3
Yarūshalam kā Anjām
1 Us sarkash, nāpāk aur zālim shahr par afsos jo Yarūshalam kahlātā hai. 2 Na wuh suntā, na tarbiyat qabūl kartā hai. Na wuh Rab par bharosā rakhtā, na apne Ḳhudā ke qarīb ātā hai. 3 Jo buzurg us ke bīch meṅ haiṅ wuh dahāṛte hue sherbabar haiṅ. Us ke qāzī shām ke waqt bhūke phirne wāle bheṛī'e haiṅ jo tulū-e-subah tak shikār kī ek haḍḍī tak nahīṅ chhoṛte. 4 Us ke nabī gustāḳh aur ġhaddār haiṅ. Us ke imām maqdis kī behurmatī aur sharīat se ziyādatī karte haiṅ.
5 Lekin Rab bhī shahr ke bīch meṅ hai, aur wuh rāst hai, wuh be'insāfī nahīṅ kartā. Subah basubah wuh apnā insāf qāym rakhtā hai, ham kabhī us se mahrūm nahīṅ rahte. Lekin bedīn sharm se wāqif hī nahīṅ hotā.
6 Rab farmātā hai, “Maiṅ ne qaumoṅ ko nest-o-nābūd kar diyā hai. Un ke qile tabāh, un kī galiyāṅ sunsān haiṅ. Ab un meṅ se koī nahīṅ guzartā. Un ke shahr itne barbād haiṅ ki koī bhī un meṅ nahīṅ rahtā. 7 Maiṅ bolā, ‘Beshak Yarūshalam merā ḳhauf mān kar merī tarbiyat qabūl karegā. Kyoṅki kyā zarūrat hai ki us kī rihāishgāh miṭ jāe aur merī tamām sazāeṅ us par nāzil ho jāeṅ.’ Lekin us ke bāshinde mazīd josh ke sāth apnī burī harkatoṅ meṅ lag gae.” 8 Chunāṅche Rab farmātā hai, “Ab mere intazār meṅ raho, us din ke intazār meṅ jab maiṅ shikār karne ke lie uṭhūṅgā. *Ek aur mumkinā tarjumā: gawāhī dene ke lie. Kyoṅki maiṅ ne aqwām ko jamā karne kā faislā kiyā hai. Maiṅ mamālik ko ikaṭṭhā karke un par apnā ġhazab nāzil karūṅga. Tab wuh mere saḳht qahr kā nishānā ban jāeṅge, pūrī duniyā merī ġhairat kī āg se bhasm ho jāegī.
Isrāīl ke lie Naī Ummīd
9 Lekin is ke bād maiṅ aqwām ke hoṅṭoṅ ko pāk-sāf karūṅga tāki wuh āindā Rab kā nām le kar ibādat kareṅ, ki wuh shānā bashānā khaṛī ho kar merī ḳhidmat kareṅ. 10 Us waqt mere parastār, merī muntashir huī qaum Ethopiyā ke dariyāoṅ ke pār se bhī ā kar mujhe qurbāniyāṅ pesh karegī.
11 Ai Siyyūn Beṭī, us din tujhe sharmsār nahīṅ honā paṛegā hālāṅki tū ne mujh se bewafā ho kar nihāyat bure kām kie haiṅ. Kyoṅki maiṅ tere darmiyān se tere mutakabbir sheḳhībāzoṅ ko nikālūṅgā. Āindā tū mere muqaddas pahāṛ par maġhrūr nahīṅ hogī. 12 Maiṅ tujh meṅ sirf qaum ke ġharīboṅ aur zarūratmandoṅ ko chhoṛūṅgā, un sab ko jo Rab ke nām meṅ panāh leṅge. 13 Isrāīl kā yih bachā huā hissā na ġhalat kām karegā, na jhūṭ bolegā. Un kī zabān par fareb nahīṅ hogā. Tab wuh bheṛoṅ kī tarah charāgāh meṅ chareṅge aur ārām kareṅge. Unheṅ ḍarāne wālā koī nahīṅ hogā.”
14 Ai Siyyūn Beṭī, ḳhushī ke nāre lagā! Ai Isrāīl, ḳhushī manā! Ai Yarūshalam Beṭī, shādmān ho, pūre dil se shādiyānā bajā. 15 Kyoṅki Rab ne terī sazā miṭā kar tere dushman ko bhagā diyā hai. Rab jo Isrāīl kā Bādshāh hai tere darmiyān hī hai. Āindā tujhe kisī nuqsān se ḍarne kī zarūrat nahīṅ hogī.
16 Us din log Yarūshalam se kaheṅge, “Ai Siyyūn, mat ḍarnā! Hauslā na hār, tere hāth ḍhīle na hoṅ. 17 Rab terā Ḳhudā tere darmiyān hai, terā pahalwān tujhe najāt degā. Wuh shādmān ho kar terī ḳhushī manāegā. Us kī muhabbat tere qusūr kā zikr hī nahīṅ karegī balki wuh tujh se intahāī ḳhush ho kar shādiyānā bajāegā.”
18 Rab farmātā hai, “Maiṅ īd ko tark karne wāloṅ ko tujh se dūr kar dūṅgā, kyoṅki wuh terī ruswāī kā bāis the. 19 Maiṅ un se bhī nipaṭ lūṅgā jo tujhe kuchal rahe haiṅ. Jo langaṛātā hai use maiṅ bachāūṅgā, jo muntashir haiṅ unheṅ jamā karūṅga. Jis mulk meṅ bhī un kī ruswāī huī wahāṅ maiṅ un kī tārīf aur ehtirām karāūṅgā. 20 Us waqt maiṅ tumheṅ jamā karke watan meṅ wāpas lāūṅgā. Maiṅ tumhāre deḳhte deḳhte tumheṅ bahāl karūṅga aur duniyā kī tamām aqwām meṅ tumhārī tārīf aur ehtirām karāūṅgā.” Yih Rab kā farmān hai.