24
1 Ab Bilām ko us bāt kā pūrā yaqīn ho gayā ki Rab ko pasand hai ki maiṅ Isrāīliyoṅ ko barkat dūṅ. Is lie us ne is martabā pahle kī tarah jādūgarī kā tarīqā istemāl na kiyā balki sīdhā registān kī taraf ruḳh kiyā 2 jahāṅ Isrāīl apne apne qabīloṅ kī tartīb se ḳhaimāzan thā. Yih dekh kar Allāh kā Rūh us par nāzil huā, 3 aur wuh bol uṭhā,
“Bilām bin Baor kā paiġhām suno, us ke paiġhām par ġhaur karo jo sāf sāf deḳhtā hai, 4 us kā paiġhām jo Allāh kī bāteṅ sun letā hai, Qādir-e-mutlaq kī royā ko dekh letā hai aur zamīn par gir kar poshīdā bāteṅ deḳhtā hai.
5 Ai Yāqūb, tere ḳhaime kitne shāndār haiṅ! Ai Isrāīl, tere ghar kitne achchhe haiṅ!
6 Wuh dūr tak phailī huī wādiyoṅ kī mānind, nahar ke kināre lage bāġhoṅ kī mānind, Rab ke lagāe hue ūd ke daraḳhtoṅ kī mānind, pānī ke kināre lage deodār ke daraḳhtoṅ kī mānind haiṅ.
7 Un kī bālṭiyoṅ se pānī chhalaktā rahegā, un ke bīj ko kasrat kā pānī milegā. Un kā bādshāh Ajāj se zyādā tāqatwar hogā, aur un kī saltanat sarfarāz hogī.
8 Allāh unheṅ Misr se nikāl lāyā, aur unheṅ janglī bail kī-sī tāqat hāsil hai. Wuh muḳhālif qaumoṅ ko haṛap karke un kī haḍḍiyāṅ chūr chūr kar dete haiṅ, wuh apne tīr chalā kar unheṅ mār ḍālte haiṅ.
9 Isrāīl sherbabar yā shernī kī mānind hai. Jab wuh dabak kar baiṭh jāe to koī bhī use chheṛne kī jurrat nahīṅ kartā. Jo tujhe barkat de use barkat mile, aur jo tujh par lānat bheje us par lānat āe.”
10 Yih sun kar Balaq āpe se bāhar huā. Us ne tālī bajā kar apnī hiqārat kā izhār kiyā aur kahā, “Maiṅ ne tujhe is lie bulāyā thā ki tū mere dushmanoṅ par lānat bheje. Ab tū ne unheṅ tīnoṅ bār barkat hī dī hai. 11 Ab dafā ho jā! Apne ghar wāpas bhāg jā! Maiṅ ne kahā thā ki baṛā inām dūṅgā. Lekin Rab ne tujhe inām pāne se rok diyā hai.”
12 Bilām ne jawāb diyā, “Kyā maiṅ ne un logoṅ ko jinheṅ āp ne mujhe bulāne ke lie bhejā thā nahīṅ batāyā thā 13 ki agar Balaq apne mahal ko chāṅdī aur sone se bhar kar bhī mujhe de de to bhī maiṅ Rab kī kisī bāt kī ḳhilāfwarzī nahīṅ kar saktā, ḳhāh merī nīyat achchhī ho yā burī. Maiṅ sirf wuh kuchh kar saktā hūṅ jo Allāh farmātā hai. 14 Ab maiṅ apne watan wāpas chalā jātā hūṅ. Lekin pahle maiṅ āp ko batā detā hūṅ ki āḳhirkār yih qaum āp kī qaum ke sāth kyā kuchh karegī.”
Bilām kī Chauthī Barkat
15 Wuh bol uṭhā,
“Bilām bin Baor kā paiġhām suno, us kā paiġhām jo sāf sāf deḳhtā hai,
16 us kā paiġhām jo Allāh kī bāteṅ sun letā aur Allāh T'ālā kī marzī ko jāntā hai, jo Qādir-e-mutlaq kī royā ko dekh letā aur zamīn par gir kar poshīdā bāteṅ deḳhtā hai.
17 Jise maiṅ dekh rahā hūṅ wuh is waqt nahīṅ hai. Jo mujhe nazar ā rahā hai wuh qarīb nahīṅ hai. Yāqūb ke gharāne se sitārā niklegā, aur Isrāīl se asā-e-shāhī uṭhegā jo Moāb ke māthoṅ aur Set ke tamām beṭoṅ kī khopaṛiyoṅ ko pāsh pāsh karegā.
18 Adom us ke qabze meṅ āegā, us kā dushman Saīr us kī milkiyat banegā jabki Isrāīl kī tāqat baṛhtī jāegī.
19 Yāqūb ke gharāne se ek hukmrān niklegā jo shahr ke bache huoṅ ko halāk kar degā.”
Bilām ke Āḳhirī Paiġhām
20 Phir Bilām ne Amālīq ko dekhā aur kahā,
“Amālīq qaumoṅ meṅ awwal thā, lekin āḳhirkār wuh ḳhatm ho jāegā.”
21 Phir us ne Qīniyoṅ ko dekhā aur kahā,
“Terī sukūnatgāh mustahkam hai, terā chaṭṭān meṅ banā ghoṅslā mazbūt hai.
22 Lekin tū tabāh ho jāegā jab Asūr tujhe giriftār karegā.”
23 Ek aur dafā us ne bāt kī,
“Hāy, kaun zindā rah saktā hai jab Allāh yoṅ karegā?
24 Kittīm ke sāhil se bahrī jahāz āeṅge jo Asūr aur Ibar ko zalīl kareṅge, lekin wuh ḳhud bhī halāk ho jāeṅge.”
25 Phir Bilām uṭh kar apne ghar wāpas chalā gayā. Balaq bhī wahāṅ se chalā gayā.