42
Ayyūb kī Āḳhirī Bāt
1 Tab Ayyūb ne jawāb meṅ Rab se kahā,
2 “Maiṅ ne jān liyā hai ki tū sab kuchh kar pātā hai, ki terā koī bhī mansūbā rokā nahīṅ jā saktā. 3 Tū ne farmāyā, ‘Yih kaun hai jo samajh se ḳhālī bāteṅ karne se mere mansūbe ke sahīh matlab par pardā ḍāltā hai?’ Yaqīnan maiṅ ne aisī bāteṅ bayān kīṅ jo merī samajh se bāhar haiṅ, aisī bāteṅ jo itnī anokhī haiṅ ki maiṅ un kā ilm rakh hī nahīṅ saktā. 4 Tū ne farmāyā, ‘Sun merī bāt to maiṅ bolūṅgā. Maiṅ tujh se sawāl kartā hūṅ, aur tū mujhe tālīm de.’ 5 Pahle maiṅ ne tere bāre meṅ sirf sunā thā, lekin ab merī apnī āṅkhoṅ ne tujhe dekhā hai. 6 Is lie maiṅ apnī bāteṅ mustarad kartā, apne āp par ḳhāk aur rākh ḍāl kar taubā kartā hūṅ.”
Ayyūb Apne Dostoṅ kī Shafā'at Kartā Hai
7 Ayyūb se yih tamām bāteṅ kahne ke bād Rab Ilīfaz Temānī se hamkalām huā, “Maiṅ tujh se aur tere do dostoṅ se ġhusse hūṅ, kyoṅki go mere bande Ayyūb ne mere bāre meṅ durust bāteṅ kīṅ magar tum ne aisā nahīṅ kiyā. 8 Chunāṅche ab sāt jawān bail aur sāt menḍhe le kar mere bande Ayyūb ke pās jāo aur apnī ḳhātir bhasm hone wālī qurbānī pesh karo. Lāzim hai ki Ayyūb tumhārī shafā'at kare, warnā maiṅ tumheṅ tumhārī hamāqat kā pūrā ajr dūṅgā. Lekin us kī shafā'at par maiṅ tumheṅ muāf karūṅga, kyoṅki mere bande Ayyūb ne mere bāre meṅ wuh kuchh bayān kiyā jo sahīh hai jabki tum ne aisā nahīṅ kiyā.”
9 Ilīfaz Temānī, Bildad Sūḳhī aur Zūfar Nāmātī ne wuh kuchh kiyā jo Rab ne unheṅ karne ko kahā thā to Rab ne Ayyūb kī sunī.
10 Aur jab Ayyūb ne dostoṅ kī shafā'at kī to Rab ne use itnī barkat dī ki āḳhirkār use pahle kī nisbat dugnī daulat hāsil huī. 11 Tab us ke tamām bhāī-bahneṅ aur purāne jānane wāle us ke pās āe aur ghar meṅ us ke sāth khānā khā kar us āfat par afsos kiyā jo Rab Ayyūb par lāyā thā. Har ek ne use tasallī de kar use ek sikkā aur sone kā ek chhallā de diyā.
12 Ab se Rab ne Ayyūb ko pahle kī nisbat kahīṅ zyādā barkat dī. Use 14,000 bakriyāṅ, 6,000 ūṅṭ, bailoṅ kī 1,000 joṛiyāṅ aur 1,000 gadhiyāṅ hāsil huīṅ. 13 Nīz, us ke mazīd sāt beṭe aur tīn beṭiyāṅ paidā huīṅ. 14 Us ne beṭiyoṅ ke yih nām rakhe: pahlī kā nām Yamīmā, dūsrī kā Qasiyah aur tīsrī kā Qaran-happūk. 15 Tamām mulk meṅ Ayyūb kī beṭiyoṅ jaisī ḳhūbsūrat ḳhawātīn pāī nahīṅ jātī thīṅ. Ayyūb ne unheṅ bhī mīrās meṅ milkiyat dī, aisī milkiyat jo un ke bhāiyoṅ ke darmiyān hī thī.
16 Ayyūb mazīd 140 sāl zindā rahā, is lie wuh apnī aulād ko chauthī pusht tak dekh sakā. 17 Phir wuh darāz zindagī se āsūdā ho kar intaqāl kar gayā.