht par baiṭh kar Yahūdāh kī hukūmat karne meṅ kāmyāb nahīṅ hogā.”

*22:20 Āshiq se murād Yahūdāh ke ittahādī haiṅ.

22:24 Ibrānī meṅ Yahūyākīn kā mutarādif Kūniyāh mustāmal hai.

22:28 Ibrānī meṅ Yahūyākīn kā mutarādif Kūniyāh mustāmal hai.