8
Dānyāl kī Dūsrī Royā: Menḍhā aur Bakrā
1 Belshazzar Bādshāh ke daur-e-hukūmat ke tīsre sāl meṅ maiṅ, Dānyāl ne ek aur royā dekhī.
2 Royā meṅ maiṅ sūbā Ailām ke qilāband shahr Sosan kī nahar Ūlāī ke kināre par khaṛā thā.
3 Jab maiṅ ne apnī nigāh uṭhāī to kināre par mere sāmne hī ek menḍhā khaṛā thā. Us ke do baṛe sīṅg the jin meṅ se ek zyādā baṛā thā. Lekin wuh dūsre ke bād hī baṛā ho gayā thā.
4 Merī nazaroṅ ke sāmne menḍhā maġhrib, shimāl aur junūb kī taraf sīṅg mārne lagā. Na koī jānwar us kā muqābalā kar sakā, na koī us ke qābū se bachā sakā. Jo jī chāhe kartā thā aur hote hote bahut baṛā ho gayā.
5 Maiṅ us par ġhaur hī kar rahā thā ki achānak maġhrib se āte hue ek bakrā dikhāī diyā. Us kī āṅkhoṅ ke darmiyān zabardast sīṅg thā, aur wuh zamīn ko chhue baġhair chal rahā thā. Pūrī duniyā ko ubūr karke
6 wuh do sīṅgoṅ wāle us menḍhe ke pās pahuṅch gayā jo maiṅ ne nahar ke kināre khaṛā dekhā thā. Baṛe taish meṅ ā kar wuh us par ṭūṭ paṛā.
7 Maiṅ ne dekhā ki wuh menḍhe ke pahlū se ṭakrā gayā. Baṛe ġhusse meṅ us ne use yoṅ mārā ki menḍhe ke donoṅ sīṅg ṭukṛe ṭukṛe ho gae. Is bebas hālat meṅ menḍhā us kā muqābalā na kar sakā. Bakre ne use zamīn par paṭaḳh kar pāṅwoṅ tale kuchal diyā. Koī nahīṅ thā jo menḍhe ko bakre ke qābū se bachāe.
8 Bakrā nihāyat tāqatwar ho gayā. Lekin tāqat ke urūj par hī us kā baṛā sīṅg ṭūṭ gayā, aur us kī jagah mazīd chār zabardast sīṅg nikal āe jin kā ruḳh āsmān kī chār simtoṅ kī taraf thā.
9 Un ke ek sīṅg meṅ se ek aur sīṅg nikal āyā jo ibtidā meṅ chhoṭā thā. Lekin wuh junūb, mashriq aur ḳhūbsūrat mulk Isrāīl kī taraf baṛhte baṛhte bahut tāqatwar ho gayā.
10 Phir wuh āsmānī fauj tak baṛh gayā. Wahāṅ us ne kuchh faujiyoṅ aur sitāroṅ ko zamīn par phaiṅk kar pāṅwoṅ tale kuchal diyā.
11 Wuh baṛhte baṛhte āsmānī fauj ke kamānḍar tak bhī pahuṅch gayā aur use un qurbāniyoṅ se mahrūm kar diyā jo use rozānā pesh kī jātī thīṅ. Sāth sāth sīṅg ne us ke maqdis ke maqām ko tabāh kar diyā.
12 Us kī fauj se rozānā kī qurbāniyoṅ kī behurmatī huī, aur sīṅg ne sachchāī ko zamīn par paṭaḳh diyā. Jo kuchh bhī us ne kiyā us meṅ wuh kāmyāb rahā.
13 Phir maiṅ ne do muqaddas hastiyoṅ ko āpas meṅ bāt karte hue sunā. Ek ne pūchhā, “Is royā meṅ pesh kie gae hālāt kab tak qāym raheṅge, yānī jo kuchh rozānā kī qurbāniyoṅ ke sāth ho rahā hai, yih tabāhkun behurmatī aur yih bāt ki maqdis ko pāmāl kiyā jā rahā hai?”
14 Dūsre ne jawāb meṅ mujhe batāyā, “Hālāt 2,300 shāmoṅ aur subhoṅ tak yoṅ hī raheṅge. Is ke bād maqdis ko nae sire se maḳhsūs-o-muqaddas kiyā jāegā.”
15 Maiṅ dekhe hue wāqiyāt ko samajhne kī koshish kar hī rahā thā ki koī mere sāmne khaṛā huā jo mard jaisā lag rahā thā.
16 Sāth sāth maiṅ ne nahar Ūlāī kī taraf se kisī shaḳhs kī āwāz sunī jis ne kahā, “Ai Jibrāīl, is ādmī ko royā kā matlab batā de.”
17 Farishtā mere qarīb āyā to maiṅ saḳht ghabrā kar muṅh ke bal gir gayā. Lekin wuh bolā, “Ai ādamzād, jān le ki is royā kā tālluq āḳhirī zamāne se hai.”
18 Jab wuh mujh se bāt kar rahā thā to maiṅ madhosh hālat meṅ muṅh ke bal paṛā rahā. Ab farishte ne mujhe chhū kar pāṅwoṅ par khaṛā kiyā.
19 Wuh bolā, “Maiṅ tujhe samjhā detā hūṅ ki us āḳhirī zamāne meṅ kyā kuchh pesh āegā jab Allāh kā ġhazab nāzil hogā. Kyoṅki royā kā tālluq āḳhirī zamāne se hai.
20 Do sīṅgoṅ ke jis menḍhe ko tū ne dekhā wuh Mādī aur Fāras ke bādshāhoṅ kī numāindagī kartā hai.
21 Lambe bāloṅ kā bakrā Yūnān kā bādshāh hai. Us kī āṅkhoṅ ke darmiyān lagā baṛā sīṅg Yūnānī shahanshāhī kā pahlā bādshāh hai.
22 Tū ne dekhā ki yih sīṅg ṭūṭ gayā aur us kī jagah chār sīṅg nikal āe. Is kā matlab hai ki pahlī bādshāhī se chār aur nikal āeṅgī. Lekin chāroṅ kī tāqat pahlī kī nisbat kam hogī.
23 Un kī hukūmat ke āḳhirī aiyām meṅ bewafāoṅ kī badkirdārī urūj tak pahuṅch gaī hogī.
Us waqt ek gustāḳh aur sāzish kā māhir bādshāh taḳht par baiṭhegā.
24 Wuh bahut tāqatwar ho jāegā, lekin yih us kī apnī tāqat nahīṅ hogī. Wuh hairatangez barbādī kā bāis banegā, aur jo kuchh bhī karegā us meṅ kāmyāb hogā. Wuh zorāwaroṅ aur muqaddas qaum ko tabāh karegā.
25 Apnī samajh aur fareb ke zariye wuh kāmyāb rahegā. Tab wuh mutakabbir ho jāegā. Jab log apne āp ko mahfūz samjheṅge to wuh unheṅ maut ke ghāṭ utāregā. Āḳhirkār wuh hukmrānoṅ ke hukmrān ke ḳhilāf bhī uṭhegā. Lekin wuh pāsh pāsh ho jāegā, albattā insānī hāth se nahīṅ.
26 Ai Dānyāl, shāmoṅ aur subhoṅ ke bāre meṅ jo royā tujh par zāhir huī wuh sachchī hai. Lekin filhāl use poshīdā rakh, kyoṅki yih wāqiyāt abhī pesh nahīṅ āeṅge balki bahut dinoṅ ke guzar jāne ke bād hī.”
27 Is ke bād maiṅ, Dānyāl niḍhāl ho kar kaī dinoṅ tak bīmār rahā. Phir maiṅ uṭhā aur bādshāh kī ḳhidmat meṅ dubārā apne farāyz adā karne lagā. Maiṅ royā se saḳht pareshān thā, aur koī nahīṅ thā jo mujhe us kā matlab batā sake.