40
Ayyūb Rab ko Jawāb Nahīṅ De Saktā
1 Rab ne Ayyūb se pūchhā,
2 “Kyā malāmat karne wālā adālat meṅ Qādir-e-mutlaq se jhagaṛnā chāhtā hai? Allāh kī sarzanish karne wālā use jawāb de!”
3 Tab Ayyūb ne jawāb de kar Rab se kahā,
4 “Maiṅ to nālāyq hūṅ, maiṅ kis tarah tujhe jawāb dūṅ? Maiṅ apne muṅh par hāth rakh kar ḳhāmosh rahūṅgā. 5 Ek bār maiṅ ne bāt kī aur is ke bād mazīd ek dafā, lekin ab se maiṅ jawāb meṅ kuchh nahīṅ kahūṅgā.”
Allāh kā Jawāb: Kyā Tujhe Merī Jaisī Qudrat Hāsil Hai?
6 Tab Allāh tūfān meṅ se Ayyūb se hamkalām huā,
7 “Mard kī tarah kamarbastā ho jā! Maiṅ tujh se sawāl karūṅ aur tū mujhe tālīm de. 8 Kyā tū wāqaī merā insāf mansūḳh karke mujhe mujrim ṭhahrānā chāhtā hai tāki ḳhud rāstbāz ṭhahre? 9 Kyā terā bāzū Allāh ke bāzū jaisā zorāwar hai? Kyā terī āwāz us kī āwāz kī tarah kaṛaktī hai. 10 Ā, apne āp ko shān-o-shaukat se ārāstā kar, izzat-o-jalāl se mulabbas ho jā! 11 Ba-yak-waqt apnā shadīd qahr muḳhtalif jaghoṅ par nāzil kar, har maġhrūr ko apnā nishānā banā kar use ḳhāk meṅ milā de. 12 Har mutakabbir par ġhaur karke use past kar. Jahāṅ bhī bedīn ho wahīṅ use kuchal de. 13 Un sab ko miṭṭī meṅ chhupā de, unheṅ rassoṅ meṅ jakaṛ kar kisī ḳhufiyā jagah giriftār kar. 14 Tab hī maiṅ terī tārīf karke mān jāūṅgā ki terā dahnā hāth tujhe najāt de saktā hai.
Allāh kī Qudrat aur Hikmat kī Do Misāleṅ
15 Bahemot *Sāinsdān muttafiq nahīṅ ki yih kaun-sā jānwar thā. par ġhaur kar jise maiṅ ne tujhe ḳhalaq karte waqt banāyā aur jo bail kī tarah ghās khātā hai. 16 Us kī kamr meṅ kitnī tāqat, us ke peṭ ke paṭṭhoṅ meṅ kitnī quwwat hai. 17 Wuh apnī dum ko deodār ke daraḳht kī tarah laṭakne detā hai, us kī rānoṅ kī naseṅ mazbūtī se ek dūsrī se juṛī huī haiṅ. 18 Us kī haḍḍiyāṅ pītal ke-se pāyp, lohe ke-se sarī'e haiṅ. 19 Wuh Allāh ke kāmoṅ meṅ se awwal hai, us ke Ḳhāliq hī ne use us kī talwār dī. 20 Pahāṛiyāṅ use apnī paidāwār pesh kartī, khule maidān ke tamām jānwar wahāṅ khelte kūdte haiṅ. 21 Wuh kāṅṭedār jhāṛiyoṅ ke nīche ārām kartā, sarkanḍoṅ aur daldal meṅ chhupā rahtā hai. 22 Ḳhārdār jhāṛiyāṅ us par sāyā ḍāltī aur nadī ke safedā ke daraḳht use ghere rakhte haiṅ. 23 Jab dariyā sailāb kī sūrat iḳhtiyār kare to wuh nahīṅ bhāgtā. Go Dariyā-e-Yardan us ke muṅh par phūṭ paṛe to bhī wuh apne āp ko mahfūz samajhtā hai. 24 Kyā koī us kī āṅkhoṅ meṅ ungliyāṅ ḍāl kar use pakaṛ saktā hai? Agar use phande meṅ pakaṛā bhī jāe to kyā koī us kī nāk ko chhed saktā hai? Hargiz nahīṅ!