7
Bewafā Bīwī
1 Mere beṭe, mere alfāz kī pairawī kar, mere ahkām apne andar mahfūz rakh. 2 Mere ahkām ke tābe rah to jītā rahegā. Apnī āṅkh kī putlī kī tarah merī hidāyat kī hifāzat kar. 3 Unheṅ apnī unglī ke sāth bāndh, apne dil kī taḳhtī par kandā kar. 4 Hikmat se kah, “Tū merī bahan hai,” aur samajh se, “Tū merī qarībī rishtedār hai.” 5 Yihī tujhe zinākār aurat se mahfūz rakheṅgī, dūsre kī us bīwī se jo apnī chiknī-chupṛī bātoṅ se tujhe phuslāne kī koshish kartī hai.
6 Ek din maiṅ ne apne ghar kī khiṛkī *Lafzī tarjumā: ghar kī khiṛkī ke jangle. meṅ se bāhar jhāṅkā 7 to kyā deḳhtā hūṅ ki wahāṅ kuchh sādālauh naujawān khaṛe haiṅ. Un meṅ se ek beaql jawān nazar āyā. 8 Wuh galī meṅ se guzar kar zinākār aurat ke kone kī taraf ṭahalne lagā. Chalte chalte wuh us rāste par ā gayā jo aurat ke ghar tak le jātā hai. 9 Shām kā dhundalkā thā, din ḍhalne aur rāt kā andherā chhāne lagā thā. 10 Tab ek aurat kasbī kā libās pahne hue chālākī se us se milne āī. 11 Yih aurat itnī belagām aur ḳhudsar hai ki us ke pāṅw us ke ghar meṅ nahīṅ ṭikte. 12 Kabhī wuh galī meṅ, kabhī chaukoṅ meṅ hotī hai, har kone par wuh tāk meṅ baiṭhī rahtī hai.
13 Ab us ne naujawān ko pakaṛ kar use bosā diyā. Behayā nazar us par ḍāl kar us ne kahā, 14 “Mujhe salāmatī kī qurbāniyāṅ pesh karnī thīṅ, aur āj hī maiṅ ne apnī mannateṅ pūrī kīṅ. 15 Is lie maiṅ nikal kar tujh se milne āī, maiṅ ne terā patā kiyā aur ab tū mujhe mil gayā hai. 16 Maiṅ ne apne bistar par Misr ke rangīn kambal bichhāe, 17 us par mur, ūd aur dārchīnī kī ḳhushbū chhiṛkī hai. 18 Āo, ham subah tak muhabbat kā pyālā tah tak pī leṅ, ham ishqbāzī se lutfandoz hoṅ! 19 Kyoṅki merā ḳhāwind ghar meṅ nahīṅ hai, wuh lambe safr ke lie rawānā huā hai. 20 Wuh baṭwe meṅ paise ḍāl kar chalā gayā hai aur pūre chāṅd tak wāpas nahīṅ āegā.”
21 Aisī bāteṅ karte karte aurat ne naujawān ko tarġhīb de kar apnī chiknī-chupṛī bātoṅ se warġhalāyā. 22 Naujawān sīdhā us ke pīchhe yoṅ ho liyā jis tarah bail zabah hone ke lie jātā yā hiran uchhal kar phande meṅ phaṅs jātā hai. 23 Kyoṅki ek waqt āegā ki tīr us kā dil chīr ḍālegā. Lekin filhāl us kī hālat us chiṛiyā kī mānind hai jo uṛ kar jāl meṅ ā jātī aur ḳhayāl tak nahīṅ kartī ki merī jān ḳhatre meṅ hai.
24 Chunāṅche mere beṭo, merī suno, mere muṅh kī bātoṅ par dhyān do! 25 Terā dil bhaṭak kar us taraf ruḳh na kare jahāṅ zinākār aurat phirtī hai, aisā na ho ki tū āwārā ho kar us kī rāhoṅ meṅ ulajh jāe. 26 Kyoṅki un kī tādād baṛī hai jinheṅ us ne girā kar maut ke ghāṭ utārā hai, us ne muta'addid logoṅ ko mār ḍālā hai. 27 Us kā ghar Pātāl kā rāstā hai jo logoṅ ko maut kī koṭhaṛiyoṅ tak pahuṅchātā hai.