6
Dānyāl Sherbabar kī Mānd Meṅ
1 Dārā ne saltanat ke tamām sūboṅ par 120 sūbedār muta'ayyin karne kā faislā kiyā.
2 Un par tīn wazīr muqarrar the jin meṅ se ek Dānyāl thā. Gawarnar un ke sāmne jawābdeh the tāki bādshāh ko nuqsān na pahuṅche.
3 Jald hī patā chalā ki Dānyāl dūsre wazīroṅ aur sūbedāroṅ par sabqat rakhtā thā, kyoṅki wuh ġhairmāmūlī zihānat kā mālik thā. Natījatan bādshāh ne use pūrī saltanat par muqarrar karne kā irādā kiyā.
4 Jab dīgar wazīroṅ aur sūbedāroṅ ko yih bāt mālūm huī to wuh Dānyāl par ilzām lagāne kā bahānā ḍhūṅḍne lage. Lekin wuh apnī zimmedāriyoṅ ko nibhāne meṅ itnā qābil-e-etamād thā ki wuh nākām rahe. Kyoṅki na wuh rishwatkhor thā, na kisī kām meṅ sust.
5 Āḳhirkār wuh ādmī āpas meṅ kahne lage, “Is tarīqe se hameṅ Dānyāl par ilzām lagāne kā mauqā nahīṅ milegā. Lekin ek bāt hai jo ilzām kā bāis ban saktī hai yānī us ke Ḳhudā kī sharīat.”
6 Tab wuh guroh kī sūrat meṅ bādshāh ke sāmne hāzir hue aur kahne lage, “Dārā Bādshāh abad tak jīte raheṅ!
7 Saltanat ke tamām wazīr, gawarnar, sūbedār, mushīr aur muntazim āpas meṅ mashwarā karke muttafiq hue haiṅ ki agle 30 din ke daurān sab ko sirf bādshāh se duā karnī chāhie. Bādshāh ek farmān sādir kareṅ ki jo bhī kisī aur mābūd yā insān se iltijā kare use sheroṅ kī mānd meṅ phaiṅkā jāegā. Dhyān denā chāhie ki sab hī is par amal kareṅ.
8 Ai bādshāh, guzārish hai ki āp yih farmān zarūr sādir kareṅ balki likh kar us kī tasdīq bhī kareṅ tāki use tabdīl na kiyā jā sake. Tab wuh Mādiyoṅ aur Fārsiyoṅ ke qawānīn kā hissā ban kar mansūḳh nahīṅ kiyā jā sakegā.”
9 Dārā Bādshāh mān gayā. Us ne farmān likhwā kar us kī tasdīq kī.
10 Jab Dānyāl ko mālūm huā ki farmān sādir huā hai to wuh sīdhā apne ghar meṅ chalā gayā. Chhat par ek kamrā thā jis kī khulī khiṛkiyoṅ kā ruḳh Yarūshalam kī taraf thā. Is kamre meṅ Dānyāl rozānā tīn bār apne ghuṭne ṭek kar duā aur apne Ḳhudā kī satāish kartā thā. Ab bhī us ne yih silsilā jārī rakhā.
11 Jyoṅ hī Dānyāl apne Ḳhudā se duā aur iltijā kar rahā thā to us ke dushmanoṅ ne guroh kī sūrat meṅ ghar meṅ ghus kar use yih karte hue pāyā.
12 Tab wuh bādshāh ke pās gae aur use shāhī farmān kī yād dilāī, “Kyā āp ne farmān sādir nahīṅ kiyā thā ki agle 30 din ke daurān sab ko sirf bādshāh se duā karnī hai, aur jo kisī aur mābūd yā insān se iltijā kare use sheroṅ kī mānd meṅ phaiṅkā jāegā?” Bādshāh ne jawāb diyā, “Jī, yih farmān qāym hai balki Mādiyoṅ aur Fārsiyoṅ ke qawānīn kā hissā hai jo mansūḳh nahīṅ kiyā jā saktā.”
13 Unhoṅ ne kahā, “Ai bādshāh, Dānyāl jo Yahūdāh ke jilāwatanoṅ meṅ se hai na āp kī parwā kartā, na us farmān kī jis kī āp ne likh kar tasdīq kī. Abhī tak wuh rozānā tīn bār apne Ḳhudā se duā kartā hai.”
14 Yih sun kar bādshāh ko baṛī diqqat mahsūs huī. Pūrā din wuh sochtā rahā ki maiṅ Dānyāl ko kis tarah bachāūṅ. Sūraj ke ġhurūb hone tak wuh use chhuṛāne ke lie koshāṅ rahā.
15 Lekin āḳhirkār wuh ādmī guroh kī sūrat meṅ dubārā bādshāh ke huzūr āe aur kahne lage, “Bādshāh ko yād rahe ki Mādiyoṅ aur Fārsiyoṅ ke qawānīn ke mutābiq jo bhī farmān bādshāh sādir kare use tabdīl nahīṅ kiyā jā saktā.”
16 Chunāṅche bādshāh ne hukm diyā ki Dānyāl ko pakaṛ kar sheroṅ kī mānd meṅ phaiṅkā jāe. Aisā hī huā. Bādshāh bolā, “Ai Dānyāl, jis Ḳhudā kī ibādat tum bilānāġhā karte āe ho wuh tumheṅ bachāe.”
17 Phir mānd ke muṅh par patthar rakhā gayā, aur bādshāh ne apnī muhr aur apne baṛoṅ kī muhreṅ us par lagāīṅ tāki koī bhī use khol kar Dānyāl kī madad na kare.
18 Is ke bād bādshāh shāhī mahal meṅ wāpas chalā gayā aur pūrī rāt rozā rakhe hue guzārī. Na kuchh us kā dil bahlāne ke lie us ke pās lāyā gayā, na use nīnd āī.
19 Jab pau phaṭne lagī to wuh uṭh kar sheroṅ kī mānd ke pās gayā.
20 Us ke qarīb pahuṅch kar bādshāh ne ġhamgīn āwāz se pukārā, “Ai zindā Ḳhudā ke bande Dānyāl, kyā tumhāre Ḳhudā jis kī tum bilānāġhā ibādat karte rahe ho tumheṅ sheroṅ se bachā sakā?”
21 Dānyāl ne jawāb diyā, “Bādshāh abad tak jīte raheṅ!
22 Mere Ḳhudā ne apne farishte ko bhej diyā jis ne sheroṅ ke muṅh ko band kie rakhā. Unhoṅ ne mujhe koī bhī nuqsān na pahuṅchāyā, kyoṅki Allāh ke sāmne maiṅ bequsūr hūṅ. Bādshāh salāmat ke ḳhilāf bhī mujh se jurm nahīṅ huā.”
23 Yih sun kar bādshāh āpe meṅ na samāyā. Us ne Dānyāl ko mānd se nikālne kā hukm diyā. Jab use khīṅch kar nikālā gayā to mālūm huā ki use koī bhī nuqsān nahīṅ pahuṅchā. Yoṅ use Allāh par bharosā rakhne kā ajr milā.
24 Lekin jin ādmiyoṅ ne Dānyāl par ilzām lagāyā thā un kā burā anjām huā. Bādshāh ke hukm par unheṅ un ke bāl-bachchoṅ samet sheroṅ kī mānd meṅ phaiṅkā gayā. Mānd ke farsh par girne se pahle hī sher un par jhapaṭ paṛe aur unheṅ phāṛ kar un kī haḍḍiyoṅ ko chabā liyā.
25 Phir Dārā Bādshāh ne saltanat kī tamām qaumoṅ, ummatoṅ aur ahl-e-zabān ko zail kā paiġhām bhejā,
“Sab kī salāmatī ho!
26 Merā farmān suno! Lāzim hai ki merī saltanat kī har jagah log Dānyāl ke Ḳhudā ke sāmne thartharāeṅ aur us kā ḳhauf māneṅ. Kyoṅki wuh zindā Ḳhudā aur abad tak qāym hai. Na kabhī us kī bādshāhī tabāh, na us kī hukūmat ḳhatm hogī.
27 Wuhī bachātā aur najāt detā hai, wuhī āsmān-o-zamīn par ilāhī nishān aur mojize dikhātā hai. Usī ne Dānyāl ko sheroṅ ke qabze se bachāyā.”
28 Chunāṅche Dānyāl ko Dārā Bādshāh aur Fāras ke bādshāh Ḳhoras ke daur-e-hukūmat meṅ bahut kāmyābī hāsil huī.