14
Yahyā kā Qatl
1 Us waqt Galīl ke hukmrān Herodes Antipās ko Īsā ke bāre meṅ ittalā milī. 2 Is par us ne apne darbāriyoṅ se kahā, “Yih Yahyā baptismā dene wālā hai jo murdoṅ meṅ se jī uṭhā hai, is lie us kī mojizānā tāqateṅ is meṅ nazar ātī haiṅ.”
3 Wajah yih thī ki Herodes ne Yahyā ko giriftār karke jel meṅ ḍālā thā. Yih Herodiyās kī ḳhātir huā thā jo pahle Herodes ke bhāī Filippus kī bīwī thī. 4 Yahyā ne Herodes ko batāyā thā, “Herodiyās se terī shādī nājāyz hai.” 5 Herodes Yahyā ko qatl karnā chāhtā thā, lekin awām se ḍartā thā kyoṅki wuh use nabī samajhte the.
6 Herodes kī sālgirah ke mauqe par Herodiyās kī beṭī un ke sāmne nāchī. Herodes ko us kā nāchnā itnā pasand āyā 7 ki us ne qasam khā kar us se wādā kiyā, “Jo bhī tū māṅgegī maiṅ tujhe dūṅgā.”
8 Apnī māṅ ke sikhāne par beṭī ne kahā, “Mujhe Yahyā baptismā dene wāle kā sar ṭre meṅ mangwā deṅ.”
9 Yih sun kar bādshāh ko dukh huā. Lekin apnī qasmoṅ aur mehmānoṅ kī maujūdagī kī wajah se us ne use dene kā hukm de diyā. 10 Chunāṅche Yahyā kā sar qalam kar diyā gayā. 11 Phir ṭre meṅ rakh kar andar lāyā gayā aur laṛkī ko de diyā gayā. Laṛkī use apnī māṅ ke pās le gaī. 12 Bād meṅ Yahyā ke shāgird āe aur us kī lāsh le kar use dafnāyā. Phir wuh Īsā ke pās gae aur use ittalā dī.
Īsā 5000 Mardoṅ ko Khānā Khilātā Hai
13 Yih ḳhabar sun kar Īsā logoṅ se alag ho kar kashtī par sawār huā aur kisī wīrān jagah chalā gayā. Lekin hujūm ko us kī ḳhabar milī. Log paidal chal kar shahroṅ se nikal āe aur us ke pīchhe lag gae. 14 Jab Īsā ne kashtī par se utar kar baṛe hujūm ko dekhā to use logoṅ par baṛā tars āyā. Wahīṅ us ne un ke marīzoṅ ko shafā dī.
15 Jab din ḍhalne lagā to us ke shāgird us ke pās āe aur kahā, “Yih jagah wīrān hai aur din ḍhalne lagā hai. In ko ruḳhsat kar deṅ tāki yih irdgird ke dehātoṅ meṅ jā kar khāne ke lie kuchh ḳharīd leṅ.”
16 Īsā ne jawāb diyā, “Inheṅ jāne kī zarūrat nahīṅ, tum ḳhud inheṅ khāne ko do.”
17 Unhoṅ ne jawāb diyā, “Hamāre pās sirf pāṅch roṭiyāṅ aur do machhliyāṅ haiṅ.”
18 Us ne kahā, “Unheṅ yahāṅ mere pās le āo,” 19 aur logoṅ ko ghās par baiṭhne kā hukm diyā. Īsā ne un pāṅch roṭiyoṅ aur do machhliyoṅ ko le kar āsmān kī taraf dekhā aur shukrguzārī kī duā kī. Phir us ne roṭiyoṅ ko toṛ toṛ kar shāgirdoṅ ko diyā, aur shāgirdoṅ ne yih roṭiyāṅ logoṅ meṅ taqsīm kar dīṅ. 20 Sab ne jī bhar kar khāyā. Jab shāgirdoṅ ne bache hue ṭukṛe jamā kie to bārah ṭokre bhar gae. 21 Ḳhawātīn aur bachchoṅ ke alāwā khāne wāle taqrīban 5,000 mard the.
Īsā Pānī par Chaltā Hai
22 Is ke ain bād Īsā ne shāgirdoṅ ko majbūr kiyā ki wuh kashtī par sawār ho kar āge nikleṅ aur jhīl ke pār chale jāeṅ. Itne meṅ wuh hujūm ko ruḳhsat karnā chāhtā thā. 23 Unheṅ ḳhairbād kahne ke bād wuh duā karne ke lie akelā pahāṛ par chaṛh gayā. Shām ke waqt wuh wahāṅ akelā thā 24 jabki kashtī kināre se kāfī dūr ho gaī thī. Lahreṅ kashtī ko bahut tang kar rahī thīṅ kyoṅki hawā us ke ḳhilāf chal rahī thī.
25 Taqrīban tīn baje rāt ke waqt Īsā pānī par chalte hue un ke pās āyā. 26 Jab shāgirdoṅ ne use jhīl kī satah par chalte hue dekhā to unhoṅ ne dahshat khāī. “Yih koī bhūt hai,” unhoṅ ne kahā aur ḍar ke māre chīḳheṅ mārne lage.
27 Lekin Īsā fauran un se muḳhātib ho kar bolā, “Hauslā rakho! Maiṅ hī hūṅ. Mat ghabrāo.”
28 Is par Patras bol uṭhā, “Ḳhudāwand, agar āp hī haiṅ to mujhe pānī par apne pās āne kā hukm deṅ.”
29 Īsā ne jawāb diyā, “Ā.” Patras kashtī par se utar kar pānī par chalte chalte Īsā kī taraf baṛhne lagā. 30 Lekin jab us ne tez hawā par ġhaur kiyā to wuh ghabrā gayā aur ḍūbne lagā. Wuh chillā uṭhā, “Ḳhudāwand, mujhe bachāeṅ!”
31 Īsā ne fauran apnā hāth baṛhā kar use pakaṛ liyā. Us ne kahā, “Ai kam-etaqād! Tū shak meṅ kyoṅ paṛ gayā thā?”
32 Donoṅ kashtī par sawār hue to hawā tham gaī. 33 Phir kashtī meṅ maujūd shāgirdoṅ ne use sijdā karke kahā, “Yaqīnan āp Allāh ke Farzand haiṅ!”
Gannesarat meṅ Marīzoṅ kī Shafā
34 Jhīl ko pār karke wuh Gannesarat Shahr ke pās pahuṅch gae. 35 Jab us jagah ke logoṅ ne Īsā ko pahchān liyā to unhoṅ ne irdgird ke pūre ilāqe meṅ is kī ḳhabar phailāī. Unhoṅ ne apne tamām marīzoṅ ko us ke pās lā kar 36 us se minnat kī ki wuh unheṅ sirf apne libās ke dāman ko chhūne de. Aur jis ne bhī use chhuā use shafā milī.