15
Yahūdāh kī Sarhaddeṅ
1 Jab Isrāīliyoṅ ne qurā ḍāl kar mulk ko taqsīm kiyā to Yahūdāh ke qabīle ko us ke kunboṅ ke mutābiq Kanān kā junūbī hissā mil gayā. Is ilāqe kī sarhad Mulk-e-Adom aur intahāī junūb meṅ Sīn kā registān thā.
2 Yahūdāh kī junūbī sarhad Bahīrā-e-Murdār ke junūbī sire se shurū ho kar
3 junūb kī taraf chaltī chaltī Darrā-e-Aqrabbīm pahuṅch gaī. Wahāṅ se wuh Sīn kī taraf jārī huī aur Qādis-barnīa ke junūb meṅ se āge nikal kar Hasron tak pahuṅch gaī. Hasron se wuh Addār kī taraf chaṛh gaī aur phir Qarqā kī taraf muṛī.
4 Is ke bād wuh Azmūn se ho kar Misr kī sarhad par wāqe Wādī-e-Misr tak pahuṅch gaī jis ke sāth sāth chaltī huī wuh samundar par ḳhatm huī. Yih Yahūdāh kī junūbī sarhad thī.
5 Mashriq meṅ us kī sarhad Bahīrā-e-Murdār ke sāth sāth chal kar wahāṅ ḳhatm huī jahāṅ Dariyā-e-Yardan Bahīrā-e-Murdār meṅ bahtā hai.
Yahūdāh kī shimālī sarhad yihīṅ se shurū ho kar
6 Bait-hujlāh kī taraf chaṛh gaī, phir Bait-arābā ke shimāl meṅ se guzar kar Rūbin ke beṭe Bohan ke patthar tak pahuṅch gaī.
7 Wahāṅ se sarhad Wādī-e-Akūr meṅ utar gaī aur phir dubārā Dabīr kī taraf chaṛh gaī. Dabīr se wuh shimāl yānī Jiljāl kī taraf jo Darrā-e-Adummīm ke muqābil hai muṛ gaī. (Yih darrā wādī ke junūb meṅ hai.) Yoṅ wuh chaltī chaltī shimālī sarhad Ain-shams aur Ain-rājil tak pahuṅch gaī.
8 Wahāṅ se wuh Wādī-e-Bin-hinnūm meṅ se guzartī huī Yabūsiyoṅ ke shahr Yarūshalam ke junūb meṅ se āge nikal gaī aur phir us pahāṛ par chaṛh gaī jo Wādī-e-Bin-hinnūm ke maġhrib aur Maidān-e-Rafāīm ke shimālī kināre par hai.
9 Wahāṅ sarhad muṛ kar chashmā banām Niftūh kī taraf baṛh gaī aur phir pahāṛī ilāqe Ifron ke shahroṅ ke pās se guzar kar Bālā yānī Qiriyat-yārīm tak pahuṅch gaī.
10 Bālā se muṛ kar Yahūdāh kī yih sarhad maġhrib meṅ Saīr ke pahāṛī ilāqe kī taraf baṛh gaī aur Yārīm Pahāṛ yānī Kaslūn ke shimālī dāman ke sāth sāth chal kar Bait-shams kī taraf utar kar Timnat pahuṅch gaī.
11 Wahāṅ se wuh Aqrūn ke shimāl meṅ se guzar gaī aur phir muṛ kar sikkarūn aur Bālā Pahāṛ kī taraf baṛh kar Yabniyel pahuṅch gaī. Wahāṅ yih shimālī sarhad samundar par ḳhatm huī.
12 Samundar Mulk-e-Yahūdāh kī maġhribī sarhad thī. Yihī wuh ilāqā thā jo Yahūdāh ke qabīle ko us ke ḳhāndānoṅ ke mutābiq mil gayā.
Habrūn aur Dabīr par Fatah
13 Rab ke hukm ke mutābiq Yashua ne Kālib bin Yafunnā ko us kā hissā Yahūdāh meṅ de diyā. Wahāṅ use Habrūn Shahr mil gayā. Us waqt us kā nām Qiriyat-arbā thā. (Arbā Anāq kā bāp thā.)
14 Habrūn meṅ tīn Anāqī banām Sīsī, Aḳhīmān aur Talmī apne gharānoṅ samet rahte the. Kālib ne tīnoṅ ko Habrūn se nikāl diyā.
15 Phir wuh āge Dabīr ke bāshindoṅ se laṛne chalā gayā. Dabīr kā purānā nām Qiriyat-sifar thā.
16 Kālib ne kahā, “Jo Qiriyat-sifar par fatah pā kar qabzā karegā us ke sāth maiṅ apnī beṭī Aksā kā rishtā bāndhūṅgā.”
17 Kālib ke bhāī Ġhutniyel bin Qanaz ne shahr par qabzā kar liyā. Chunāṅche Kālib ne us ke sāth apnī beṭī Aksā kī shādī kar dī.
18 Jab Aksā Ġhutniyel ke hāṅ jā rahī thī to us ne use ubhārā ki wuh Kālib se koī khet pāne kī darḳhāst kare. Achānak wuh gadhe se utar gaī. Kālib ne pūchhā, “Kyā bāt hai?”
19 Aksā ne jawāb diyā, “Jahez ke lie mujhe ek chīz se nawāzeṅ. Āp ne mujhe Dasht-e-Najab meṅ zamīn de dī hai. Ab mujhe chashme bhī de dījie.” Chunāṅche Kālib ne use apnī milkiyat meṅ se ūpar aur nīche wāle chashme bhī de die.
Yahūdāh ke Qabīle ke Shahr
20 Jo maurūsī zamīn Yahūdāh ke qabīle ko us ke kunboṅ ke mutābiq milī
21 us meṅ zail ke shahr shāmil the. Junūb meṅ Mulk-e-Adom kī sarhad kī taraf yih shahr the: Qabziyel, Idar, Yajūr,
22 Qīnā, Dīmūnā, Ad'adā,
23 Qādis, Hasūr, Itnān,
24 Zīf, Talam, Bālot,
25 Hasūr-hadattā, Qariyot-hasron yānī Hasūr,
26 Amām, Samā, Molādā,
27 Hasār-jaddā, Hishmon, Bait-falat,
28 Hasār-suāl, Bair-sabā, Bizyotiyāh,
29 Bālā, Iyyīm, Azam,
30 Iltolad, Kasīl, Hurmā,
31 Siqlāj, Madmannā, Sansannā,
32 Labāot, Silhīm, Ain aur Rimmon. In shahroṅ kī tādād 29 thī. Har shahr ke gird-o-nawāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ.
33 Maġhrib ke nashebī pahāṛī ilāqe meṅ yih shahr the: Istāl, Sur'ā, Asnā,
34 Zanūh, Ain-jannīm, Taffuah, Ainām,
35 Yarmūt, Adullām, Sokā, Azīqā,
36 Shāraim, Aditaim aur Jadīrā yānī Jadīrataim. In shahroṅ kī tādād 14 thī. Har shahr ke gird-o-nawāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ.
37 In ke alāwā yih shahr bhī the: Zanān, Hadāshā, Mijdal-jad,
38 Dil'ān, Misfāh, Yuqtiyel,
39 Lakīs, Busqat, Ijlūn,
40 Kabbūn, Lahmās, Kitlīs,
41 Jadīrot, Bait-dajūn, Nāmā aur Maqqedā. In shahroṅ kī tādād 16 thī. Har shahr ke gird-o-nawāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ.
42 Is ilāqe meṅ yih shahr bhī the: Libnā, Itar, Asan,
43 Yiftāh, Asnā, Nasībab,
44 Qaīlā, Akzīb aur Maresā. In shahroṅ kī tādād 9 thī. Har shahr ke gird-o-nawāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ.
45 In ke alāwā yih shahr bhī the: Aqrūn us ke gird-o-nawāh kī ābādiyoṅ aur dehātoṅ samet,
46 phir Aqrūn se le kar maġhrib kī taraf Ashdūd tak tamām qasbe aur ābādiyāṅ.
47 Ashdūd ḳhud bhī us ke gird-o-nawāh kī ābādiyoṅ aur dehātoṅ samet is meṅ shāmil thā aur isī tarah Ġhazzā us ke gird-o-nawāh kī ābādiyoṅ aur dehātoṅ samet yānī tamām ābādiyāṅ Misr kī sarhad par wāqe Wādī-e-Misr aur samundar ke sāhil tak.
48 Pahāṛī ilāqe ke yih shahr Yahūdāh ke qabīle ke the: Samīr, Yattīr, Sokā,
49 Dannā, Qiriyat-sannā yānī Dabīr,
50 Anāb, Istamoh, Anīm,
51 Jushan, Haulūn aur Jiloh. In shahroṅ kī tādād 11 thī, aur un ke gird-o-nawāh kī ābādiyāṅ bhī un ke sāth ginī jātī thīṅ.
52 In ke alāwā yih shahr bhī the: Arāb, Dūmā, Ish'ān,
53 Yanūm, Bait-taffuah, Afīqā,
54 Humtā, Qiriyat-arbā yānī Habrūn aur Sīūr. In shahroṅ kī tādād 9 thī. Har shahr ke gird-o-nawāh kī ābādiyāṅ us meṅ ginī jātī thīṅ.
55 In ke alāwā yih shahr bhī the: Maūn, Karmil, Zīf, Yūttā,
56 Yazrael, Yuqdiyām, Zanūh,
57 Qain, Jibiyā aur Timnat. In shahroṅ kī tādād 10 thī. Har shahr ke gird-o-nawāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ.
58 In ke alāwā yih shahr bhī the: Halhūl, Bait-sūr, Jadūr,
59 Mārāt, Bait-anot aur Iltaqon. In shahroṅ kī tādād 6 thī. Har shahr ke gird-o-nawāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ.
60 Phir Qiriyat-bāl yānī Qiriyat-yārīm aur Rabbā bhī Yahūdāh ke pahāṛī ilāqe meṅ shāmil the. Har shahr ke gird-o-nawāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ.
61 Registān meṅ yih shahr Yahūdāh ke qabīle ke the: Bait-arābā, Middīn, Sakākā,
62 Nibsān, Namak kā Shahr aur Ain-jadī. In shahroṅ kī tādād 6 thī. Har shahr ke gird-o-nawāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ.
63 Lekin Yahūdāh kā qabīlā Yabūsiyoṅ ko Yarūshalam se nikālne meṅ nākām rahā. Is lie un kī aulād āj tak Yahūdāh ke qabīle ke darmiyān rahtī hai.