Mattī
1
Īsā Masīh kā Nasabnāmā
1 Īsā Masīh bin Dāūd bin Ibrāhīm kā nasabnāmā:
2 Ibrāhīm Is'hāq kā bāp thā, Is'hāq Yāqūb kā bāp aur Yāqūb Yahūdāh aur us ke bhāiyoṅ kā bāp. 3 Yahūdāh ke do beṭe Fāras aur Zārah the. (Un kī māṅ Tamr thī.) Fāras Hasron kā bāp aur Hasron Rām kā bāp thā. 4 Rām Ammīnadāb kā bāp, Ammīnadāb Nahson kā bāp aur Nahson Salmon kā bāp thā. 5 Salmon Boaz kā bāp thā. (Boaz kī māṅ Rāhab thī.) Boaz Obed kā bāp thā. (Obed kī māṅ Rūt thī.) Obed Yassī kā bāp aur 6 Yassī Dāūd Bādshāh kā bāp thā.
Dāūd Sulemān kā bāp thā. (Sulemān kī māṅ pahle Ūriyyāh kī bīwī thī.) 7 Sulemān Rahubiyām kā bāp, Rahubiyām Abiyāh kā bāp aur Abiyāh Āsā kā bāp thā. 8 Āsā Yahūsafat kā bāp, Yahūsafat Yūrām kā bāp aur Yūrām Uzziyāh kā bāp thā. 9 Uzziyāh Yūtām kā bāp, Yūtām Āḳhaz kā bāp aur Āḳhaz Hizqiyāh kā bāp thā. 10 Hizqiyāh Manassī kā bāp, Manassī Amūn kā bāp aur Amūn Yūsiyāh kā bāp thā. 11 Yūsiyāh Yahūyākīn *Yūnānī meṅ Yahūyākīn kā mutarādif Yakūniyāh mustāmal hai. aur us ke bhāiyoṅ kā bāp thā. (Yih Bābal kī jilāwatanī ke daurān paidā hue.)
12 Bābal kī jilāwatanī ke bād Yahūyākīn †Yūnānī meṅ Yahūyākīn kā mutarādif Yakūniyāh mustāmal hai. Siyāltiyel kā bāp aur Siyāltiyel Zarubbābal kā bāp thā. 13 Zarubbābal Abīhūd kā bāp, Abīhūd Iliyāqīm kā bāp aur Iliyāqīm Āzor kā bāp thā. 14 Āzor Sadoq kā bāp, Sadoq Aḳhīm kā bāp aur Aḳhīm Ilīhūd kā bāp thā. 15 Ilīhūd Iliyazar kā bāp, alīazar Mattān kā bāp aur Mattān kā bāp Yāqūb thā. 16 Yāqūb Mariyam ke shauhar Yūsuf kā bāp thā. Is Mariyam se Īsā paidā huā, jo Masīh kahlātā hai.
17 Yoṅ Ibrāhīm se Dāūd tak 14 nasleṅ haiṅ, Dāūd se Bābal kī jilāwatanī tak 14 nasleṅ haiṅ aur jilāwatanī se Masīh tak 14 nasleṅ haiṅ
Īsā Masīh kī Paidāish
18 Īsā Masīh kī paidāish yoṅ huī: Us waqt us kī māṅ Mariyam kī mangnī Yūsuf ke sāth ho chukī thī ki wuh Rūhul-quds se hāmilā pāī gaī. Abhī un kī shādī nahīṅ huī thī. 19 Us kā mangetar Yūsuf rāstbāz thā, wuh alāniyā Mariyam ko badnām nahīṅ karnā chāhtā thā. Is lie us ne ḳhāmoshī se yih rishtā toṛne kā irādā kar liyā. 20 Wuh is bāt par abhī ġhaur-o-fikr kar hī rahā thā ki Rab kā farishtā ḳhāb meṅ us par zāhir huā aur farmāyā, “Yūsuf bin Dāūd, Mariyam se shādī karke use apne ghar le āne se mat ḍar, kyoṅki paidā hone wālā bachchā Rūhul-quds se hai. 21 Us ke beṭā hogā aur us kā nām Īsā rakhnā, kyoṅki wuh apnī qaum ko us ke gunāhoṅ se rihāī degā.”
22 Yih sab kuchh is lie huā tāki Rab kī wuh bāt pūrī ho jāe jo us ne apne nabī kī mārifat farmāī thī, 23 “Dekho ek kuṅwārī hāmilā hogī. Us se beṭā paidā hogā aur wuh us kā nām Immānuel rakheṅge.” (Immānuel kā matlab ‘Ḳhudā Hamāre Sāth’ hai).
24 Jab Yūsuf jāg uṭhā to us ne Rab ke farishte ke farmān ke mutābiq Mariyam se shādī kar lī aur use apne ghar le gayā. 25 Lekin jab tak us ke beṭā paidā na huā wuh Mariyam se hambistar na huā. Aur Yūsuf ne bachche kā nām Īsā rakhā.