1 Yūhannā
1
Zindagī kā Kalām
1 Ham āp ko us kī munādī karte haiṅ jo ibtidā se thā, jise ham ne apne kānoṅ se sunā, apnī āṅkhoṅ se dekhā, jis kā mushāhadā ham ne kiyā aur jise ham ne apne hāthoṅ se chhuā. Wuhī zindagī kā kalām hai.
2 Wuh jo ḳhud zindagī thā zāhir huā, ham ne use dekhā. Aur ab ham gawāhī de kar āp ko us abadī zindagī kī munādī karte haiṅ jo Ḳhudā Bāp ke pās thī aur ham par zāhir huī hai.
3 Ham āp ko wuh kuchh sunāte haiṅ jo ham ne ḳhud dekh aur sun liyā hai tāki āp bhī hamārī rifāqat meṅ sharīk ho jāeṅ. Aur hamārī rifāqat Ḳhudā Bāp aur us ke Farzand Īsā Masīh ke sāth hai.
4 Ham yih is lie likh rahe haiṅ tāki hamārī ḳhushī pūrī ho jāe.
Allāh Nūr Hai
5 Jo paiġhām ham ne us se sunā aur āp ko sunā rahe haiṅ wuh yih hai, Allāh nūr hai aur us meṅ tārīkī hai hī nahīṅ.
6 Jab ham tārīkī meṅ chalte hue Allāh ke sāth rifāqat rakhne kā dāwā karte haiṅ to ham jhūṭ bol rahe aur sachchāī ke mutābiq zindagī nahīṅ guzār rahe.
7 Lekin jab ham nūr meṅ chalte haiṅ, bilkul usī tarah jis tarah Allāh nūr meṅ hai, to phir ham ek dūsre ke sāth rifāqat rakhte haiṅ aur us ke Farzand Īsā kā ḳhūn hameṅ tamām gunāhoṅ se pāk-sāf kar detā hai.
8 Agar ham gunāh se pāk hone kā dāwā kareṅ to ham apne āp ko fareb dete haiṅ aur ham meṅ sachchāī nahīṅ hai.
9 Lekin agar ham apne gunāhoṅ kā iqrār kareṅ to wuh wafādār aur rāst sābit hogā. Wuh hamāre gunāhoṅ ko muāf karke hameṅ tamām nārāstī se pāk-sāf karegā.
10 Agar ham dāwā kareṅ ki ham ne gunāh nahīṅ kiyā to ham use jhūṭā qarār dete haiṅ aur us kā kalām hamāre andar nahīṅ hai.