5
Belshazzar kī Ziyāfat
Ek din Belshazzar Bādshāh apne baṛoṅ ke hazār afrād ke lie zabardast ziyāfat karke un ke sāth mai pīne lagā. Nashe meṅ us ne hukm diyā, “Sone-chāṅdī ke jo pyāle mere bāp Nabūkadnazzar ne Yarūshalam meṅ wāqe Allāh ke ghar se chhīn lie the wuh mere pās le āo tāki maiṅ apne baṛoṅ, bīwiyoṅ aur dāshtāoṅ ke sāth un se mai pī lūṅ.” Chunāṅche Yarūshalam meṅ wāqe Allāh ke ghar se lūṭe hue pyāle us ke pās lāe gae. Aur sab un se mai pī kar sone, chāṅdī, pītal, lohe, lakaṛī aur patthar ke apne butoṅ kī tamjīd karne lage.
Usī lamhe shāhī mahal ke hāl meṅ insānī hāth kī ungliyāṅ nazar āīṅ jo shamādān ke muqābil dīwār ke plastar par kuchh likhne lagīṅ. Jab bādshāh ne hāth ko likhte hue dekhā to us kā chehrā ḍar ke māre faq ho gayā. Us kī kamr ke joṛ ḍhīle paṛ gae. Aur us ke ghuṭne ek dūsre se ṭakrāne lage.
Wuh zor se chīḳhā, “Jādūgaroṅ, nujūmiyoṅ aur ġhaibdānoṅ ko bulāo!” Bābal ke dānishmand pahuṅche to wuh bolā, “Jo bhī likhe hue alfāz paṛh kar mujhe un kā matlab batā sake use arġhawānī rang kā libās pahnāyā jāegā. Us ke gale meṅ sone kī zanjīr pahnāī jāegī, aur hukūmat meṅ sirf do log us se baṛe hoṅge.”
Bādshāh ke dānishmand qarīb āe, lekin na wuh likhe hue alfāz paṛh sake, na un kā matlab bādshāh ko batā sake. Tab Belshazzar Bādshāh nihāyat pareshān huā, aur us kā chehrā mazīd māṅd paṛ gayā. Us ke shurafā bhī saḳht pareshān ho gae.
10 Bādshāh aur shurafā kī bāteṅ malikā tak pahuṅch gaīṅ to wuh ziyāfat ke hāl meṅ dāḳhil huī. Kahne lagī, “Bādshāh abad tak jīte raheṅ! Ghabrāne yā māṅd paṛne kī kyā zarūrat hai? 11 Āp kī bādshāhī meṅ ek ādmī hai jis meṅ muqaddas dewatāoṅ kī rūh hai. Āp ke bāp ke daur-e-hukūmat meṅ sābit huā ki wuh dewatāoṅ kī-sī basīrat, fahm aur hikmat kā mālik hai. Āp ke bāp Nabūkadnazzar Bādshāh ne use qismat kā hāl batāne wāloṅ, jādūgaroṅ, nujūmiyoṅ aur ġhaibdānoṅ par muqarrar kiyā thā, 12 kyoṅki us meṅ ġhairmāmūlī zihānat, ilm aur samajh pāī jātī hai. Wuh ḳhāboṅ kī tābīr karne aur paheliyāṅ aur pechīdā masle hal karne meṅ māhir sābit huā hai. Ādmī kā nām Dānyāl hai, go bādshāh ne us kā nām Beltashazzar rakhā thā. Merā mashwarā hai ki āp use bulāeṅ, kyoṅki wuh āp ko zarūr likhe hue alfāz kā matlab batāegā.”
13 Yih sun kar bādshāh ne Dānyāl ko fauran bulā liyā. Jab pahuṅchā to bādshāh us se muḳhātib huā, “Kyā tum wuh Dānyāl ho jise mere bāp Nabūkadnazzar Bādshāh Yahūdāh ke jilāwatanoṅ ke sāth Yahūdāh se yahāṅ lāe the? 14 Sunā hai ki dewatāoṅ kī rūh tum meṅ hai, ki tum basīrat, fahm aur ġhairmāmūlī hikmat ke mālik ho. 15 Dānishmandoṅ aur nujūmiyoṅ ko mere sāmne lāyā gayā hai tāki dīwār par likhe hue alfāz paṛh kar mujhe un kā matlab batāeṅ, lekin wuh nākām rahe haiṅ. 16 Ab mujhe batāyā gayā ki tum ḳhāboṅ kī tābīr aur pechīdā masloṅ ko hal karne meṅ māhir ho. Agar tum yih alfāz paṛh kar mujhe in kā matlab batā sako to tumheṅ arġhawānī rang kā libās pahnāyā jāegā. Tumhāre gale meṅ sone kī zanjīr pahnāī jāegī, aur hukūmat meṅ sirf do log tum se baṛe hoṅge.”
17 Dānyāl ne jawāb diyā, “Mujhe ajr na deṅ, apne tohfe kisī aur ko dījie. Maiṅ bādshāh ko yih alfāz aur in kā matlab waise hī batā dūṅgā. 18 Ai bādshāh, jo saltanat, azmat aur shān-o-shaukat āp ke bāp Nabūkadnazzar ko hāsil thī wuh Allāh T'ālā se milī thī. 19 Usī ne unheṅ wuh azmat atā kī thī jis ke bāis tamām qaumoṅ, ummatoṅ aur zabānoṅ ke afrād un se ḍarte aur un ke sāmne kāṅpte the. Jise wuh mār ḍālnā chāhte the use mārā gayā, jise wuh zindā chhoṛnā chāhte the wuh zindā rahā. Jise wuh sarfarāz karnā chāhte the wuh sarfarāz huā aur jise past karnā chāhte the wuh past huā. 20 Lekin wuh phūl kar had se zyādā maġhrūr ho gae. Is lie unheṅ taḳht se utārā gayā, aur wuh apnī qadar-o-manzilat kho baiṭhe. 21 Unheṅ insānī sangat se nikāl kar bhagāyā gayā, aur un kā dil jānwar ke dil kī mānind ban gayā. Un kā rahan-sahan janglī gadhoṅ ke sāth thā, aur wuh bailoṅ kī tarah ghās charne lage. Un kā jism āsmān kī os se tar rahtā thā. Yih hālat us waqt tak rahī jab tak ki unhoṅ ne iqrār na kiyā ki Allāh T'ālā kā insānī saltanatoṅ par iḳhtiyār hai, wuh apnī hī marzī se logoṅ ko un par muqarrar kartā hai.
22 Ai Belshazzar Bādshāh, go āp un ke beṭe haiṅ aur is bāt kā ilm rakhte haiṅ to bhī āp farotan na rahe 23 balki āsmān ke Mālik ke ḳhilāf uṭh khaṛe ho gae haiṅ. Āp ne hukm diyā ki us ke ghar ke pyāle āp ke huzūr lāe jāeṅ, aur āp ne apne baṛoṅ, bīwiyoṅ aur dāshtāoṅ ke sāth unheṅ mai pīne ke lie istemāl kiyā. Sāth sāth āp ne apne dewatāoṅ kī tamjīd kī go wuh chāṅdī, sone, pītal, lohe, lakaṛī aur patthar ke but hī haiṅ. Na wuh dekh sakte, na sun yā samajh sakte haiṅ. Lekin jis Ḳhudā ke hāth meṅ āp kī jān aur āp kī tamām rāheṅ haiṅ us kā ehtirām āp ne nahīṅ kiyā.
24 Isī lie us ne hāth bhej kar dīwār par yih alfāz likhwā die. 25 Aur likhā yih hai, ‘Mine mine taqel-o-farsīn.’
26 ‘Mine’ kā matlab ‘ginā huā’ hai. Yānī āp kī saltanat ke din gine hue haiṅ, Allāh ne unheṅ iḳhtitām tak pahuṅchāyā hai.
27 ‘Taqel’ kā matlab ‘tolā huā’ hai. Yānī Allāh ne āp ko tol kar mālūm kiyā hai ki āp kā wazn kam hai.
28 ‘Farsīn’ kā matlab ‘taqsīm huā’ hai. Yānī āp kī bādshāhī ko Mādiyoṅ aur Fārsiyoṅ meṅ taqsīm kiyā jāegā.”
29 Dānyāl ḳhāmosh huā to Belshazzar ne hukm diyā ki use arġhawānī rang kā libās pahnāyā jāe aur us ke gale meṅ sone kī zanjīr pahnāī jāe. Sāth sāth elān kiyā gayā ki ab se hukūmat meṅ sirf do ādmī Dānyāl se baṛe haiṅ.
30 Usī rāt Shāh-e-Bābal Belshazzar ko qatl kiyā gayā, 31 aur Dārā Mādī taḳht par baiṭh gayā. Us kī umr 62 sāl thī.