44
Tum Butparastī se Bāz Kyoṅ Nahīṅ Āte?
Rab kā kalām ek bār phir Yarmiyāh par nāzil huā. Us meṅ wuh un tamām hamwatanoṅ se hamkalām huā jo shimālī Misr ke shahroṅ Mijdāl, Tahfanhīs aur Memfis aur junūbī Misr banām Patrūs meṅ rahte the.
“Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai, ‘Tum ne ḳhud wuh baṛī āfat dekhī jo maiṅ Yarūshalam aur Yahūdāh ke dīgar tamām shahroṅ par lāyā. Āj wuh wīrān-o-sunsān haiṅ, aur un meṅ koī nahīṅ bastā. Yoṅ unheṅ un kī burī harkatoṅ kā ajr milā. Kyoṅki ajnabī mābūdoṅ ke lie baḳhūr jalā kar un kī ḳhidmat karne se unhoṅ ne mujhe taish dilāyā. Aur yih aise dewatā the jin se pahle na wuh, na tum aur na tumhāre bāpdādā wāqif the. Bār bār maiṅ nabiyoṅ ko un ke pās bhejtā rahā, aur bār bār mere ḳhādim kahte rahe ki aisī ghinaunī harkateṅ mat karnā, kyoṅki mujhe in se nafrat hai! Lekin unhoṅ ne na sunī, na dhyān diyā. Na wuh apnī bedīnī se bāz āe, na ajnabī mābūdoṅ ko baḳhūr jalāne kā silsilā band kiyā.
Tab merā shadīd ġhazab un par nāzil huā. Mere qahr kī zabardast āg ne Yahūdāh ke shahroṅ aur Yarūshalam kī galiyoṅ meṅ phailte phailte unheṅ wīrān-o-sunsān kar diyā. Āj tak un kā yihī hāl hai.’
Ab Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai, ‘Tum apnā satyānās kyoṅ kar rahe ho? Aise qadam uṭhāne se tum Yahūdāh se āe hue mardoṅ aur auratoṅ ko bachchoṅ aur shīrḳhāroṅ samet halākat kī taraf lā rahe ho. Is sūrat meṅ ek bhī nahīṅ bachegā. Mujhe apne hāthoṅ ke kām se taish kyoṅ dilāte ho? Yahāṅ Misr meṅ panāh le kar tum ajnabī mābūdoṅ ke lie baḳhūr kyoṅ jalāte ho? Is se tum apne āp ko nest-o-nābūd kar rahe ho, tum duniyā kī tamām qaumoṅ ke lie lānat aur mazāq kā nishānā banoge. Kyā tumheṅ wuh burāiyāṅ yād nahīṅ jo tumhāre bāpdādā, Yahūdāh ke rājā-rāniyoṅ aur tum se tumhārī bīwiyoṅ samet Mulk-e-Yahūdāh aur Yarūshalam kī galiyoṅ meṅ sarzad huī haiṅ? 10 Āj tak tum ne na inkisārī kā izhār kiyā, na merā ḳhauf mānā, aur na merī sharīat ke mutābiq zindagī guzārī. Tum un hidāyāt ke tābe na rahe jo maiṅ ne tumheṅ aur tumhāre bāpdādā ko atā kī thīṅ.’
11 Chunāṅche Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai, ‘Maiṅ tum par āfat lāne kā aṭal irādā rakhtā hūṅ. Tamām Yahūdāh ḳhatm ho jāegā. 12 Maiṅ Yahūdāh ke us bache hue hisse ko safhā-e-hastī se miṭā dūṅgā jo Misr meṅ jā kar panāh lene par tulā huā thā. Sab Misr meṅ halāk ho jāeṅge, ḳhāh talwār se, ḳhāh kāl se. Chhoṭe se le kar baṛe tak sab ke sab talwār yā kāl kī zad meṅ ā kar mar jāeṅge. Unheṅ dekh kar logoṅ ke roṅgṭe khaṛe ho jāeṅge, aur wuh dūsroṅ kī lān-tān aur hiqārat kā nishānā baneṅge. Lānat karne wālā apne dushmanoṅ ke lie unhīṅ kā-sā anjām chāhegā. 13 Jis tarah maiṅ ne Yarūshalam ko sazā dī ain usī tarah maiṅ Misr meṅ āne wāle hamwatanoṅ ko talwār, kāl aur mohlak bīmāriyoṅ se sazā dūṅgā. 14 Yahūdāh ke jitne bache hue log yahāṅ Misr meṅ panāh lene ke lie āe haiṅ wuh sab yihīṅ halāk ho jāeṅge. Koī bhī bach kar Mulk-e-Yahūdāh meṅ nahīṅ lauṭegā, go tum sab wahāṅ dubārā ābād hone kī shadīd ārzū rakhte ho. Sirf chand ek is meṅ kāmyāb ho jāeṅge.’ ”
Āsmānī Malikā kī Pūjā par Zid
15 Us waqt junūbī Misr meṅ rahne wāle Yahūdāh ke tamām mard aur aurateṅ ek baṛe ijtimā ke lie jamā hue the. Mardoṅ ko ḳhūb mālūm thā ki hamārī bīwiyāṅ ajnabī mābūdoṅ ko baḳhūr kī qurbāniyāṅ pesh kartī haiṅ. Ab unhoṅ ne Yarmiyāh se kahā, 16 “Jo bāt āp ne Rab kā nām le kar ham se kī hai wuh ham nahīṅ mānte. 17 Ham un tamām bātoṅ par zarūr amal kareṅge jo ham ne kahī haiṅ. Ham āsmānī malikā dewī ke lie baḳhūr jalāeṅge aur use mai kī nazareṅ pesh kareṅge. Ham wuhī kuchh kareṅge jo ham, hamāre bāpdādā, hamāre bādshāh aur hamāre buzurg Mulk-e-Yahūdāh aur Yarūshalam kī galiyoṅ meṅ kiyā karte the. Kyoṅki us waqt roṭī kī kasrat thī aur hamārā achchhā hāl thā. Us waqt ham kisī bhī musībat se dochār na hue. 18 Lekin jab se ham āsmānī malikā ko baḳhūr aur mai kī nazareṅ pesh karne se bāz āe haiṅ us waqt se har lihāz se hājatmand rahe haiṅ. Usī waqt se ham talwār aur kāl kī zad meṅ ā kar nest ho rahe haiṅ.” 19 Auratoṅ ne bāt jārī rakh kar kahā, “Kyā āp samajhte haiṅ ki hamāre shauharoṅ ko is kā ilm nahīṅ thā ki ham āsmānī malikā ko baḳhūr aur mai kī nazareṅ pesh kartī haiṅ, ki ham us kī shakl kī ṭikkiyāṅ banā kar us kī pūjā kartī haiṅ?”
Chand Ek ke Bachne kī Peshgoī
20 Yarmiyāh etarāz karne wāle tamām mardoṅ aur auratoṅ se dubārā muḳhātib huā, 21 “Dekho, Rab ne us baḳhūr par dhyān diyā jo tum aur tumhāre bāpdādā ne bādshāhoṅ, buzurgoṅ aur awām samet Yahūdāh ke shahroṅ aur Yarūshalam kī galiyoṅ meṅ jalāyā hai. Yih bāt use ḳhūb yād hai. 22 Āḳhirkār ek waqt āyā jab tumhārī sharīr aur ghinaunī harkateṅ qābil-e-bardāsht na rahīṅ, aur Rab ko tumheṅ sazā denī paṛī. Yihī wajah hai ki āj tumhārā mulk wīrān-o-sunsān hai, ki use dekh kar logoṅ ke roṅgṭe khaṛe ho jāte haiṅ. Lānat karne wālā apne dushman ke lie aisā hī anjām chāhtā hai. 23 Āfat isī lie tum par āī ki tum ne butoṅ ke lie baḳhūr jalā kar Rab kī na sunī. Na tum ne us kī sharīat ke mutābiq zindagī guzārī, na us kī hidāyāt aur ahkām par amal kiyā. Āj tak mulk kā yihī hāl rahā hai.”
24 Phir Yarmiyāh ne tamām logoṅ se auratoṅ samet kahā, “Ai Misr meṅ rahne wāle Yahūdāh ke tamām hamwatano, Rab kā kalām suno! 25 Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai ki tum aur tumhārī bīwiyoṅ ne isrār kiyā hai, ‘Ham zarūr apnī un mannatoṅ ko pūrā kareṅge jo ham ne mānī haiṅ, ham zarūr āsmānī malikā ko baḳhūr aur mai kī nazareṅ pesh kareṅge.’ Aur tum ne apne alfāz aur apnī harkatoṅ se sābit kar diyā hai ki tum sanjīdagī se apne is elān par amal karnā chāhte ho. To ṭhīk hai, apnā wādā aur apnī mannateṅ pūrī karo!
26 Lekin ai Misr meṅ rahne wāle tamām hamwatano, Rab ke kalām par dhyān do! Rab farmātā hai ki mere azīm nām kī qasam, āindā Misr meṅ tum meṅ se koī merā nām le kar qasam nahīṅ khāegā, koī nahīṅ kahegā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq kī hayāt kī qasam!’ 27 Kyoṅki maiṅ tumhārī nigarānī kar rahā hūṅ, lekin tum par mehrbānī karne ke lie nahīṅ balki tumheṅ nuqsān pahuṅchāne ke lie. Misr meṅ rahne wāle Yahūdāh ke tamām log talwār aur kāl kī zad meṅ ā jāeṅge aur piste piste halāk ho jāeṅge. 28 Sirf chand ek dushman kī talwār se bach kar Mulk-e-Yahūdāh wāpas āeṅge. Tab Yahūdāh ke jitne bache hue log Misr meṅ panāh lene ke lie āe haiṅ wuh sab jān leṅge ki kis kī bāt durust niklī hai, merī yā un kī. 29 Rab farmātā hai ki maiṅ tumheṅ nishān bhī detā hūṅ tāki tumheṅ yaqīn ho jāe ki maiṅ tumhāre ḳhilāf ḳhālī bāteṅ nahīṅ kar rahā balki tumheṅ yaqīnan Misr meṅ sazā dūṅgā. 30 Nishān yih hogā ki jis tarah maiṅ ne Yahūdāh ke bādshāh Sidqiyāh ko us ke jānī dushman Nabūkadnazzar ke hawāle kar diyā usī tarah maiṅ Hufrā Firaun ko bhī us ke jānī dushmanoṅ ke hawāle kar dūṅgā. Yih Rab kā farmān hai.”