Yasāyāh
1
1 Zail meṅ wuh royāeṅ darj haiṅ jo Yasāyāh bin Āmūs ne Yahūdāh aur Yarūshalam ke bāre meṅ dekhīṅ aur jo un sāloṅ meṅ munkashif huīṅ jab Uzziyāh, Yūtām, Āḳhaz aur Hizqiyāh Yahūdāh ke bādshāh the.
Isrāīlī Apne Āqā ko Jānane se Inkār Karte Haiṅ
2 Ai āsmān, merī bāt sun! Ai zamīn, mere alfāz par kān dhar! Kyoṅki Rab ne farmāyā hai,
“Jin bachchoṅ kī parwarish maiṅ ne kī hai aur jo mere zer-e-nigarānī parwān chaṛhe haiṅ, unhoṅ ne mujh se rishtā toṛ liyā hai.
3 Bail apne mālik ko jāntā aur gadhā apne āqā kī charnī ko pahchāntā hai, lekin Isrāīl itnā nahīṅ jāntā, merī qaum samajh se ḳhālī hai.”
4 Ai gunāhgār qaum, tujh par afsos! Ai sangīn qusūr meṅ phaṅsī huī ummat, tujh par afsos! Sharīr nasl, badchalan bachche! Unhoṅ ne Rab ko tark kar diyā hai. Hāṅ, unhoṅ ne Isrāīl ke Quddūs ko haqīr jān kar radd kiyā, apnā muṅh us se pher liyā hai.
5 Ab tumheṅ mazīd kahāṅ pīṭā jāe? Tumhārī zid to mazīd baṛhtī jā rahī hai go pūrā sar zaḳhmī aur pūrā dil bīmār hai.
6 Chāṅd se le kar talwe tak pūrā jism majrūh hai, har jagah choṭeṅ, ghāw aur tāzā tāzā zarbeṅ lagī haiṅ. Aur na unheṅ sāf kiyā gayā, na un kī marham-paṭṭī kī gaī hai.
7 Tumhārā mulk wīrān-o-sunsān ho gayā hai, tumhāre shahr bhasm ho gae haiṅ. Tumhāre deḳhte deḳhte pardesī tumhāre khetoṅ ko lūṭ rahe haiṅ, unheṅ yoṅ ujāṛ rahe haiṅ jis tarah pardesī hī kar sakte haiṅ.
8 Sirf Yarūshalam hī bāqī rah gayā hai, Siyyūn Beṭī angūr ke bāġh meṅ jhoṅpṛī kī tarah akelī rah gaī hai. Ab dushman se ghirā huā yih shahr khīre ke khet meṅ lage chhappar kī mānind hai.
9 Agar Rabbul-afwāj ham meṅ se chand ek ko zindā na chhoṛtā to ham Sadūm kī tarah miṭ jāte, hamārā Amūrā kī tarah satyānās ho jātā.
10 Ai Sadūm ke sardāro, Rab kā farmān sun lo! Ai Amūrā ke logo, hamāre Ḳhudā kī hidāyat par dhyān do!
11 Rab farmātā hai, “Agar tum beshumār qurbāniyāṅ pesh karo to mujhe kyā? Maiṅ to bhasm hone wāle menḍhoṅ aur moṭe-tāze bachhṛoṅ kī charbī se uktā gayā hūṅ. Bailoṅ, leloṅ aur bakroṅ kā jo ḳhūn mujhe pesh kiyā jātā hai wuh mujhe pasand nahīṅ.
12 Kis ne tum se taqāzā kiyā ki mere huzūr āte waqt merī bārgāhoṅ ko pāṅwoṅ tale raundo?
13 Ruk jāo! Apnī bemānī qurbāniyāṅ mat pesh karo! Tumhāre baḳhūr se mujhe ghin ātī hai. Nae Chāṅd kī Īd aur Sabat kā din mat manāo, logoṅ ko ibādat ke lie jamā na karo! Maiṅ tumhāre bedīn ijtimā bardāsht hī nahīṅ kar saktā.
14 Jab tum Nae Chāṅd kī Īd aur bāqī taqrībāt manāte ho to mere dil meṅ nafrat paidā hotī hai. Yih mere lie bhārī bojh ban gaī haiṅ jin se maiṅ tang ā gayā hūṅ.
15 Beshak apne hāthoṅ ko duā ke lie uṭhāte jāo, maiṅ dhyān nahīṅ dūṅgā. Go tum bahut zyādā namāz bhī paṛho, maiṅ tumhārī nahīṅ sunūṅgā, kyoṅki tumhāre hāth ḳhūnālūdā haiṅ.
16 Pahle nahā kar apne āp ko pāk-sāf karo. Apnī sharīr harkatoṅ se bāz āo tāki wuh mujhe nazar na āeṅ. Apnī ġhalat rāhoṅ ko chhoṛ kar
17 nek kām karnā sīkh lo. Insāf ke tālib raho, mazlūmoṅ kā sahārā bano, yatīmoṅ kā insāf karo aur bewāoṅ ke haq meṅ laṛo!”
Allāh Apnī Qaum kī Adālat Kartā Hai
18 Rab farmātā hai, “Āo ham adālat meṅ jā kar ek dūsre se muqaddamā laṛeṅ. Agar tumhāre gunāh lahū-rang ho jāeṅ to kyā wuh barf jaise ujle ho jāeṅge? Agar wuh qirmizī jaise lāl ho jāeṅ to kyā wuh ūn jaise safed ho jāeṅge?
19 Agar tum sunane ke lie taiyār ho to mulk kī behtarīn paidāwār se lutfandoz hoge.
20 Lekin agar inkār karke sarkash ho jāo to talwār kī zad meṅ ā kar mar jāoge. Is bāt kā yaqīn karo, kyoṅki Rab ne yih kuchh farmāyā hai.”
21 Yih kaise ho gayā hai ki jo shahr pahle itnā wafādār thā wuh ab kasbī ban gayā hai? Pahle Yarūshalam insāf se māmūr thā, aur rāstī us meṅ sukūnat kartī thī. Lekin ab har taraf qātil hī qātil haiṅ!
22 Ai Yarūshalam, terī ḳhālis chāṅdī ḳhām chāṅdī meṅ badal gaī hai, terī behtarīn mai meṅ pānī milāyā gayā hai.
23 Tere buzurg haṭdharm aur choroṅ ke yār haiṅ. Yih rishwatkhor sab logoṅ ke pīchhe paṛe rahte haiṅ tāki chāy-pānī mil jāe. Na wuh parwā karte haiṅ ki yatīmoṅ ko insāf mile, na bewāoṅ kī fariyād un tak pahuṅchtī hai.
24 Is lie Qādir-e-mutlaq Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Zabardast Sūrmā hai farmātā hai, “Āo, maiṅ apne muḳhālifoṅ aur dushmanoṅ se intaqām le kar sukūn pāūṅ.
25 Maiṅ tere ḳhilāf hāth uṭhāūṅgā aur ḳhām chāṅdī kī tarah tujhe poṭāsh ke sāth pighlā kar tamām mail se pāk-sāf kar dūṅgā.
26 Maiṅ tujhe dubārā qadīm zamāne ke-se qāzī aur ibtidā ke-se mushīr atā karūṅga. Phir Yarūshalam dubārā Dārul-insāf aur Wafādār Shahr kahlāegā.”
27 Allāh Siyyūn kī adālat karke us kā fidyā degā, jo us meṅ taubā kareṅge un kā wuh insāf karke unheṅ chhuṛāegā.
28 Lekin bāġhī aur gunāhgār sab ke sab pāsh pāsh ho jāeṅge, Rab ko tark karne wāle halāk ho jāeṅge.
29 Balūt ke jin daraḳhtoṅ kī pūjā se tum lutfandoz hote ho un ke bāis tum sharmsār hoge, aur jin bāġhoṅ ko tum ne apnī butparastī ke lie chun liyā hai un ke bāis tumheṅ sharm āegī.
30 Tum us balūt ke daraḳht kī mānind hoge jis ke patte murjhā gae hoṅ, tumhārī hālat us bāġh kī-sī hogī jis meṅ pānī nāyāb ho.
31 Zabardast ādmī phūs aur us kī ġhalat harkateṅ chingārī jaisī hoṅgī. Donoṅ mil kar yoṅ bhaṛak uṭheṅge ki koī bhī bujhā nahīṅ sakegā.