20
Yarmiyāh Fashhūr Imām se Ṭakrā Jātā Hai
Us waqt ek imām Rab ke ghar meṅ thā jis kā nām Fashhūr bin Immer thā. Wuh Rab ke ghar kā ālā afsar thā. Jab Yarmiyāh kī yih peshgoiyāṅ us ke kānoṅ tak pahuṅch gaīṅ to us ne Yarmiyāh Nabī kī piṭāī karwā kar us ke pāṅw kāṭh meṅ ṭhoṅk die. Yih kāṭh Rab ke ghar se mulhiq shahr ke ūpar wāle darwāze banām Binyamīn meṅ thā.
Agle din Fashhūr ne use āzād kar diyā. Tab Yarmiyāh ne us se kahā, “Rab ne āp kā ek nayā nām rakhā hai. Ab se āp kā nām Fashhūr nahīṅ hai balki ‘Chāroṅ Taraf Dahshat hī Dahshat.’ Kyoṅki Rab farmātā hai, ‘Maiṅ hone dūṅgā ki tū apne lie aur apne tamām dostoṅ ke lie dahshat kī alāmat banegā. Kyoṅki tū apnī āṅkhoṅ se apne dostoṅ kī qatl-o-ġhārat dekhegā. Maiṅ Yahūdāh ke tamām bāshindoṅ ko Bābal ke bādshāh ke qabze meṅ kar dūṅgā jo bāz ko Mulk-e-Bābal meṅ le jāegā aur bāz ko maut ke ghāṭ utār degā. Maiṅ is shahr kī sārī daulat dushman ke hawāle kar dūṅgā, aur wuh is kī tamām paidāwār, qīmtī chīzeṅ aur shāhī ḳhazāne lūṭ kar Mulk-e-Bābal le jāegā. Ai Fashhūr, tū bhī apne ghar wāloṅ samet Mulk-e-Bābal meṅ jilāwatan hogā. Wahāṅ tū mar kar dafnāyā jāegā. Aur na sirf tū balki tere wuh sāre dost bhī jinheṅ tū ne jhūṭī peshgoiyāṅ sunāī haiṅ.’ ”
Yarmiyāh kī Rab se Shikāyat
Ai Rab, tū ne mujhe manwāyā, aur maiṅ mān gayā. Tū mujhe apne qābū meṅ lā kar mujh par ġhālib āyā. Ab maiṅ pūrā din mazāq kā nishānā banā rahtā hūṅ. Har ek merī haṅsī uṛātā rahtā hai. Kyoṅki jab bhī maiṅ apnā muṅh kholtā hūṅ to mujhe chillā kar ‘zulm-o-tabāhī’ kā nārā lagānā paṛtā hai. Chunāṅche maiṅ Rab ke kalām ke bāis pūrā din gāliyoṅ aur mazāq kā nishānā banā rahtā hūṅ. Lekin agar maiṅ kahūṅ, “Āindā maiṅ na Rab kā zikr karūṅga, na us kā nām le kar bolūṅgā” to phir us kā kalām āg kī tarah mere dil meṅ bhaṛakne lagtā hai. Aur yih āg merī haḍḍiyoṅ meṅ band rahtī aur kabhī nahīṅ nikaltī. Maiṅ ise bardāsht karte karte thak gayā hūṅ, yih mere bas kī bāt nahīṅ rahī. 10 Muta'addid logoṅ kī sargoshiyāṅ mere kānoṅ tak pahuṅchtī haiṅ. Wuh kahte haiṅ, “Chāroṅ taraf dahshat hī dahshat? Yih kyā kah rahā hai? Us kī rapaṭ likhwāo! Āo, ham us kī riporṭ kareṅ.” Mere tamām nām-nihād dost is intazār meṅ haiṅ ki maiṅ phisal jāūṅ. Wuh kahte haiṅ, “Shāyad wuh dhokā khā kar phaṅs jāe aur ham us par ġhālib ā kar us se intaqām le sakeṅ.”
11 Lekin Rab zabardast sūrme kī tarah mere sāth hai, is lie merā tāqqub karne wāle mujh par ġhālib nahīṅ āeṅge balki ḳhud ṭhokar khā kar gir jāeṅge. Un ke muṅh kāle ho jāeṅge, kyoṅki wuh nākām ho jāeṅge. Un kī ruswāī hameshā hī yād rahegī aur kabhī nahīṅ miṭegī. 12 Ai Rabbul-afwāj, tū rāstbāz kā muāynā karke dil aur zahan ko parakhtā hai. Ab baḳhsh de ki maiṅ apnī āṅkhoṅ se wuh intaqām dekhūṅ jo tū mere muḳhālifoṅ se legā. Kyoṅki maiṅ ne apnā muāmalā tere hī sapurd kar diyā hai. 13 Rab kī madahsarāī karo! Rab kī tamjīd karo! Kyoṅki us ne zarūratmand kī jān ko sharīroṅ ke hāth se bachā liyā hai.
Maiṅ Kyoṅ Paidā Huā?
14 Us din par lānat jab maiṅ paidā huā! Wuh din mubārak na ho jab merī māṅ ne mujhe janm diyā. 15 Us ādmī par lānat jis ne mere bāp ko baṛī ḳhushī dilā kar ittalā dī ki tere beṭā paidā huā hai! 16 Wuh un shahroṅ kī mānind ho jin ko Rab ne berahmī se ḳhāk meṅ milā diyā. Allāh kare ki subah ke waqt use chīḳheṅ sunāī deṅ aur dopahar ke waqt jang ke nāre. 17 Kyoṅki use mujhe usī waqt mār ḍālnā chāhie thā jab maiṅ abhī māṅ ke peṭ meṅ thā. Phir merī māṅ merī qabr ban jātī, us kā pāṅw hameshā tak bhārī rahtā. 18 Maiṅ kyoṅ māṅ ke peṭ meṅ se niklā? Kyā sirf is lie ki musībat aur ġham dekhūṅ aur zindagī ke iḳhtitām tak ruswāī kī zindagī guzārūṅ?