15
Samsūn Filistiyoṅ se Badlā Letā Hai
1 Kuchh din guzar gae. Jab gandum kī kaṭāī hone lagī to Samsūn bakrī kā bachchā apne sāth le kar apnī bīwī se milne gayā. Susar ke ghar pahuṅch kar us ne bīwī ke kamre meṅ jāne kī darḳhāst kī. Lekin bāp ne inkār kiyā.
2 Us ne kahā, “Yih nahīṅ ho saktā! Maiṅ ne beṭī kī shādī āp ke shahbāle se karā dī hai. Asal meṅ mujhe yaqīn ho gayā thā ki ab āp us se saḳht nafrat karte haiṅ. Lekin koī bāt nahīṅ. Us kī chhoṭī bahan se shādī kar leṅ. Wuh zyādā ḳhūbsūrat hai.”
3 Samsūn bolā, “Is dafā maiṅ Filistiyoṅ se ḳhūb badlā lūṅgā, aur koī nahīṅ kah sakegā ki maiṅ haq par nahīṅ hūṅ.”
4 Wahāṅ se nikal kar us ne 300 lomṛiyoṅ ko pakaṛ liyā. Do do kī dumoṅ ko bāndh kar us ne har joṛe kī dumoṅ ke sāth mashāl lagā dī
5 aur phir mashāloṅ ko jalā kar lomṛiyoṅ ko Filistiyoṅ ke anāj ke khetoṅ meṅ bhagā diyā. Khetoṅ meṅ paṛe pūle us anāj samet bhasm hue jo ab tak kāṭā nahīṅ gayā thā. Angūr aur zaitūn ke bāġh bhī tabāh ho gae.
6 Filistiyoṅ ne dariyāft kiyā ki yih kis kā kām hai. Patā chalā ki Samsūn ne yih sab kuchh kiyā hai, aur ki wajah yih hai ki Timnat meṅ us ke susar ne us kī bīwī ko us se chhīn kar us ke shahbāle ko de diyā hai. Yih sun kar Filistī Timnat gae aur Samsūn ke susar ko us kī beṭī samet pakaṛ kar jalā diyā.
7 Tab Samsūn ne un se kahā, “Yih tum ne kyā kiyā hai! Jab tak maiṅ ne pūrā badlā na liyā maiṅ nahīṅ rukūṅgā.”
8 Wuh itne zor se un par ṭūṭ paṛā ki beshumār Filistī halāk hue. Phir wuh us jagah se utar kar Aitām kī chaṭṭān ke ġhār meṅ rahne lagā.
Lahī meṅ Samsūn Filistiyoṅ se Laṛtā Hai
9 Jawāb meṅ Filistī fauj Yahūdāh ke qabāylī ilāqe meṅ dāḳhil huī. Wahāṅ wuh Lahī Shahr ke pās ḳhaimāzan hue.
10 Yahūdāh ke bāshindoṅ ne pūchhā, “Kyā wajah hai ki āp ham se laṛne āe haiṅ?” Filistiyoṅ ne jawāb diyā, “Ham Samsūn ko pakaṛne āe haiṅ tāki us ke sāth wuh kuchh kareṅ jo us ne hamāre sāth kiyā hai.”
11 Tab Yahūdāh ke 3,000 mard Aitām Pahāṛ ke ġhār ke pās āe aur Samsūn se kahā, “Yih āp ne hamāre sāth kyā kiyā? Āp ko to patā hai ki Filistī ham par hukūmat karte haiṅ.” Samsūn ne jawāb diyā, “Maiṅ ne un ke sāth sirf wuh kuchh kiyā jo unhoṅ ne mere sāth kiyā thā.”
12 Yahūdāh ke mard bole, “Ham āp ko bāndh kar Filistiyoṅ ke hawāle karne āe haiṅ.” Samsūn ne kahā, “Ṭhīk hai, lekin qasam khāeṅ ki āp ḳhud mujhe qatl nahīṅ kareṅge.”
13 Unhoṅ ne jawāb diyā, “Ham āp ko hargiz qatl nahīṅ kareṅge balki āp ko sirf bāndh kar un ke hawāle kar deṅge.” Chunāṅche wuh use do tāzā tāzā rassoṅ se bāndh kar Filistiyoṅ ke pās le gae.
14 Samsūn abhī Lahī se dūr thā ki Filistī nāre lagāte hue us kī taraf dauṛe āe. Tab Rab kā Rūh baṛe zor se us par nāzil huā. Us ke bāzuoṅ se bandhe hue rasse san ke jale hue dhāge jaise kamzor ho gae. Aur wuh pighal kar hāthoṅ se gir gae.
15 Kahīṅ se gadhe kā tāzā jabṛā pakaṛ kar us ne us ke zariye hazār afrād ko mār ḍālā.
16 Us waqt us ne nārā lagāyā, “Gadhe ke jabṛe se maiṅ ne un ke ḍher lagāe haiṅ! Gadhe ke jabṛe se maiṅ ne hazār mardoṅ ko mār ḍālā hai!”
17 Is ke bād us ne gadhe kā yih jabṛā phaiṅk diyā. Us jagah kā nām Rāmat-lahī yānī Jabṛā Pahāṛī paṛ gayā.
18 Samsūn ko wahāṅ baṛī pyās lagī. Us ne Rab ko pukār kar kahā, “Tū hī ne apne ḳhādim ke hāth se Isrāīl ko yih baṛī najāt dilāī hai. Lekin ab maiṅ pyās se mar kar nāmaḳhtūn dushman ke hāth meṅ ā jāūṅgā.”
19 Tab Allāh ne Lahī meṅ zamīn ko chhedā, aur gaṛhe se pānī phūṭ niklā. Samsūn us kā pānī pī kar dubārā tāzādam ho gayā. Yoṅ us chashme kā nām Ain-haqqore yānī Pukārne Wāle kā Chashmā paṛ gayā. Āj bhī wuh Lahī meṅ maujūd hai.
20 Filistiyoṅ ke daur meṅ Samsūn 20 sāl tak Isrāīl kā qāzī rahā.