16
Ifrāīm aur Manassī kī Junūbī Sarhad
1 Qurā ḍālne se Yūsuf kī aulād kā ilāqā muqarrar kiyā gayā. Us kī sarhad Yarīhū ke qarīb Dariyā-e-Yardan se shurū huī, shahr ke mashriq meṅ chashmoṅ ke pās se guzarī aur registān meṅ se chaltī chaltī Baitel ke pahāṛī ilāqe tak pahuṅchī.
2 Lūz yānī Baitel se āge nikal kar wuh Arkiyoṅ ke ilāqe meṅ Atārāt pahuṅchī.
3 Wahāṅ se wuh maġhrib kī taraf utartī utartī Yaflītiyoṅ ke ilāqe meṅ dāḳhil huī jahāṅ wuh Nashebī Bait-haurūn meṅ se guzar kar Jazar ke pīchhe samundar par ḳhatm huī.
4 Yih us ilāqe kī junūbī sarhad thī jo Yūsuf kī aulād Ifrāīm aur Manassī ke qabīloṅ ko wirāsat meṅ diyā gayā.
Ifrāīm kā Ilāqā
5 Ifrāīm ke qabīle ko us ke kunboṅ ke mutābiq yih ilāqā mil gayā: Us kī junūbī sarhad Atārāt-addār aur Bālāī Bait-haurūn se ho kar
6-8 samundar par ḳhatm huī. Us kī shimālī sarhad maġhrib meṅ samundar se shurū huī aur Qānā Nadī ke sāth chaltī chaltī Taffuah tak pahuṅchī. Wahāṅ se wuh shimāl kī taraf muṛī aur Mikmatāh tak pahuṅch kar dubārā mashriq kī taraf chalne lagī. Phir wuh Tānat-sailā se ho kar Yānūh pahuṅchī. Mashriqī sarhad shimāl meṅ Yānūh se shurū huī aur Atārāt se ho kar Dariyā-e-Yardan ke maġhribī kināre tak utrī aur phir kināre ke sāth junūb kī taraf chaltī chaltī Nārā aur is ke bād Yarīhū pahuṅchī. Wahāṅ wuh Dariyā-e-Yardan par ḳhatm huī. Yihī Ifrāīm aur us ke kunboṅ kī sarhaddeṅ thīṅ.
9 Is ke alāwā kuchh shahr aur un ke gird-o-nawāh kī ābādiyāṅ Ifrāīm ke lie muqarrar kī gaīṅ jo Manassī ke ilāqe meṅ thīṅ.
10 Ifrāīm ke mardoṅ ne Jazar meṅ ābād Kanāniyoṅ ko na nikālā. Is lie un kī aulād āj tak wahāṅ rahtī hai, albattā use begār meṅ kām karnā paṛtā hai.