17
Īsā Apne Shāgirdoṅ ke lie Duā Kartā Hai
1 Yih kah kar Īsā ne apnī nazar āsmān kī taraf uṭhāī aur duā kī, “Ai Bāp, waqt ā gayā hai. Apne Farzand ko jalāl de tāki Farzand tujhe jalāl de.
2 Kyoṅki tū ne use tamām insānoṅ par iḳhtiyār diyā hai tāki wuh un sab ko abadī zindagī de jo tū ne use die haiṅ.
3 Aur abadī zindagī yih hai ki wuh tujhe jān leṅ jo wāhid aur sachchā Ḳhudā hai aur Īsā Masīh ko bhī jān leṅ jise tū ne bhejā hai.
4 Maiṅ ne tujhe zamīn par jalāl diyā aur us kām kī takmīl kī jis kī zimmedārī tū ne mujhe dī thī.
5 Aur ab mujhe apne huzūr jalāl de, ai Bāp, wuhī jalāl jo maiṅ duniyā kī taḳhlīq se peshtar tere huzūr rakhtā thā.
6 Maiṅ ne terā nām un logoṅ par zāhir kiyā jinheṅ tū ne duniyā se alag karke mujhe diyā hai. Wuh tere hī the. Tū ne unheṅ mujhe diyā aur unhoṅ ne tere kalām ke mutābiq zindagī guzārī hai.
7 Ab unhoṅ ne jān liyā hai ki jo kuchh bhī tū ne mujhe diyā hai wuh terī taraf se hai.
8 Kyoṅki jo bāteṅ tū ne mujhe dīṅ maiṅ ne unheṅ dī haiṅ. Natīje meṅ unhoṅ ne yih bāteṅ qabūl karke haqīqī taur par jān liyā ki maiṅ tujh meṅ se nikal kar āyā hūṅ. Sāth sāth wuh īmān bhī lāe ki tū ne mujhe bhejā hai.
9 Maiṅ un ke lie duā kartā hūṅ, duniyā ke lie nahīṅ balki un ke lie jinheṅ tū ne mujhe diyā hai, kyoṅki wuh tere hī haiṅ.
10 Jo bhī merā hai wuh terā hai aur jo terā hai wuh merā hai. Chunāṅche mujhe un meṅ jalāl milā hai.
11 Ab se maiṅ duniyā meṅ nahīṅ hūṅgā. Lekin yih duniyā meṅ rah gae haiṅ jabki maiṅ tere pās ā rahā hūṅ. Quddūs Bāp, apne nām meṅ unheṅ mahfūz rakh, us nām meṅ jo tū ne mujhe diyā hai, tāki wuh ek hoṅ jaise ham ek haiṅ.
12 Jitnī der maiṅ un ke sāth rahā maiṅ ne unheṅ tere nām meṅ mahfūz rakhā, usī nām meṅ jo tū ne mujhe diyā thā. Maiṅ ne yoṅ un kī nigahbānī kī ki un meṅ se ek bhī halāk nahīṅ huā siwāe halākat ke farzand ke. Yoṅ kalām kī peshgoī pūrī huī.
13 Ab to maiṅ tere pās ā rahā hūṅ. Lekin maiṅ duniyā meṅ hote hue yih bayān kar rahā hūṅ tāki un ke dil merī ḳhushī se bhar kar chhalak uṭheṅ.
14 Maiṅ ne unheṅ terā kalām diyā hai aur duniyā ne un se dushmanī rakhī, kyoṅki yih duniyā ke nahīṅ haiṅ, jis tarah maiṅ bhī duniyā kā nahīṅ hūṅ.
15 Merī duā yih nahīṅ hai ki tū unheṅ duniyā se uṭhā le balki yih ki unheṅ Iblīs se mahfūz rakhe.
16 Wuh duniyā ke nahīṅ haiṅ jis tarah maiṅ bhī duniyā kā nahīṅ hūṅ.
17 Unheṅ sachchāī ke wasīle se maḳhsūs-o-muqaddas kar. Terā kalām hī sachchāī hai.
18 Jis tarah tū ne mujhe duniyā meṅ bhejā hai usī tarah maiṅ ne bhī unheṅ duniyā meṅ bhejā hai.
19 Un kī ḳhātir maiṅ apne āp ko maḳhsūs kartā hūṅ, tāki unheṅ bhī sachchāī ke wasīle se maḳhsūs-o-muqaddas kiyā jāe.
20 Merī duā na sirf inhīṅ ke lie hai, balki un sab ke lie bhī jo in kā paiġhām sun kar mujh par īmān lāeṅge
21 tāki sab ek hoṅ. Jis tarah tū ai Bāp, mujh meṅ hai aur maiṅ tujh meṅ hūṅ usī tarah wuh bhī ham meṅ hoṅ tāki duniyā yaqīn kare ki tū ne mujhe bhejā hai.
22 Maiṅ ne unheṅ wuh jalāl diyā hai jo tū ne mujhe diyā hai tāki wuh ek hoṅ jis tarah ham ek haiṅ,
23 maiṅ un meṅ aur tū mujh meṅ. Wuh kāmil taur par ek hoṅ tāki duniyā jān le ki tū ne mujhe bhejā aur ki tū ne un se muhabbat rakhī hai jis tarah mujh se rakhī hai.
24 Ai Bāp, maiṅ chāhtā hūṅ ki jo tū ne mujhe die haiṅ wuh bhī mere sāth hoṅ, wahāṅ jahāṅ maiṅ hūṅ, ki wuh mere jalāl ko dekheṅ, wuh jalāl jo tū ne is lie mujhe diyā hai ki tū ne mujhe duniyā kī taḳhlīq se peshtar pyār kiyā hai.
25 Ai rāst Bāp, duniyā tujhe nahīṅ jāntī, lekin maiṅ tujhe jāntā hūṅ. Aur yih shāgird jānte haiṅ ki tū ne mujhe bhejā hai.
26 Maiṅ ne terā nām un par zāhir kiyā aur ise zāhir kartā rahūṅgā tāki terī mujh se muhabbat un meṅ ho aur maiṅ un meṅ hūṅ.”