34
Patthar kī Naī Taḳhtiyāṅ
1 Rab ne Mūsā se kahā, “Apne lie patthar kī do taḳhtiyāṅ tarāsh le jo pahlī do kī mānind hoṅ. Phir maiṅ un par wuh alfāz likhūṅgā jo pahlī taḳhtiyoṅ par likhe the jinheṅ tū ne paṭaḳh diyā thā.
2 Subah tak taiyār ho kar Sīnā Pahāṛ par chaṛhnā. Choṭī par mere sāmne khaṛā ho jā.
3 Tere sāth koī bhī na āe balki pūre pahāṛ par koī aur shaḳhs nazar na āe, yahāṅ tak ki bheṛ-bakriyāṅ aur gāy-bail bhī pahāṛ ke dāman meṅ na chareṅ.”
4 Chunāṅche Mūsā ne do taḳhtiyāṅ tarāsh līṅ jo pahlī kī mānind thīṅ. Phir wuh subah-sawere uṭh kar Sīnā Pahāṛ par chaṛh gayā jis tarah Rab ne use hukm diyā thā. Us ke hāthoṅ meṅ patthar kī donoṅ taḳhtiyāṅ thīṅ.
5 Jab wuh choṭī par pahuṅchā to Rab bādal meṅ utar āyā aur us ke pās khaṛe ho kar apne nām Rab kā elān kiyā.
6 Mūsā ke sāmne se guzarte hue us ne pukārā, “Rab, Rab, rahīm aur mehrbān Ḳhudā. Tahammul, shafqat aur wafā se bharpūr.
7 Wuh hazāroṅ par apnī shafqat qāym rakhtā aur logoṅ kā qusūr, nāfarmānī aur gunāh muāf kartā hai. Lekin wuh har ek ko us kī munāsib sazā bhī detā hai. Jab wālidain gunāh kareṅ to un kī aulād ko bhī tīsrī aur chauthī pusht tak sazā ke natāyj bhugatne paṛeṅge.”
8 Mūsā ne jaldī se jhuk kar sijdā kiyā.
9 Us ne kahā, “Ai Rab, agar mujh par terā karm ho to hamāre sāth chal. Beshak yih qaum haṭdharm hai, to bhī hamārā qusūr aur gunāh muāf kar aur baḳhsh de ki ham dubārā tere hī ban jāeṅ.”
10 Tab Rab ne kahā, “Maiṅ tumhāre sāth ahd bāndhūṅgā. Terī qaum ke sāmne hī maiṅ aise mojize karūṅga jo ab tak duniyā-bhar kī kisī bhī qaum meṅ nahīṅ kie gae. Pūrī qaum jis ke darmiyān tū rahtā hai Rab kā kām dekhegī aur us se ḍar jāegī jo maiṅ tere sāth karūṅga.
11 Jo ahkām maiṅ āj detā hūṅ un par amal kartā rah. Maiṅ Amorī, Kanānī, Hittī, Farizzī, Hiwwī aur Yabūsī aqwām ko tere āge āge mulk se nikāl dūṅgā.
12 Ḳhabardār, jo us mulk meṅ rahte haiṅ jahāṅ tū jā rahā hai un se ahd na bāndhnā. Warnā wuh tere darmiyān rahte hue tujhe gunāhoṅ meṅ phaṅsāte raheṅge.
13 Un kī qurbāngāheṅ ḍhā denā, un ke butoṅ ke satūn ṭukṛe ṭukṛe kar denā aur un kī dewī Yasīrat ke khambe kāṭ ḍālnā.
14 Kisī aur mābūd kī parastish na karnā, kyoṅki Rab kā nām ġhayūr hai, Allāh ġhairatmand hai.
15 Ḳhabardār, us mulk ke bāshindoṅ se ahd na karnā, kyoṅki tere darmiyān rahte hue bhī wuh apne mābūdoṅ kī pairawī karke zinā kareṅge aur unheṅ qurbāniyāṅ chaṛhāeṅge. Āḳhirkār wuh tujhe bhī apnī qurbāniyoṅ meṅ shirkat kī dāwat deṅge.
16 Ḳhatrā hai ki tū un kī beṭiyoṅ kā apne beṭoṅ ke sāth rishtā bāndhe. Phir jab yih apne mābūdoṅ kī pairawī karke zinā kareṅgī to un ke sabab se tere beṭe bhī un kī pairawī karne lageṅge.
17 Apne lie dewatā na ḍhālnā.
Sālānā Īdeṅ
18 Beḳhamīrī Roṭī kī Īd manānā. Abīb ke mahīne meṅ sāt din tak terī roṭī meṅ ḳhamīr na ho jis tarah maiṅ ne hukm diyā hai. Kyoṅki is mahīne meṅ tū Misr se niklā.
19 Har pahlauṭhā merā hai. Tere māl maweshiyoṅ kā har pahlauṭhā merā hai, chāhe bachhṛā ho yā lelā.
20 Lekin pahlauṭhe gadhe ke ewaz bheṛ denā. Agar yih mumkin na ho to us kī gardan toṛ ḍālnā. Apne pahlauṭhe beṭoṅ ke lie bhī ewazī denā. Koī mere pās ḳhālī hāth na āe.
21 Chhih din kām-kāj karnā, lekin sātweṅ din ārām karnā. Ḳhāh hal chalānā ho yā fasal kāṭnī ho to bhī sātweṅ din ārām karnā.
22 Gandum kī Fasal kī Kaṭāī kī Īd us waqt manānā jab tū gehūṅ kī pahlī fasal kāṭegā. Angūr aur Phal Jamā Karne kī Īd Isrāīlī sāl ke iḳhtitām par manānī hai.
23 Lāzim hai ki tere tamām mard sāl meṅ tīn martabā Rab Qādir-e-mutlaq ke sāmne jo Isrāīl kā Ḳhudā hai hāzir hoṅ.
24 Maiṅ tere āge āge qaumoṅ ko mulk se nikāl dūṅgā aur terī sarhaddeṅ baṛhātā jāūṅgā. Phir jab tū sāl meṅ tīn martabā Rab apne Ḳhudā ke huzūr āegā to koī bhī tere mulk kā lālach nahīṅ karegā.
25 Jab tū kisī jānwar ko zabah karke qurbānī ke taur par pesh kartā hai to us ke ḳhūn ke sāth aisī roṭī pesh na karnā jis meṅ ḳhamīr ho. Īd-e-Fasah kī qurbānī se aglī subah tak kuchh bāqī na rahe.
26 Apnī zamīn kī pahlī paidāwār meṅ se behtarīn hissā Rab apne Ḳhudā ke ghar meṅ le ānā.
Bakrī yā bheṛ ke bachche ko us kī māṅ ke dūdh meṅ na pakānā.”
Mūsā ke Chehre par Chamak
27 Rab ne Mūsā se kahā, “Yih tamām bāteṅ likh le, kyoṅki yih us ahd kī buniyād haiṅ jo maiṅ ne tere aur Isrāīl ke sāth bāndhā hai.”
28 Mūsā chālīs din aur chālīs rāt wahīṅ Rab ke huzūr rahā. Is daurān na us ne kuchh khāyā na piyā. Us ne patthar kī taḳhtiyoṅ par ahd ke das ahkām likhe.
29 Is ke bād Mūsā sharīat kī donoṅ taḳhtiyoṅ ko hāth meṅ lie hue Sīnā Pahāṛ se utrā. Us ke chehre kī jild chamak rahī thī, kyoṅki us ne Rab se bāt kī thī. Lekin use ḳhud is kā ilm nahīṅ thā.
30 Jab Hārūn aur tamām Isrāīliyoṅ ne dekhā ki Mūsā kā chehrā chamak rahā hai to wuh us ke pās āne se ḍar gae.
31 Lekin us ne unheṅ bulāyā to Hārūn aur jamāt ke tamām sardār us ke pās āe, aur us ne un se bāt kī.
32 Bād meṅ bāqī Isrāīlī bhī āe, aur Mūsā ne unheṅ tamām ahkām sunāe jo Rab ne use Koh-e-Sīnā par die the.
33 Yih sab kuchh kahne ke bād Mūsā ne apne chehre par niqāb ḍāl liyā.
34 Jab bhī wuh Rab se bāt karne ke lie mulāqāt ke ḳhaime meṅ jātā to niqāb ko ḳhaime se nikalte waqt tak utār letā. Aur jab wuh nikal kar Isrāīliyoṅ ko Rab se mile hue ahkām sunātā
35 to wuh deḳhte ki us ke chehre kī jild chamak rahī hai. Is ke bād Mūsā dubārā niqāb ko apne chehre par ḍāl letā, aur wuh us waqt tak chehre par rahtā jab tak Mūsā Rab se bāt karne ke lie mulāqāt ke ḳhaime meṅ na jātā thā.