Gintī
1
Isrāīliyoṅ kī Pahlī Mardumshumārī
Isrāīliyoṅ ko Misr se nikle hue ek sāl se zyādā arsā guzar gayā thā. Ab tak wuh Dasht-e-Sīnā meṅ the. Dūsre sāl ke dūsre mahīne ke pahle din Rab mulāqāt ke ḳhaime meṅ Mūsā se hamkalām huā. Us ne kahā,
“Tū aur Hārūn tamām Isrāīliyoṅ kī mardumshumārī kunboṅ aur ābāī gharānoṅ ke mutābiq karnā. Un tamām mardoṅ kī fahrist banānā jo kam az kam bīs sāl ke aur jang laṛne ke qābil hoṅ. Is meṅ har qabīle ke ek ḳhāndān kā sarparast tumhārī madad kare. Yih un ke nām haiṅ: Rūbin ke qabīle se Ilīsūr bin Shadiyūr,
Shamāūn ke qabīle se Salūmiyel bin Sūrīshaddī,
Yahūdāh ke qabīle se Nahson bin Ammīnadāb,
Ishkār ke qabīle se Nataniyel bin Zuġhar,
Zabūlūn ke qabīle se Iliyāb bin Helon,
10 Yūsuf ke beṭe Ifrāīm ke qabīle se Ilīsamā bin Ammīhūd, Yūsuf ke beṭe Manassī ke qabīle se Jamliyel bin Fadāhsūr,
11 Binyamīn ke qabīle se Abidān bin Jidāūnī,
12 Dān ke qabīle se Aḳhiyazar bin Ammīshaddī,
13 Āshar ke qabīle se Fajiyel bin Akrān,
14 Jad ke qabīle se Iliyāsaf bin Daūel,
15 Naftālī ke qabīle se Aḳhīrā bin Enān.”
16 Yihī mard jamāt se is kām ke lie bulāe gae. Wuh apne qabīloṅ ke rāhnumā aur kunboṅ ke sarparast the. 17 In kī madad se Mūsā aur Hārūn ne 18 usī din pūrī jamāt ko ikaṭṭhā kiyā. Har Isrāīlī mard jo kam az kam 20 sāl kā thā rajisṭar meṅ darj kiyā gayā. Rajisṭar kī tartīb un ke kunboṅ aur ābāī gharānoṅ ke mutābiq thī.
19 Sab kuchh waisā hī kiyā gayā jaisā Rab ne hukm diyā thā. Mūsā ne Sīnā ke registān meṅ logoṅ kī mardumshumārī kī. Natījā yih niklā:
20-21 Rūbin ke qabīle ke 46,500 mard,
22-23 Shamāūn ke qabīle ke 59,300 mard,
24-25 Jad ke qabīle ke 45,650 mard,
26-27 Yahūdāh ke qabīle ke 74,600 mard,
28-29 Ishkār ke qabīle ke 54,400 mard,
30-31 Zabūlūn ke qabīle ke 57,400 mard,
32-33 Yūsuf ke beṭe Ifrāīm ke qabīle ke 40,500 mard,
34-35 Yūsuf ke beṭe Manassī ke qabīle ke 32,200 mard,
36-37 Binyamīn ke qabīle ke 35,400 mard,
38-39 Dān ke qabīle ke 62,700 mard,
40-41 Āshar ke qabīle ke 41,500 mard,
42-43 Naftālī ke qabīle ke 53,400 mard.
44 Mūsā, Hārūn aur qabīloṅ ke bārah rāhnumāoṅ ne in tamām ādmiyoṅ ko ginā. 45-46 Un kī pūrī tādād 6,03,550 thī.
47 Lekin Lāwiyoṅ kī mardumshumārī na huī, 48 kyoṅki Rab ne Mūsā se kahā thā, 49 “Isrāīliyoṅ kī mardumshumārī meṅ Lāwiyoṅ ko shāmil na karnā. 50 Is ke bajāe unheṅ sharīat kī sukūnatgāh aur us kā sārā sāmān saṅbhālne kī zimmedārī denā. Wuh safr karte waqt yih ḳhaimā aur us kā sārā sāmān uṭhā kar le jāeṅ, us kī ḳhidmat ke lie hāzir raheṅ aur rukte waqt use apne ḳhaimoṅ se ghere rakheṅ. 51 Rawānā hote waqt wuhī ḳhaime ko sameṭeṅ aur rukte waqt wuhī use lagāeṅ. Agar koī aur us ke qarīb āe to use sazā-e-maut dī jāegī. 52 Bāqī Isrāīlī ḳhaimāgāh meṅ apne apne daste ke mutābiq aur apne apne alam ke irdgird apne ḳhaime lagāeṅ. 53 Lekin Lāwī apne ḳhaimoṅ se sharīat kī sukūnatgāh ko gher leṅ tāki merā ġhazab kisī ġhalat shaḳhs ke nazdīk āne se Isrāīliyoṅ kī jamāt par nāzil na ho jāe. Yoṅ Lāwiyoṅ ko sharīat kī sukūnatgāh ko saṅbhālnā hai.”
54 Isrāīliyoṅ ne waisā hī kiyā jaisā Rab ne Mūsā ko hukm diyā thā.