32
Dariyā-e-Yardan ke Mashriqī Kināre par Ābād Qabīle
1 Rūbin aur Jad ke qabīloṅ ke pās bahut-se maweshī the. Jab unhoṅ ne dekhā ki Yāzer aur Jiliyād kā ilāqā maweshī pālne ke lie achchhā hai 2 to unhoṅ ne Mūsā, Iliyazar Imām aur jamāt ke rāhnumāoṅ ke pās ā kar kahā, 3-4 “Jis ilāqe ko Rab ne Isrāīl kī jamāt ke āge āge shikast dī hai wuh maweshī pālne ke lie achchhā hai. Atārāt, Dībon, Yāzer, Nimrā, Hasbon, Iliyālī, Sabām, Nabū aur Baūn jo is meṅ shāmil haiṅ hamāre kām āeṅge, kyoṅki āp ke ḳhādimoṅ ke pās maweshī haiṅ. 5 Agar āp kī nazar-e-karm ham par ho to hameṅ yih ilāqā diyā jāe. Yih hamārī milkiyat ban jāe aur hameṅ Dariyā-e-Yardan ko pār karne par majbūr na kiyā jāe.”
6 Mūsā ne Jad aur Rūbin ke afrād se kahā, “Kyā tum yahāṅ pīchhe rah kar apne bhāiyoṅ ko chhoṛnā chāhte ho jab wuh jang laṛne ke lie āge nikleṅge? 7 Us waqt jab Isrāīlī Dariyā-e-Yardan ko pār karke us mulk meṅ dāḳhil hone wāle haiṅ jo Rab ne unheṅ diyā hai to tum kyoṅ un kī hauslāshiknī kar rahe ho? 8 Tumhāre bāpdādā ne bhī yihī kuchh kiyā jab maiṅ ne unheṅ Qādis-barnīa se mulk ke bāre meṅ mālūmāt hāsil karne ke lie bhejā. 9 Iskāl kī Wādī meṅ pahuṅch kar mulk kī taftīsh karne ke bād unhoṅ ne Isrāīliyoṅ kī hauslāshiknī kī tāki wuh us mulk meṅ dāḳhil na hoṅ jo Rab ne unheṅ diyā thā. 10 Us din Rab ne ġhusse meṅ ā kar qasam khāī, 11 ‘Un ādmiyoṅ meṅ se jo Misr se nikal āe haiṅ koī us mulk ko nahīṅ dekhegā jis kā wādā maiṅ ne qasam khā kar Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb se kiyā thā. Kyoṅki unhoṅ ne pūrī wafādārī se merī pairawī na kī. Sirf wuh jin kī umr us waqt 20 sāl se kam hai dāḳhil hoṅge. 12 Buzurgoṅ meṅ se sirf Kālib bin Yafunnā Qanizzī aur Yashua bin Nūn mulk meṅ dāḳhil hoṅge, is lie ki unhoṅ ne pūrī wafādārī se merī pairawī kī.’ 13 Us waqt Rab kā ġhazab un par ān paṛā, aur unheṅ 40 sāl tak registān meṅ māre māre phirnā paṛā, jab tak ki wuh tamām nasl ḳhatm na ho gaī jis ne us ke nazdīk ġhalat kām kiyā thā. 14 Ab tum gunāhgāroṅ kī aulād apne bāpdādā kī jagah khaṛe ho kar Rab kā Isrāīl par ġhussā mazīd baṛhā rahe ho. 15 Agar tum us kī pairawī se haṭoge to wuh dubārā in logoṅ ko registān meṅ rahne degā, aur tum in kī halākat kā bāis banoge.”
16 Is ke bād Rūbin aur Jad ke afrād dubārā Mūsā ke pās āe aur kahā, “Ham yahāṅ filhāl apne maweshī ke lie bāṛe aur apne bāl-bachchoṅ ke lie shahr banānā chāhte haiṅ. 17 Is ke bād ham musallah ho kar Isrāīliyoṅ ke āge āge chaleṅge aur har ek ko us kī apnī jagah tak pahuṅchāeṅge. Itne meṅ hamāre bāl-bachche hamāre shahroṅ kī fasīloṅ ke andar mulk ke muḳhālif bāshindoṅ se mahfūz raheṅge. 18 Ham us waqt tak apne gharoṅ ko nahīṅ lauṭeṅge jab tak har Isrāīlī ko us kī maurūsī zamīn na mil jāe. 19 Dūsre, ham ḳhud un ke sāth Dariyā-e-Yardan ke maġhrib meṅ mīrās meṅ kuchh nahīṅ pāeṅge, kyoṅki hameṅ apnī maurūsī zamīn Dariyā-e-Yardan ke mashriqī kināre par mil chukī hai.”
20 Yih sun kar Mūsā ne kahā, “Agar tum aisā hī karoge to ṭhīk hai. Phir Rab ke sāmne jang ke lie taiyār ho jāo 21 aur sab hathiyār bāndh kar Rab ke sāmne Dariyā-e-Yardan ko pār karo. Us waqt tak na lauṭo jab tak Rab ne apne tamām dushmanoṅ ko apne āge se nikāl na diyā ho. 22 Phir jab mulk par Rab kā qabzā ho gayā hogā to tum lauṭ sakoge. Tab tum ne Rab aur apne hamwatan bhāiyoṅ ke lie apne farāyz adā kar die hoṅge, aur yih ilāqā Rab ke sāmne tumhārā maurūsī haq hogā. 23 Lekin agar tum aisā na karo to phir tum Rab hī kā gunāh karoge. Yaqīn jāno tumheṅ apne gunāh kī sazā milegī. 24 Ab apne bāl-bachchoṅ ke lie shahr aur apne maweshiyoṅ ke lie bāṛe banā lo. Lekin apne wāde ko zarūr pūrā karnā.”
25 Jad aur Rūbin ke afrād ne Mūsā se kahā, “Ham āp ke ḳhādim haiṅ, ham apne āqā ke hukm ke mutābiq hī kareṅge. 26 Hamāre bāl-bachche aur maweshī yihīṅ Jiliyād ke shahroṅ meṅ raheṅge. 27 Lekin āp ke ḳhādim musallah ho kar dariyā ko pār kareṅge aur Rab ke sāmne jang kareṅge. Ham sab kuchh waisā hī kareṅge jaisā hamāre āqā ne hameṅ hukm diyā hai.”
28 Tab Mūsā ne Iliyazar Imām, Yashua bin Nūn aur qabāylī kunboṅ ke sarparastoṅ ko hidāyat dī, 29 “Lāzim hai ki Jad aur Rūbin ke mard musallah ho kar tumhāre sāth hī Rab ke sāmne Dariyā-e-Yardan ko pār kareṅ aur mulk par qabzā kareṅ. Agar wuh aisā kareṅ to unheṅ mīrās meṅ Jiliyād kā ilāqā do. 30 Lekin agar wuh aisā na kareṅ to phir unheṅ Mulk-e-Kanān hī meṅ tumhāre sāth maurūsī zamīn mile.”
31 Jad aur Rūbin ke afrād ne isrār kiyā, “Āp ke ḳhādim sab kuchh kareṅge jo Rab ne kahā hai. 32 Ham musallah ho kar Rab ke sāmne Dariyā-e-Yardan ko pār kareṅge aur Kanān ke mulk meṅ dāḳhil hoṅge, agarche hamārī maurūsī zamīn Yardan ke mashriqī kināre par hogī.”
33 Tab Mūsā ne Jad, Rūbin aur Manassī ke ādhe qabīle ko yih ilāqā diyā. Us meṅ wuh pūrā mulk shāmil thā jis par pahle Amoriyoṅ kā bādshāh Sīhon aur Basan kā bādshāh Oj hukūmat karte the. In shikastḳhurdā mamālik ke dehātoṅ samet tamām shahr un ke hawāle kie gae.
34 Jad ke qabīle ne Dībon, Atārāt, Aroīr, 35 Atarāt-shofān, Yāzer, Yugbahā, 36 Bait-nimrā aur Bait-hārān ke shahroṅ ko dubārā tāmīr kiyā. Unhoṅ ne un kī fasīleṅ banāīṅ aur apne maweshiyoṅ ke lie bāṛe bhī. 37 Rūbin ke qabīle ne Hasbon, Iliyālī, Qiriyatāym, 38 Nabū, Bāl-maūn aur Sibmāh dubārā tāmīr kie. Nabū aur Bāl-maūn ke nām badal gae. Kyoṅki unhoṅ ne un shahroṅ ko nae nām die jo unhoṅ ne dubārā tāmīr kie.
39 Manassī ke beṭe Makīr kī aulād ne Jiliyād jā kar us par qabzā kar liyā aur us ke tamām Amorī bāshindoṅ ko nikāl diyā. 40 Chunāṅche Mūsā ne makīriyoṅ ko Jiliyād kī sarzamīn de dī, aur wuh wahāṅ ābād hue. 41 Manassī ke ek ādmī banām Yāīr ne us ilāqe meṅ kuchh bastiyoṅ par qabzā karke unheṅ Hawwot-yāīr yānī ‘Yāīr kī Bastiyāṅ’ kā nām diyā. 42 Isī tarah us qabīle ke ek aur ādmī banām Nūbah ne jā kar Qanāt aur us ke dehātoṅ par qabzā kar liyā. Us ne shahr kā nām Nūbah rakhā.