2
Masīh Hamārī Shafā'at Kartā Hai
1 Mere bachcho, maiṅ āp ko yih is lie likh rahā hūṅ ki āp gunāh na kareṅ. Lekin agar koī gunāh kare to ek hai jo Ḳhudā Bāp ke sāmne hamārī shafā'at kartā hai, Īsā Masīh jo rāst hai.
2 Wuhī hamāre gunāhoṅ kā kaffārā dene wālī qurbānī hai, aur na sirf hamāre gunāhoṅ kā balki pūrī duniyā ke gunāhoṅ kā bhī.
3 Is se hameṅ patā chaltā hai ki ham ne use jān liyā hai, jab ham us ke ahkām par amal karte haiṅ.
4 Jo kahtā hai, “Maiṅ use jāntā hūṅ” lekin us ke ahkām par amal nahīṅ kartā wuh jhūṭā hai aur sachchāī us meṅ nahīṅ hai.
5 Lekin jo us ke kalām kī pairawī kartā hai us meṅ Allāh kī muhabbat haqīqatan takmīl tak pahuṅch gaī hai. Is se hameṅ patā chaltā hai ki ham us meṅ haiṅ.
6 Jo kahtā hai ki wuh us meṅ qāym hai us ke lie lāzim hai ki wuh yoṅ chale jis tarah Īsā chaltā thā.
Ek Nayā Hukm
7 Azīzo, maiṅ āp ko koī nayā hukm nahīṅ likh rahā, balki wuhī purānā hukm jo āp ko shurū se milā hai. Yih purānā hukm wuhī paiġhām hai jo āp ne sun liyā hai.
8 Lekin dūsrī taraf se yih hukm nayā bhī hai, aur is kī sachchāī Masīh aur āp meṅ zāhir huī hai. Kyoṅki tārīkī ḳhatm hone wālī hai aur haqīqī raushnī chamakne lag gaī hai.
9 Jo nūr meṅ hone kā dāwā karke apne bhāī se nafrat kartā hai wuh ab tak tārīkī meṅ hai.
10 Jo apne bhāī se muhabbat rakhtā hai wuh nūr meṅ rahtā hai aur us meṅ koī bhī chīz nahīṅ pāī jātī jo ṭhokar kā bāis ban sake.
11 Lekin jo apne bhāī se nafrat kartā hai wuh tārīkī hī meṅ hai aur andhere meṅ chaltā phirtā hai. Us ko yih nahīṅ mālūm ki wuh kahāṅ jā rahā hai, kyoṅki tārīkī ne use andhā kar rakhā hai.
12 Pyāre bachcho, maiṅ āp ko is lie likh rahā hūṅ ki āp ke gunāhoṅ ko us ke nām kī ḳhātir muāf kar diyā gayā hai.
13 Wālido, maiṅ āp ko is lie likh rahā hūṅ ki āp ne use jān liyā hai jo ibtidā hī se hai. Jawān mardo, maiṅ āp ko is lie likh rahā hūṅ ki āp Iblīs par ġhālib ā gae haiṅ. Bachcho, maiṅ āp ko is lie likh rahā hūṅ ki āp ne Bāp ko jān liyā hai.
14 Wālido, maiṅ āp ko is lie likh rahā hūṅ ki āp ne use jān liyā hai jo ibtidā hī se hai. Jawān mardo, maiṅ āp ko is lie likh rahā hūṅ ki āp mazbūt haiṅ. Allāh kā kalām āp meṅ bastā hai aur āp Iblīs par ġhālib ā gae haiṅ.
15 Duniyā ko pyār mat karnā, na kisī chīz ko jo duniyā meṅ hai. Agar koī duniyā ko pyār kare to Ḳhudā Bāp kī muhabbat us meṅ nahīṅ hai.
16 Kyoṅki jo bhī chīz duniyā meṅ hai wuh Bāp kī taraf se nahīṅ balki duniyā kī taraf se hai, ḳhāh wuh jism kī burī ḳhāhishāt, āṅkhoṅ kā lālach yā apnī milkiyat par faḳhr ho.
17 Duniyā aur us kī wuh chīzeṅ jo insān chāhtā hai ḳhatm ho rahī haiṅ, lekin jo Allāh kī marzī pūrī kartā hai wuh abad tak jītā rahegā.
Masīh kā Dushman
18 Bachcho, ab āḳhirī ghaṛī ā pahuṅchī hai. Āp ne ḳhud sun liyā hai ki muḳhālif-e-Masīh ā rahā hai, aur haqīqatan bahut-se aise muḳhālif-e-Masīh ā chuke haiṅ. Is se hameṅ patā chaltā hai ki āḳhirī ghaṛī ā gaī hai.
19 Yih log ham meṅ se nikle to haiṅ, lekin haqīqat meṅ ham meṅ se nahīṅ the. Kyoṅki agar wuh ham meṅ se hote to wuh hamāre sāth hī rahte. Lekin hameṅ chhoṛne se zāhir huā ki sab ham meṅ se nahīṅ haiṅ.
20 Lekin āp farq haiṅ. Āp ko us se jo Quddūs hai Rūh kā masah mil gayā hai, aur āp pūrī sachchāī ko jānte haiṅ.
21 Maiṅ āp ko is lie nahīṅ likh rahā ki āp sachchāī ko nahīṅ jānte balki is lie ki āp sachchāī jānte haiṅ aur ki koī bhī jhūṭ sachchāī kī taraf se nahīṅ ā saktā.
22 Kaun jhūṭā hai? Wuh jo Īsā ke Masīh hone kā inkār kartā hai. Muḳhālif-e-Masīh aisā shaḳhs hai. Wuh Bāp aur Farzand kā inkār kartā hai.
23 Jo Farzand kā inkār kartā hai us ke pās Bāp bhī nahīṅ hai, aur jo Farzand kā iqrār kartā hai us ke pās Bāp bhī hai.
24 Chunāṅche lāzim hai ki jo kuchh āp ne ibtidā se sunā wuh āp meṅ rahe. Agar wuh āp meṅ rahe to āp bhī Farzand aur Bāp meṅ raheṅge.
25 Aur jo wādā us ne ham se kiyā hai wuh hai abadī zindagī.
26 Maiṅ āp ko yih un ke bāre meṅ likh rahā hūṅ jo āp ko sahīh rāh se haṭāne kī koshish kar rahe haiṅ.
27 Lekin āp ko us se Rūh kā masah mil gayā hai. Wuh āp ke andar bastā hai, is lie āp ko is kī zarūrat hī nahīṅ ki koī āp ko tālīm de. Kyoṅki Masīh kā Rūh āp ko sab bātoṅ ke bāre meṅ tālīm detā hai aur jo kuchh bhī wuh sikhātā hai wuh sach hai, jhūṭ nahīṅ. Chunāṅche jis tarah us ne āp ko tālīm dī hai, usī tarah Masīh meṅ raheṅ.
28 Aur ab pyāre bachcho, us meṅ qāym raheṅ tāki us ke zāhir hone par ham pūre etamād ke sāth us ke sāmne khaṛe ho sakeṅ aur us kī āmad par sharmindā na honā paṛe.
29 Agar āp jānte haiṅ ki Masīh rāstbāz hai to āp yih bhī jānte haiṅ ki jo bhī rāst kām kartā hai wuh Allāh se paidā ho kar us kā farzand ban gayā hai.