76
Allāh Munsif Hai
1 Āsaf kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tārdār sāzoṅ ke sāth gānā hai.
Allāh Yahūdāh meṅ mashhūr hai, us kā nām Isrāīl meṅ azīm hai.
2 Us ne apnī mānd Sālim *Sālim se murād Yarūshalam hai. meṅ aur apnā bhaṭ Koh-e-Siyyūn par banā liyā hai.
3 Wahāṅ us ne jalte hue tīroṅ ko toṛ ḍālā aur ḍhāl, talwār aur jang ke hathiyāroṅ ko chūr chūr kar diyā hai. (Silāh)
4 Ai Allāh, tū daraḳhshāṅ hai, tū shikār ke pahāṛoṅ se āyā huā azīmush-shān sūrmā hai.
5 Bahāduroṅ ko lūṭ liyā gayā hai, wuh maut kī nīnd so gae haiṅ. Faujiyoṅ meṅ se ek bhī hāth nahīṅ uṭhā saktā.
6 Ai Yāqūb ke Ḳhudā, tere ḍānṭne par ghoṛe aur rathbān behis-o-harkat ho gae haiṅ.
7 Tū hī mahīb hai. Jab tū jhiṛke to kaun tere huzūr qāym rahegā?
8 Tū ne āsmān se faisle kā elān kiyā. Zamīn saham kar chup ho gaī
9 jab Allāh adālat karne ke lie uṭhā, jab wuh tamām musībatzadoṅ ko najāt dene ke lie āyā. (Silāh)
10 Kyoṅki insān kā taish bhī terī tamjīd kā bāis hai. Us ke taish kā āḳhirī natījā terā jalāl hī hai. †Lafzī tarjumā: Tū bache hue taish se kamarbastā ho jātā hai.
11 Rab apne Ḳhudā ke huzūr mannateṅ mān kar unheṅ pūrā karo. Jitne bhī us ke irdgird haiṅ wuh purjalāl Ḳhudā ke huzūr hadiye lāeṅ.
12 Wuh hukmrānoṅ ko shikastā rūh kar detā hai, usī se duniyā ke bādshāh dahshat khāte haiṅ.