7
Auroṅ kā Munsif Bananā
1 Dūsroṅ kī adālat mat karnā, warnā tumhārī adālat bhī kī jāegī. 2 Kyoṅki jitnī saḳhtī se tum dūsroṅ kā faislā karte ho utnī saḳhtī se tumhārā bhī faislā kiyā jāegā. Aur jis paimāne se tum nāpte ho usī paimāne se tum bhī nāpe jāoge. 3 Tū kyoṅ ġhaur se apne bhāī kī āṅkh meṅ paṛe tinke par nazar kartā hai jabki tujhe wuh shahtīr nazar nahīṅ ātā jo terī apnī āṅkh meṅ hai? 4 Tū kyoṅkar apne bhāī se kah saktā hai, ‘Ṭhahro, mujhe tumhārī āṅkh meṅ paṛā tinkā nikālne do,’ jabki terī apnī āṅkh meṅ shahtīr hai. 5 Riyākār! Pahle apnī āṅkh ke shahtīr ko nikāl. Tab hī tujhe bhāī kā tinkā sāf nazar āegā aur tū use achchhī tarah se dekh kar nikāl sakegā.
6 Kuttoṅ ko muqaddas ḳhurāk mat khilānā aur suaroṅ ke āge apne motī na phaiṅknā. Aisā na ho ki wuh unheṅ pāṅwoṅ tale raundeṅ aur muṛ kar tum ko phāṛ ḍāleṅ.
Māṅgte Rahnā
7 Māṅgte raho to tum ko diyā jāegā. Ḍhūṅḍte raho to tum ko mil jāegā. Khaṭkhaṭāte raho to tumhāre lie darwāzā khol diyā jāegā. 8 Kyoṅki jo bhī māṅgtā hai wuh pātā hai, jo ḍhūṅḍtā hai use miltā hai, aur jo khaṭkhaṭātā hai us ke lie darwāzā khol diyā jātā hai. 9 Tum meṅ se kaun apne beṭe ko patthar degā agar wuh roṭī māṅge? 10 Yā kaun use sāṅp degā agar wuh machhlī māṅge? Koī nahīṅ! 11 Jab tum bure hone ke bāwujūd itne samajhdār ho ki apne bachchoṅ ko achchhī chīzeṅ de sakte ho to phir kitnī zyādā yaqīnī bāt hai ki tumhārā āsmānī Bāp māṅgne wāloṅ ko achchhī chīzeṅ degā.
12 Har bāt meṅ dūsroṅ ke sāth wuhī sulūk karo jo tum chāhte ho ki wuh tumhāre sāth kareṅ. Kyoṅki yihī sharīat aur nabiyoṅ kī tālīmāt kā lubb-e-lubāb hai.
Tang Darwāzā
13 Tang darwāze se dāḳhil ho, kyoṅki halākat kī taraf le jāne wālā rāstā kushādā aur us kā darwāzā chauṛā hai. Bahut-se log us meṅ dāḳhil ho jāte haiṅ. 14 Lekin zindagī kī taraf le jāne wālā rāstā tang hai aur us kā darwāzā chhoṭā. Kam hī log use pāte haiṅ.
Har Daraḳht kā Apnā Phal Hotā Hai
15 Jhūṭe nabiyoṅ se ḳhabardār raho! Go wuh bheṛoṅ kā bhes badal kar tumhāre pās āte haiṅ, lekin andar se wuh ġhāratgar bheṛie hote haiṅ. 16 Un kā phal dekh kar tum unheṅ pahchān loge. Kyā ḳhārdār jhāṛiyoṅ se angūr toṛe jāte haiṅ yā ūṅṭkaṭāroṅ se anjīr? Hargiz nahīṅ. 17 Isī tarah achchhā daraḳht achchhā phal lātā hai aur ḳharāb daraḳht ḳharāb phal. 18 Na achchhā daraḳht ḳharāb phal lā saktā hai, na ḳharāb daraḳht achchhā phal. 19 Jo bhī daraḳht achchhā phal nahīṅ lātā use kāṭ kar āg meṅ jhoṅkā jātā hai. 20 Yoṅ tum un kā phal dekh kar unheṅ pahchān loge.
Sirf Asal Pairokār Dāḳhil Hoṅge
21 Jo mujhe ‘Ḳhudāwand, Ḳhudāwand’ kahte haiṅ un meṅ se sab āsmān kī bādshāhī meṅ dāḳhil na hoṅge balki sirf wuh jo mere āsmānī Bāp kī marzī par aml karte haiṅ. 22 Adālat ke din bahut-se log mujh se kaheṅge, ‘Ai Ḳhudāwand, Ḳhudāwand! Kyā ham ne tere hī nām meṅ nabuwwat nahīṅ kī, tere hī nām se badrūheṅ nahīṅ nikālīṅ, tere hī nām se mojize nahīṅ kie?’ 23 Us waqt maiṅ un se sāf sāf kah dūṅgā, ‘Merī kabhī tum se jān pahchān na thī. Ai badkāro! Mere sāmne se chale jāo.’
Do Qism ke Makān
24 Lihāzā jo bhī merī yih bāteṅ sun kar un par amal kartā hai wuh us samajhdār ādmī kī mānind hai jis ne apne makān kī buniyād chaṭṭān par rakhī. 25 Bārish hone lagī, sailāb āyā aur āṅdhī makān ko jhanjhoṛne lagī. Lekin wuh na girā, kyoṅki us kī buniyād chaṭṭān par rakhī gaī thī.
26 Lekin jo bhī merī yih bāteṅ sun kar un par amal nahīṅ kartā wuh us ahmaq kī mānind hai jis ne apnā makān sahīh buniyād ḍāle baġhair ret par tāmīr kiyā. 27 Jab bārish hone lagī, sailāb āyā aur āṅdhī makān ko jhanjhoṛne lagī to yih makān dhaṛām se gir gayā.”
Īsā kā Iḳhtiyār
28 Jab Īsā ne yih bāteṅ ḳhatm kar līṅ to log us kī tālīm sun kar hakkā-bakkā rah gae. 29 Kyoṅki wuh un ke ulamā kī tarah nahīṅ balki iḳhtiyār ke sāth sikhātā thā.