18
Dāūd kā Fatah kā Gīt
1 Rab ke ḳhādim Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Dāūd ne Rab ke lie yih gīt gāyā jab Rab ne use tamām dushmanoṅ aur Sāūl se bachāyā. Wuh bolā,
Ai Rab merī quwwat, maiṅ tujhe pyār kartā hūṅ.
2 Rab merī chaṭṭān, merā qilā aur merā najātdahindā hai. Merā Ḳhudā merī chaṭṭān hai jis meṅ maiṅ panāh letā hūṅ. Wuh merī ḍhāl, merī najāt kā pahāṛ, merā buland hisār hai.
3 Maiṅ Rab ko pukārtā hūṅ, us kī tamjīd ho! Tab wuh mujhe dushmanoṅ se chhuṭkārā detā hai.
4 Maut ke rassoṅ ne mujhe gher liyā, halākat ke sailāb ne mere dil par dahshat tārī kī.
5 Pātāl ke rassoṅ ne mujhe jakaṛ liyā, maut ne mere rāste meṅ apne phande ḍāl die.
6 Jab maiṅ musībat meṅ phaṅs gayā to maiṅ ne Rab ko pukārā. Maiṅ ne madad ke lie apne Ḳhudā se fariyād kī to us ne apnī sukūnatgāh se merī āwāz sunī, merī chīḳheṅ us ke kān tak pahuṅch gaīṅ.
7 Tab zamīn laraz uṭhī aur thartharāne lagī, pahāṛoṅ kī buniyādeṅ Rab ke ġhazab ke sāmne kāṅpne aur jhūlne lagīṅ.
8 Us kī nāk se dhuāṅ nikal āyā, us ke muṅh se bhasm karne wāle shole aur dahakte koele bhaṛak uṭhe.
9 Āsmān ko jhukā kar wuh nāzil huā. Jab utar āyā to us ke pāṅwoṅ ke nīche andherā hī andherā thā.
10 Wuh karūbī farishte par sawār huā aur uṛ kar hawā ke paroṅ par manḍlāne lagā.
11 Us ne andhere ko apnī chhupne kī jagah banāyā, bārish ke kāle aur ghane bādal ḳhaime kī tarah apne girdāgird lagāe.
12 Us ke huzūr kī tez raushnī se us ke bādal ole aur sholāzan koele le kar nikal āe.
13 Rab āsmān se kaṛakne lagā, Allāh T'ālā kī āwāz gūṅj uṭhī. Tab ole aur sholāzan koele barasne lage.
14 Us ne apne tīr chalāe to dushman titar-bitar ho gae. Us kī tez bijlī idhar-udhar girtī gaī to un meṅ halchal mach gaī.
15 Ai Rab, tū ne ḍānṭā to samundar kī wādiyāṅ zāhir huīṅ, jab tū ġhusse meṅ garjā to tere dam ke jhoṅkoṅ se zamīn kī buniyādeṅ nazar āīṅ.
16 Bulandiyoṅ par se apnā hāth baṛhā kar us ne mujhe pakaṛ liyā, mujhe gahre pānī meṅ se khīṅch kar nikāl lāyā.
17 Us ne mujhe mere zabardast dushman se bachāyā, un se jo mujh se nafrat karte haiṅ, jin par maiṅ ġhālib na ā sakā.
18 Jis din maiṅ musībat meṅ phaṅs gayā us din unhoṅ ne mujh par hamlā kiyā, lekin Rab merā sahārā banā rahā.
19 Us ne mujhe tang jagah se nikāl kar chhuṭkārā diyā, kyoṅki wuh mujh se ḳhush thā.
20 Rab mujhe merī rāstbāzī kā ajr detā hai. Mere hāth sāf haiṅ, is lie wuh mujhe barkat detā hai.
21 Kyoṅki maiṅ Rab kī rāhoṅ par chaltā rahā hūṅ, maiṅ badī karne se apne Ḳhudā se dūr nahīṅ huā.
22 Us ke tamām ahkām mere sāmne rahe haiṅ, maiṅ ne us ke farmānoṅ ko radd nahīṅ kiyā.
23 Us ke sāmne hī maiṅ be'ilzām rahā, gunāh karne se bāz rahā hūṅ.
24 Is lie Rab ne mujhe merī rāstbāzī kā ajr diyā, kyoṅki us kī āṅkhoṅ ke sāmne hī meṅ pāk-sāf sābit huā.
25 Ai Allāh, jo wafādār hai us ke sāth terā sulūk wafādārī kā hai, jo be'ilzām hai us ke sāth terā sulūk be'ilzām hai.
26 Jo pāk hai us ke sāth terā sulūk pāk hai. Lekin jo kajrau hai us ke sāth terā sulūk bhī kajrawī kā hai.
27 Kyoṅki tū pasthāloṅ ko najāt detā aur maġhrūr āṅkhoṅ ko past kartā hai.
28 Ai Rab, tū hī merā charāġh jalātā, merā Ḳhudā hī mere andhere ko raushan kartā hai.
29 Kyoṅki tere sāth maiṅ faujī daste par hamlā kar saktā, apne Ḳhudā ke sāth dīwār ko phalāṅg saktā hūṅ.
30 Allāh kī rāh kāmil hai, Rab kā farmān ḳhālis hai. Jo bhī us meṅ panāh le us kī wuh ḍhāl hai.
31 Kyoṅki Rab ke siwā kaun Ḳhudā hai? Hamāre Ḳhudā ke siwā kaun chaṭṭān hai?
32 Allāh mujhe quwwat se kamarbastā kartā, wuh merī rāh ko kāmil kar detā hai.
33 Wuh mere pāṅwoṅ ko hiran kī-sī phurtī atā kartā, mujhe mazbūtī se merī bulandiyoṅ par khaṛā kartā hai.
34 Wuh mere hāthoṅ ko jang karne kī tarbiyat detā hai. Ab mere bāzū pītal kī kamān ko bhī tān lete haiṅ.
35 Ai Rab, tū ne mujhe apnī najāt kī ḍhāl baḳhsh dī hai. Tere dahne hāth ne mujhe qāym rakhā, terī narmī ne mujhe baṛā banā diyā hai.
36 Tū mere qadmoṅ ke lie rāstā banā detā hai, is lie mere ṭaḳhne nahīṅ ḍagmagāte.
37 Maiṅ ne apne dushmanoṅ kā tāqqub karke unheṅ pakaṛ liyā, maiṅ bāz na āyā jab tak wuh ḳhatm na ho gae.
38 Maiṅ ne unheṅ yoṅ pāsh pāsh kar diyā ki dubārā uṭh na sake balki gir kar mere pāṅwoṅ tale paṛe rahe.
39 Kyoṅki tū ne mujhe jang karne ke lie quwwat se kamarbastā kar diyā, tū ne mere muḳhālifoṅ ko mere sāmne jhukā diyā.
40 Tū ne mere dushmanoṅ ko mere sāmne se bhagā diyā, aur maiṅ ne nafrat karne wāloṅ ko tabāh kar diyā.
41 Wuh madad ke lie chīḳhte-chillāte rahe, lekin bachāne wālā koī nahīṅ thā. Wuh Rab ko pukārte rahe, lekin us ne jawāb na diyā.
42 Maiṅ ne unheṅ chūr chūr karke gard kī tarah hawā meṅ uṛā diyā. Maiṅ ne unheṅ kachre kī tarah galī meṅ phaiṅk diyā.
43 Tū ne mujhe qaum ke jhagaṛoṅ se bachā kar aqwām kā sardār banā diyā hai. Jis qaum se maiṅ nāwāqif thā wuh merī ḳhidmat kartī hai.
44 Jyoṅ hī maiṅ bāt kartā hūṅ to log merī sunte haiṅ. Pardesī dabak kar merī ḳhushāmad karte haiṅ.
45 Wuh himmat hār kar kāṅpte hue apne qiloṅ se nikal āte haiṅ.
46 Rab zindā hai! Merī chaṭṭān kī tamjīd ho! Merī najāt ke Ḳhudā kī tāzīm ho!
47 Wuhī Ḳhudā hai jo merā intaqām letā, aqwām ko mere tābe kar detā
48 aur mujhe mere dushmanoṅ se chhuṭkārā detā hai. Yaqīnan tū mujhe mere muḳhālifoṅ par sarfarāz kartā, mujhe zālimoṅ se bachāe rakhtā hai.
49 Ai Rab, is lie maiṅ aqwām meṅ terī hamd-o-sanā karūṅga, tere nām kī tārīf meṅ gīt gāūṅgā.
50 Kyoṅki Rab apne bādshāh ko baṛī najāt detā hai, wuh apne masah kie hue bādshāh Dāūd aur us kī aulād par hameshā tak mehrbān rahegā.