35
Sabat kā Din
Mūsā ne Isrāīl kī pūrī jamāt ko ikaṭṭhā karke kahā, “Rab ne tum ko yih hukm die haiṅ: Chhih din kām-kāj kiyā jāe, lekin sātwāṅ din maḳhsūs-o-muqaddas ho. Wuh Rab ke lie ārām kā Sabat hai. Jo bhī is din kām kare use sazā-e-maut dī jāe. Hafte ke din apne tamām gharoṅ meṅ āg tak na jalānā.”
Mulāqāt ke Ḳhaime ke lie Sāmān
Mūsā ne Isrāīl kī pūrī jamāt se kahā, “Rab ne hidāyat dī hai ki jo kuchh tumhāre pās hai us meṅ se hadiye lā kar Rab ko uṭhāne wālī qurbānī ke taur par pesh karo. Jo bhī dilī ḳhushī se denā chāhe wuh in chīzoṅ meṅ se kuchh de: sonā, chāṅdī, pītal; nīle, arġhawānī aur qirmizī rang kā dhāgā, bārīk katān, bakrī ke bāl, menḍhoṅ kī surḳh rangī huī khāleṅ, taḳhas kī khāleṅ, kīkar kī lakaṛī, shamādān ke lie zaitūn kā tel, masah karne ke lie tel aur ḳhushbūdār baḳhūr ke lie masāle, aqīq-e-ahmar aur dīgar jawāhar jo imām-e-āzam ke bālāposh aur sīne ke kīse meṅ jaṛe jāeṅge.
10 Tum meṅ se jitne māhir kārīgar haiṅ wuh ā kar wuh kuchh banāeṅ jo Rab ne farmāyā 11 yānī ḳhaimā aur wuh ġhilāf jo us ke ūpar lagāe jāeṅge, hukeṅ, dīwāroṅ ke taḳhte, shahtīr, satūn aur pāe, 12 ahd kā sandūq, use uṭhāne kī lakaṛiyāṅ, us ke kaffāre kā ḍhaknā, Muqaddastarīn Kamre ke darwāze kā pardā, 13 maḳhsūs roṭiyoṅ kī mez, use uṭhāne kī lakaṛiyāṅ, us kā sārā sāmān aur roṭiyāṅ, 14 shamādān aur us par rakhne ke charāġh us ke sāmān samet, shamādān ke lie tel, 15 baḳhūr jalāne kī qurbāngāh, use uṭhāne kī lakaṛiyāṅ, masah kā tel, ḳhushbūdār baḳhūr, muqaddas ḳhaime ke darwāze kā pardā, 16 jānwaroṅ ko chaṛhāne kī qurbāngāh, us kā pītal kā janglā, use uṭhāne kī lakaṛiyāṅ aur bāqī sārā sāmān, dhone kā hauz aur wuh ḍhāṅchā jis par hauz rakhā jātā hai, 17 chārdīwārī ke parde un ke khamboṅ aur pāiyoṅ samet, sahan ke darwāze kā pardā, 18 ḳhaime aur chārdīwārī kī meḳheṅ aur rasse, 19 aur wuh muqaddas libās jo Hārūn aur us ke beṭe maqdis meṅ ḳhidmat karne ke lie pahante haiṅ.”
20 Yih sun kar Isrāīl kī pūrī jamāt Mūsā ke pās se chalī gaī. 21 Aur jo jo dilī ḳhushī se denā chāhtā thā wuh mulāqāt ke ḳhaime, us ke sāmān yā imāmoṅ ke kapṛoṅ ke lie koī hadiyā le kar wāpas āyā. 22 Rab ke hadiye ke lie mard aur ḳhawātīn dilī ḳhushī se apne sone ke zewarāt masalan jaṛāū pineṅ, bāliyāṅ aur chhalle le āe. 23 Jis jis ke pās darkār chīzoṅ meṅ se kuchh thā wuh use Mūsā ke pās le āyā yānī nīle, qirmizī aur arġhawānī rang kā dhāgā, bārīk katān, bakrī ke bāl, menḍhoṅ kī surḳh rangī huī khāleṅ aur taḳhas kī khāleṅ. 24 Chāṅdī, pītal aur kīkar kī lakaṛī bhī hadiye ke taur par lāī gaī. 25 Aur jitnī aurateṅ kātne meṅ māhir thīṅ wuh apnī kātī huī chīzeṅ le āīṅ yānī nīle, qirmizī aur arġhawānī rang kā dhāgā aur bārīk katān. 26 Isī tarah jo jo aurat bakrī ke bāl kātne meṅ māhir thī aur dilī ḳhushī se maqdis ke lie kām karnā chāhtī thī wuh yih kāt kar le āī. 27 Sardār aqīq-e-ahmar aur dīgar jawāhar le āe jo imām-e-āzam ke bālāposh aur sīne ke kīse ke lie darkār the. 28 Wuh shamādān, masah ke tel aur ḳhushbūdār baḳhūr ke lie masāle aur zaitūn kā tel bhī le āe.
29 Yoṅ Isrāīl ke tamām mard aur ḳhawātīn jo dilī ḳhushī se Rab ko kuchh denā chāhte the us sāre kām ke lie hadiye le āe jo Rab ne Mūsā kī mārifat karne ko kahā thā.
Bazliyel aur Uhliyāb
30 Phir Mūsā ne Isrāīliyoṅ se kahā, “Rab ne Yahūdāh ke qabīle ke Bazliyel bin Ūrī bin Hūr ko chun liyā hai. 31 Us ne use ilāhī Rūh se māmūr karke hikmat, samajh aur tāmīr ke har kām ke lie darkār ilm de diyā hai. 32 Wuh naqshe banā kar un ke mutābiq sone, chāṅdī aur pītal kī chīzeṅ banā saktā hai. 33 Wuh jawāhar ko kāṭ kar jaṛne kī qābiliyat rakhtā hai. Wuh lakaṛī ko tarāsh kar us se muḳhtalif chīzeṅ banā saktā hai. Wuh bahut sāre aur kāmoṅ meṅ bhī mahārat rakhtā hai. 34 Sāth hī Rab ne use aur Dān ke qabīle ke Uhliyāb bin Aḳhīsamak ko dūsroṅ ko sikhāne kī qābiliyat bhī dī hai. 35 Us ne unheṅ wuh mahārat aur hikmat dī hai jo har kām ke lie darkār hai yānī kārīgarī ke har kām ke lie, kaṛhāī ke kām ke lie, nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge aur bārīk katān se kapṛā banāne ke lie aur bunāī ke kām ke lie. Wuh māhir kārīgar haiṅ aur naqshe bhī banā sakte haiṅ.