Ifisiyoṅ
1
1 Yih ḳhat Paulus kī taraf se hai, jo Allāh kī marzī se Masīh Īsā kā rasūl hai.
Maiṅ Ifisus Shahr ke muqaddasīn ko likh rahā hūṅ, unheṅ jo Masīh Īsā meṅ īmāndār haiṅ.
2 Ḳhudā hamārā Bāp aur Ḳhudāwand Īsā Masīh āp ko fazl aur salāmatī baḳhsheṅ.
Masīh meṅ Ruhānī Barkateṅ
3 Ḳhudā hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh ke Bāp kī hamd-o-sanā ho! Kyoṅki Masīh meṅ us ne hameṅ āsmān par har ruhānī barkat se nawāzā hai.
4 Duniyā kī taḳhlīq se peshtar hī us ne Masīh meṅ hameṅ chun liyā tāki ham muqaddas aur beaib hālat meṅ us ke sāmne zindagī guzāreṅ.
Yih kitnī azīm muhabbat thī!
5 Pahle hī se us ne faislā kar liyā ki wuh hameṅ Masīh meṅ apne beṭe-beṭiyāṅ banā legā. Yihī us kī marzī aur ḳhushī thī
6 tāki ham us ke jalālī fazl kī tamjīd kareṅ, us muft nemat ke lie jo us ne hameṅ apne pyāre Farzand meṅ de dī.
7 Kyoṅki us ne Masīh ke ḳhūn se hamārā fidyā de kar hameṅ āzād aur hamāre gunāhoṅ ko muāf kar diyā hai. Allāh kā yih fazl kitnā wasī hai
8 jo us ne kasrat se hameṅ atā kiyā hai.
Apnī pūrī hikmat aur dānāī kā izhār karke
9 Allāh ne ham par apnī poshīdā marzī zāhir kar dī, yānī wuh mansūbā jo use pasand thā aur jo us ne Masīh meṅ pahle se banā rakhā thā.
10 Mansūbā yih hai ki jab muqarrarā waqt āegā to Allāh Masīh meṅ tamām kāynāt ko jamā kar degā. Us waqt sab kuchh mil kar Masīh ke taht ho jāegā, ḳhāh wuh āsmān par ho yā zamīn par.
11 Masīh meṅ ham āsmānī bādshāhī ke wāris bhī ban gae haiṅ. Allāh ne pahle se hameṅ is ke lie muqarrar kiyā, kyoṅki wuh sab kuchh yoṅ saranjām detā hai ki us kī marzī kā irādā pūrā ho jāe.
12 Aur wuh chāhtā hai ki ham us ke jalāl kī satāish kā bāis baneṅ, ham jinhoṅ ne pahle se Masīh par ummīd rakhī.
13 Āp bhī Masīh meṅ haiṅ, kyoṅki āp sachchāī kā kalām aur apnī najāt kī ḳhushḳhabrī sun kar īmān lāe. Aur Allāh ne āp par bhī Rūhul-quds kī muhr lagā dī jis kā wādā us ne kiyā thā.
14 Rūhul-quds hamārī mīrās kā bayānā hai. Wuh hameṅ yih zamānat detā hai ki Allāh hamārā jo us kī milkiyat haiṅ fidyā de kar hameṅ pūrī maḳhlasī tak pahuṅchāegā. Kyoṅki hamārī zindagī kā maqsad yih hai ki us ke jalāl kī satāish kī jāe.
Paulus kī Duā
15 Bhāiyo, maiṅ Ḳhudāwand Īsā par āp ke īmān aur āp kī tamām muqaddasīn se muhabbat ke bāre meṅ sun kar
16 āp ke lie Ḳhudā kā shukr karne se bāz nahīṅ ātā balki āp ko apnī duāoṅ meṅ yād kartā rahtā hūṅ.
17 Merī ḳhās duā yih hai ki hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh kā Ḳhudā aur jalālī Bāp āp ko dānāī aur mukāshafā kī rūh de tāki āp use behtar taur par jān sakeṅ.
18 Wuh kare ki āp ke diloṅ kī āṅkheṅ raushan ho jāeṅ. Kyoṅki phir hī āp jān leṅge ki yih kaisī ummīd hai jis ke lie us ne āp ko bulāyā hai, ki yih jalālī mīrās kaisī daulat hai jo muqaddasīn ko hāsil hai,
19 aur ki ham īmān rakhne wāloṅ par us kī qudrat kā izhār kitnā zabardast hai. Yih wuhī behad qudrat hai
20 jis se us ne Masīh ko murdoṅ meṅ se zindā karke āsmān par apne dahne hāth biṭhāyā.
21 Wahāṅ Masīh har hukmrān, iḳhtiyār, quwwat, hukūmat, hāṅ har nām se kahīṅ sarfarāz hai, ḳhāh is duniyā meṅ ho yā āne wālī duniyā meṅ.
22 Allāh ne sab kuchh us ke pāṅwoṅ ke nīche karke use sab kā sar banā diyā. Yih us ne apnī jamāt kī ḳhātir kiyā
23 jo Masīh kā badan hai aur jise Masīh se pūrī māmūrī hāsil hotī hai yānī us se jo har tarah se sab kuchh māmūr kar detā hai.