16
Samsūn Ġhazzā kā Darwāzā Uṭhā Le Jātā Hai
1 Ek din Samsūn Filistī shahr Ġhazzā meṅ āyā. Wahāṅ wuh ek kasbī ko dekh kar us ke ghar meṅ dāḳhil huā.
2 Jab shahr ke bāshindoṅ ko ittalā milī ki Samsūn shahr meṅ hai to unhoṅ ne kasbī ke ghar ko gher liyā. Sāth sāth wuh rāt ke waqt shahr ke darwāze par tāk meṅ rahe. Faislā yih huā, “Rāt ke waqt ham kuchh nahīṅ kareṅge, jab pau phaṭegī tab use mār ḍāleṅge.”
3 Samsūn ab tak kasbī ke ghar meṅ so rahā thā. Lekin ādhī rāt ko wuh uṭh kar shahr ke darwāze ke pās gayā aur donoṅ kiwāṛoṅ ko kunḍe aur darwāze ke donoṅ bāzuoṅ samet ukhāṛ kar apne kandhoṅ par rakh liyā. Yoṅ chalte chalte wuh sab kuchh us pahāṛī kī choṭī par le gayā jo Habrūn ke muqābil hai.
Samsūn aur Dalīlā
4 Kuchh der ke bād Samsūn ek aurat kī muhabbat meṅ giriftār ho gayā jo Wādī-e-Sūriq meṅ rahtī thī. Us kā nām Dalīlā thā.
5 Yih sun kar Filistī sardār us ke pās āe aur kahne lage, “Samsūn ko uksāeṅ ki wuh āp ko apnī baṛī tāqat kā bhed batāe. Ham jānanā chāhte haiṅ ki ham kis tarah us par ġhālib ā kar use yoṅ bāndh sakeṅ ki wuh hamāre qabze meṅ rahe. Agar āp yih mālūm kar sakeṅ to ham meṅ se har ek āp ko chāṅdī ke 1,100 sikke degā.”
6 Chunāṅche Dalīlā ne Samsūn se sawāl kiyā, “Mujhe apnī baṛī tāqat kā bhed batāeṅ. Kyā āp ko kisī aisī chīz se bāndhā jā saktā hai jise āp toṛ nahīṅ sakte?”
7 Samsūn ne jawāb diyā, “Agar mujhe jānwaroṅ kī sāt tāzā nasoṅ se bāndhā jāe to phir maiṅ ām ādmī jaisā kamzor ho jāūṅgā.”
8 Filistī sardāroṅ ne Dalīlā ko sāt tāzā naseṅ muhaiyā kar dīṅ, aur us ne Samsūn ko un se bāndh liyā.
9 Kuchh Filistī ādmī sāth wāle kamre meṅ chhup gae. Phir Dalīlā chillā uṭhī, “Samsūn, Filistī āp ko pakaṛne āe haiṅ!” Yih sun kar Samsūn ne nasoṅ ko yoṅ toṛ diyā jis tarah ḍorī ṭūṭ jātī hai jab āg meṅ se guzartī hai. Chunāṅche us kī tāqat kā pol na khulā.
10 Dalīlā kā muṅh laṭak gayā. “Āp ne jhūṭ bol kar mujhe bewuqūf banāyā hai. Ab āeṅ, mehrbānī karke mujhe batāeṅ ki āp ko kis tarah bāndhā jā saktā hai.”
11 Samsūn ne jawāb diyā, “Agar mujhe ġhairistemālshudā rassoṅ se bāndhā jāe to phir hī maiṅ ām ādmī jaisā kamzor ho jāūṅgā.”
12 Dalīlā ne nae rasse le kar use un se bāndh liyā. Is martabā bhī Filistī sāth wāle kamre meṅ chhup gae the. Phir Dalīlā chillā uṭhī, “Samsūn, Filistī āp ko pakaṛne āe haiṅ!” Lekin is bār bhī Samsūn ne rassoṅ ko yoṅ toṛ liyā jis tarah ām ādmī ḍorī ko toṛ letā hai.
13 Dalīlā ne shikāyat kī, “Āp bār bār jhūṭ bol kar merā mazāq uṛā rahe haiṅ. Ab mujhe batāeṅ ki āp ko kis tarah bāndhā jā saktā hai.” Samsūn ne jawāb diyā, “Lāzim hai ki āp merī sāt zulfoṅ ko khaḍḍī ke tāne ke sāth buneṅ. Phir hī ām ādmī jaisā kamzor ho jāūṅgā.”
14 Jab Samsūn so rahā thā to Dalīlā ne aisā hī kiyā. Us kī sāt zulfoṅ ko tāne ke sāth bun kar us ne use shaṭal ke zariye khaḍḍī ke sāth lagāyā. Phir wuh chillā uṭhī, “Samsūn, Filistī āp ko pakaṛne āe haiṅ!” Samsūn jāg uṭhā aur apne bāloṅ ko shaṭal samet khaḍḍī se nikāl liyā.
15 Yih dekh kar Dalīlā ne muṅh phulā kar malāmat kī, “Āp kis tarah dāwā kar sakte haiṅ ki mujh se muhabbat rakhte haiṅ? Ab āp ne tīn martabā merā mazāq uṛā kar mujhe apnī baṛī tāqat kā bhed nahīṅ batāyā.”
16 Roz baroz wuh apnī bātoṅ se us kī nāk meṅ dam kartī rahī. Āḳhirkār Samsūn itnā tang ā gayā ki us kā jīnā dūbhar ho gayā.
17 Phir us ne use khul kar bāt batāī, “Maiṅ paidāish hī se Allāh ke lie maḳhsūs hūṅ, is lie mere bāloṅ ko kabhī nahīṅ kāṭā gayā. Agar sar ko munḍwāyā jāe to merī tāqat jātī rahegī aur maiṅ har dūsre ādmī jaisā kamzor ho jāūṅgā.”
18 Dalīlā ne jān liyā ki ab Samsūn ne mujhe pūrī haqīqat batāī hai. Us ne Filistī sardāroṅ ko ittalā dī, “Āo, kyoṅki is martabā us ne mujhe apne dil kī har bāt batāī hai.” Yih sun kar wuh muqarrarā chāṅdī apne sāth le kar Dalīlā ke pās āe.
19 Dalīlā ne Samsūn kā sar apnī god meṅ rakh kar use sulā diyā. Phir us ne ek ādmī ko bulā kar Samsūn kī sāt zulfoṅ ko munḍwāyā. Yoṅ wuh use past karne lagī, aur us kī tāqat jātī rahī.
20 Phir wuh chillā uṭhī, “Samsūn, Filistī āp ko pakaṛne āe haiṅ!” Samsūn jāg uṭhā aur sochā, “Maiṅ pahle kī tarah ab bhī apne āp ko bachā kar bandhan ko toṛ dūṅgā.” Afsos, use mālūm nahīṅ thā ki Rab ne use chhoṛ diyā hai.
21 Filistiyoṅ ne use pakaṛ kar us kī āṅkheṅ nikāl dīṅ. Phir wuh use Ġhazzā le gae jahāṅ use pītal kī zanjīroṅ se bāndhā gayā. Wahāṅ wuh qaidḳhāne kī chakkī pīsā kartā thā.
22 Lekin hote hote us ke bāl dubārā baṛhne lage.
Samsūn kā Āḳhirī Intaqām
23 Ek din Filistī sardār baṛā jashn manāne ke lie jamā hue. Unhoṅ ne apne dewatā Dajūn ko jānwaroṅ kī bahut-sī qurbāniyāṅ pesh karke apnī fatah kī ḳhushī manāī. Wuh bole, “Hamāre dewatā ne hamāre dushman Samsūn ko hamāre hawāle kar diyā hai.”
24 Samsūn ko dekh kar awām ne Dajūn kī tamjīd karke kahā, “Hamāre dewatā ne hamāre dushman ko hamāre hawāle kar diyā hai! Jis ne hamāre mulk ko tabāh kiyā aur ham meṅ se itne logoṅ ko mār ḍālā wuh ab hamāre qābū meṅ ā gayā hai!”
25 Is qism kī bāteṅ karte karte un kī ḳhushī kī intahā na rahī. Tab wuh chillāne lage, “Samsūn ko bulāo tāki wuh hamāre diloṅ ko bahlāe.”
Chunāṅche use un kī tafrīh ke lie jel se lāyā gayā aur do satūnoṅ ke darmiyān khaṛā kar diyā gayā.
26 Samsūn us laṛke se muḳhātib huā jo us kā hāth pakaṛ kar us kī rāhnumāī kar rahā thā, “Mujhe chhat ko uṭhāne wāle satūnoṅ ke pās le jāo tāki maiṅ un kā sahārā lūṅ.”
27 Imārat mardoṅ aur auratoṅ se bharī thī. Filistī sardār bhī sab āe hue the. Sirf chhat par Samsūn kā tamāshā deḳhne wāle taqrīban 3,000 afrād the.
28 Phir Samsūn ne duā kī, “Ai Rab Qādir-e-mutlaq, mujhe yād kar. Bas ek dafā aur mujhe pahle kī tarah quwwat atā farmā tāki maiṅ ek hī wār se Filistiyoṅ se apnī āṅkhoṅ kā badlā le sakūṅ.”
29 Yih kah kar Samsūn ne un do markazī satūnoṅ ko pakaṛ liyā jin par chhat kā pūrā wazn thā. Un ke darmiyān khaṛe ho kar us ne pūrī tāqat se zor lagāyā
30 aur duā kī, “Mujhe Filistiyoṅ ke sāth marne de!” Achānak satūn hil gae aur chhat dhaṛām se Filistiyoṅ ke tamām sardāroṅ aur bāqī logoṅ par gir gaī. Is tarah Samsūn ne pahle kī nisbat marte waqt kahīṅ zyādā Filistiyoṅ ko mār ḍālā.
31 Samsūn ke bhāī aur bāqī ghar wāle āe aur us kī lāsh ko uṭhā kar us ke bāp Manohā kī qabr ke pās le gae. Wahāṅ yānī Sur'ā aur Istāl ke darmiyān unhoṅ ne use dafnāyā. Samsūn 20 sāl Isrāīl kā qāzī rahā.