42
Yarmiyāh Misr na Jāne kā Mashwarā Detā Hai
1 Yūhanān bin Qarīh, Yazaniyāh bin Hūsāyāh aur dīgar faujī afsar bāqī tamām logoṅ ke sāth chhoṭe se le kar baṛe tak 2 Yarmiyāh Nabī ke pās āe aur kahne lage, “Hamārī minnat qabūl kareṅ aur Rab apne Ḳhudā se hamāre lie duā kareṅ. Āp ḳhud dekh sakte haiṅ ki go ham pahle muta'addid log the, lekin ab thoṛe hī rah gae haiṅ. 3 Duā kareṅ ki Rab āp kā Ḳhudā hameṅ dikhāe ki ham kahāṅ jāeṅ aur kyā kuchh kareṅ.”
4 Yarmiyāh ne jawāb diyā, “Ṭhīk hai, maiṅ duā meṅ zarūr Rab āp ke Ḳhudā ko āp kī guzārish pesh karūṅga. Aur jo bhī jawāb Rab de wuh maiṅ lafz balafz āp ko batā dūṅgā. Maiṅ āp ko kisī bhī bāt se mahrūm nahīṅ rakhūṅgā.” 5 Unhoṅ ne kahā, “Rab hamārā wafādār aur qābil-e-etamād gawāh hai. Agar ham har bāt par amal na kareṅ jo Rab āp kā Ḳhudā āp kī mārifat ham par nāzil karegā to wuhī hamāre ḳhilāf gawāhī de. 6 Ḳhāh uskī hidāyat hameṅ achchhī lage yā burī, ham Rab apne Ḳhudā kī suneṅge jis ke pās ham āpko bhej rahe haiṅ tāki hamārī salāmatī ho. Ham to zarūr Rab apne Ḳhudā kī suneṅge.”
7 Das din guzarne ke bād Rab kā kalām Yarmiyāh par nāzil huā. 8 Us ne Yūhanān, us ke sāthī afsaroṅ aur bāqī tamām logoṅ ko chhoṭe se le kar baṛe tak apne pās bulā kar 9 kahā, “Āp ne mujhe Rab Isrāīl ke Ḳhudā ke pās bhejā tāki maiṅ āp kī guzārish us ke sāmne lāūṅ. Ab us kā farmān suneṅ! 10 ‘Agar tum is mulk meṅ raho to maiṅ tumheṅ nahīṅ girāūṅgā balki tāmīr karūṅga, tumheṅ jaṛ se nahīṅ ukhāṛūṅgā balki panīrī kī tarah lagā dūṅgā. Kyoṅki mujhe us musībat par afsos hai jis meṅ maiṅ ne tumheṅ mubtalā kiyā hai. 11 Is waqt tum Shāh-e-Bābal se ḍarte ho, lekin us se ḳhauf mat khānā!’ Rab farmātā hai, ‘Us se dahshat na khāo, kyoṅki maiṅ tumhāre sāth hūṅ aur tumhārī madad karke us ke hāth se chhuṭkārā dūṅgā. 12 Maiṅ tum par rahm karūṅga, is lie wuh bhī tum par rahm karke tumheṅ tumhāre mulk meṅ wāpas āne degā.
13 Lekin agar tum Rab apne Ḳhudā kī sunane ke lie taiyār na ho balki kaho ki ham is mulk meṅ nahīṅ raheṅge 14 balki Misr jāeṅge jahāṅ na jang dekheṅge, na jangī narsinge kī āwāz suneṅge aur na bhūke raheṅge 15 to Rab kā jawāb suno! Ai Yahūdāh ke bache hue logo, Rab Isrāīl kā Ḳhudā farmātā hai ki agar tum Misr meṅ jā kar wahāṅ panāh lene par tule hue ho 16 to yaqīn jāno ki jis talwār aur kāl se tum ḍarte ho wuh wahīṅ Misr meṅ tumhārā pīchhā kartā rahegā. Wahāṅ jā kar tum yaqīnan maroge. 17 Jitne bhī Misr jā kar wahāṅ rahne par tule hue hoṅ wuh sab talwār, kāl aur mohlak bīmāriyoṅ kī zad meṅ ā kar mar jāeṅge. Jis musībat meṅ maiṅ unheṅ ḍāl dūṅgā us se koī nahīṅ bachegā.’
18 Kyoṅki Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai, ‘Pahle merā saḳht ġhazab Yarūshalam ke bāshindoṅ par nāzil huā. Agar tum Misr jāo to merā ġhazab tum par bhī nāzil hogā. Tumheṅ dekh kar logoṅ ke roṅgṭe khaṛe ho jāeṅge, aur tum un kī lān-tān aur hiqārat kā nishānā banoge. Lānat karne wālā apne dushmanoṅ ke lie tumhāre jaisā anjām chāhegā. Jahāṅ tak tumhāre watan kā tālluq hai, tum use āindā kabhī nahīṅ dekhoge.’
19 Ai Yahūdāh ke bache hue logo, ab Rab āp se hamkalām huā hai. Us kā jawāb sāf hai. Misr ko mat jānā! Yih bāt ḳhūb jān leṅ ki āj maiṅ ne āp ko āgāh kar diyā hai. 20 Āpne apne āpko saḳht dhokā diyā hai. Kyoṅki āp hī ne mujhe Rab apne Ḳhudā ke pās bhej kar kahā, ‘Rab hamāre Ḳhudā se hamāre lie duā kareṅ. Jo bhī wuh farmāe wuh hameṅ batāeṅ to ham us par amal kareṅge.’ 21 Āj maiṅ ne yih kiyā hai, lekin āp Rab apne Ḳhudā kī sunane ke lie taiyār nahīṅ haiṅ. Jo kuchh bhī us ne mujhe āp ko sunāne ko kahā hai us par āp amal nahīṅ karnā chāhte. 22 Chunāṅche ab jān leṅ ki jahāṅ āp jā kar panāh lenā chāhte haiṅ wahāṅ āp talwār, kāl aur mohlak bīmāriyoṅ kī zad meṅ ā kar halāk ho jāeṅge.”