18
Īsā kī Giriftārī
Yih kah kar Īsā apne shāgirdoṅ ke sāth niklā aur Wādī-e-Qidron ko pār karke ek bāġh meṅ dāḳhil huā. Yahūdāh jo use dushman ke hawāle karne wālā thā wuh bhī is jagah se wāqif thā, kyoṅki Īsā wahāṅ apne shāgirdoṅ ke sāth jāyā kartā thā. Rāhnumā imāmoṅ aur Farīsiyoṅ ne Yahūdāh ko Romī faujiyoṅ kā dastā aur Baitul-muqaddas ke kuchh pahredār die the. Ab yih mashāleṅ, lālṭain aur hathiyār lie bāġh meṅ pahuṅche. Īsā ko mālūm thā ki use kyā pesh āegā. Chunāṅche us ne nikal kar un se pūchhā, “Tum kis ko ḍhūnḍ rahe ho?”
Unhoṅ ne jawāb diyā, “Īsā Nāsarī ko.”
Īsā ne unheṅ batāyā, “Maiṅ hī hūṅ.”
Yahūdāh jo use dushman ke hawāle karnā chāhtā thā, wuh bhī un ke sāth khaṛā thā. Jab Īsā ne elān kiyā, “Maiṅ hī hūṅ,” to sab pīchhe haṭ kar zamīn par gir paṛe. Ek aur bār Īsā ne un se sawāl kiyā, “Tum kis ko ḍhūnḍ rahe ho?”
Unhoṅ ne jawāb diyā, “Īsā Nāsarī ko.”
Us ne kahā, “Maiṅ tum ko batā chukā hūṅ ki maiṅ hī hūṅ. Agar tum mujhe ḍhūnḍ rahe ho to in ko jāne do.” Yoṅ us kī yih bāt pūrī huī, “Maiṅ ne un meṅ se jo tū ne mujhe die haiṅ ek ko bhī nahīṅ khoyā.”
10 Shamāūn Patras ke pās talwār thī. Ab us ne use miyān se nikāl kar imām-e-āzam ke ġhulām kā dahnā kān uṛā diyā. (Ġhulām kā nām malḳhus thā.) 11 Lekin Īsā ne Patras se kahā, “Talwār ko miyān meṅ rakh. Kyā maiṅ wuh pyālā na piyūṅ jo Bāp ne mujhe diyā hai?”
Īsā Hannā ke Sāmne
12 Phir faujī daste, un ke afsar aur Baitul-muqaddas ke Yahūdī pahredāroṅ ne Īsā ko giriftār karke bāndh liyā. 13 Pahle wuh use Hannā ke pās le gae. Hannā us sāl ke imām-e-āzam Kāyfā kā susar thā. 14 Kāyfā hī ne Yahūdiyoṅ ko yih mashwarā diyā thā ki behtar yih hai ki ek hī ādmī ummat ke lie mar jāe.
Patras Īsā ko Jānane se Inkār Kartā Hai
15 Shamāūn Patras kisī aur shāgird ke sāth Īsā ke pīchhe ho liyā thā. Yih dūsrā shāgird imām-e-āzam kā jānane wālā thā, is lie wuh Īsā ke sāth imām-e-āzam ke sahan meṅ dāḳhil huā. 16 Patras bāhar darwāze par khaṛā rahā. Phir imām-e-āzam kā jānane wālā shāgird dubārā nikal āyā. Us ne geṭ kī nigarānī karne wālī aurat se bāt kī to use Patras ko apne sāth andar le jāne kī ijāzat milī. 17 Us aurat ne Patras se pūchhā, “Tum bhī is ādmī ke shāgird ho ki nahīṅ?”
Us ne jawāb diyā, “Nahīṅ, maiṅ nahīṅ hūṅ.”
18 Ṭhanḍ thī, is lie ġhulāmoṅ aur pahredāroṅ ne lakaṛī ke koeloṅ se āg jalāī. Ab wuh us ke pās khaṛe tāp rahe the. Patras bhī un ke sāth khaṛā tāp rahā thā.
Imām-e-Āzam Īsā kī Pūchh-Gachh Kartā Hai
19 Itne meṅ imām-e-āzam Īsā kī pūchh-gachh karke us ke shāgirdoṅ aur tālīm ke bāre meṅ taftīsh karne lagā. 20 Īsā ne jawāb meṅ kahā, “Maiṅ ne duniyā meṅ khul kar bāt kī hai. Maiṅ hameshā Yahūdī ibādatḳhānoṅ aur Baitul-muqaddas meṅ tālīm detā rahā, wahāṅ jahāṅ tamām Yahūdī jamā huā karte haiṅ. Poshīdagī meṅ to maiṅ ne kuchh nahīṅ kahā. 21 Āp mujh se kyoṅ pūchh rahe haiṅ? Un se dariyāft kareṅ jinhoṅ ne merī bāteṅ sunī haiṅ. Un ko mālūm hai ki maiṅ ne kyā kuchh kahā hai.”
22 Is par sāth khaṛe Baitul-muqaddas ke pahredāroṅ meṅ se ek ne Īsā ke muṅh par thappaṛ mār kar kahā, “Kyā yih imām-e-āzam se bāt karne kā tarīqā hai jab wuh tum se kuchh pūchhe?”
23 Īsā ne jawāb diyā, “Agar maiṅ ne burī bāt kī hai to sābit kar. Lekin agar sach kahā, to tū ne mujhe kyoṅ mārā?”
24 Phir Hannā ne Īsā ko bandhī huī hālat meṅ imām-e-āzam Kāyfā ke pās bhej diyā.
Patras Dubārā Īsā ko Jānane se Inkār Kartā Hai
25 Shamāūn Patras ab tak āg ke pās khaṛā tāp rahā thā. Itne meṅ dūsre us se pūchhne lage, “Tum bhī us ke shāgird ho ki nahīṅ?”
Lekin Patras ne inkār kiyā, “Nahīṅ, maiṅ nahīṅ hūṅ.”
26 Phir imām-e-āzam kā ek ġhulām bol uṭhā jo us ādmī kā rishtedār thā jis kā kān Patras ne uṛā diyā thā, “Kyā maiṅ ne tum ko bāġh meṅ us ke sāth nahīṅ dekhā thā?”
27 Patras ne ek bār phir inkār kiyā, aur inkār karte hī murġh kī bāṅg sunāī dī.
Īsā ko Pīlātus ke sāmne Pesh Kiyā Jātā Hai
28 Phir Yahūdī Īsā ko Kāyfā se le kar Romī gawarnar ke mahal banām Praiṭoriyum ke pās pahuṅch gae. Ab subah ho chukī thī aur chūṅki Yahūdī Fasah kī Īd ke khāne meṅ sharīk honā chāhte the, is lie wuh mahal meṅ dāḳhil na hue, warnā wuh nāpāk ho jāte. 29 Chunāṅche Pīlātus nikal kar un ke pās āyā aur pūchhā, “Tum is ādmī par kyā ilzām lagā rahe ho?”
30 Unhoṅ ne jawāb diyā, “Agar yih mujrim na hotā to ham ise āp ke hawāle na karte.”
31 Pīlātus ne kahā, “Phir ise le jāo aur apnī sharaī adālatoṅ meṅ pesh karo.”
Lekin Yahūdiyoṅ ne etarāz kiyā, “Hameṅ kisī ko sazā-e-maut dene kī ijāzat nahīṅ.” 32 Īsā ne is taraf ishārā kiyā thā ki wuh kis tarah maregā aur ab us kī yih bāt pūrī huī.
33 Tab Pīlātus phir apne mahal meṅ gayā. Wahāṅ se us ne Īsā ko bulāyā aur us se pūchhā, “Kyā tum Yahūdiyoṅ ke Bādshāh ho?”
34 Īsā ne pūchhā, “Kyā āp apnī taraf se yih sawāl kar rahe haiṅ, yā auroṅ ne āp ko mere bāre meṅ batāyā hai?”
35 Pīlātus ne jawāb diyā, “Kyā maiṅ Yahūdī hūṅ? Tumhārī apnī qaum aur rāhnumā imāmoṅ hī ne tumheṅ mere hawāle kiyā hai. Tum se kyā kuchh sarzad huā hai?”
36 Īsā ne kahā, “Merī bādshāhī is duniyā kī nahīṅ hai. Agar wuh is duniyā kī hotī to mere ḳhādim saḳht jidd-o-jahd karte tāki mujhe Yahūdiyoṅ ke hawāle na kiyā jātā. Lekin aisā nahīṅ hai. Ab merī bādshāhī yahāṅ kī nahīṅ hai.”
37 Pīlātus ne kahā, “To phir tum wāqaī bādshāh ho?”
Īsā ne jawāb diyā, “Āp sahīh kahte haiṅ, maiṅ bādshāh hūṅ. Maiṅ isī maqsad ke lie paidā ho kar duniyā meṅ āyā ki sachchāī kī gawāhī dūṅ. Jo bhī sachchāī kī taraf se hai wuh merī suntā hai.”
38 Pīlātus ne pūchhā, “Sachchāī kyā hai?”
Īsā ko Sazā-e-Maut Sunāī Jātī Hai
Phir wuh dubārā nikal kar Yahūdiyoṅ ke pās gayā. Us ne elān kiyā, “Mujhe use mujrim ṭhahrāne kī koī wajah nahīṅ milī. 39 Lekin tumhārī ek rasm hai jis ke mutābiq mujhe Īd-e-Fasah ke mauqe par tumhāre lie ek qaidī ko rihā karnā hai. Kyā tum chāhte ho ki maiṅ ‘Yahūdiyoṅ ke Bādshāh’ ko rihā kar dūṅ?”
40 Lekin jawāb meṅ log chillāne lage, “Nahīṅ, is ko nahīṅ balki Bar-abbā ko.” (Bar-abbā ḍākū thā).