61
Dūr se Darḳhāst
Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tārdār sāz ke sāth gānā hai.
Ai Allāh, merī āh-o-zārī sun, merī duā par tawajjuh de.
Maiṅ tujhe duniyā kī intahā se pukār rahā hūṅ, kyoṅki merā dil niḍhāl ho gayā hai. Merī rāhnumāī karke mujhe us chaṭṭān par pahuṅchā de jo mujh se buland hai.
 
Kyoṅki tū merī panāhgāh rahā hai, ek mazbūt burj jis meṅ maiṅ dushman se mahfūz hūṅ.
Maiṅ hameshā ke lie tere ḳhaime meṅ rahnā, tere paroṅ tale panāh lenā chāhtā hūṅ. (Silāh)
 
Kyoṅki ai Allāh, tū ne merī mannatoṅ par dhyān diyā, tū ne mujhe wuh mīrās baḳhshī jo un sab ko miltī hai jo terā ḳhauf mānte haiṅ.
Bādshāh ko umr kī darāzī baḳhsh de. Wuh pusht-dar-pusht jītā rahe.
Wuh hameshā tak Allāh ke huzūr taḳhtnashīn rahe. Shafqat aur wafādārī us kī hifāzat kareṅ.
Tab maiṅ hameshā tak tere nām kī madahsarāī karūṅga, roz baroz apnī mannateṅ pūrī karūṅga.