18
Yahūdāh kā Bādshāh Hizqiyāh
Isrāīl ke bādshāh Hosea bin Ailā kī hukūmat ke tīsre sāl meṅ Hizqiyāh bin Āḳhaz Yahūdāh kā bādshāh banā. Us waqt us kī umr 25 sāl thī, aur wuh Yarūshalam meṅ rah kar 29 sāl hukūmat kartā rahā. Us kī māṅ Abī bint Zakariyāh thī. Apne bāp Dāūd kī tarah us ne aisā kām kiyā jo Rab ko pasand thā. Us ne ūṅchī jaghoṅ ke mandiroṅ ko girā diyā, patthar ke un satūnoṅ ko ṭukṛe ṭukṛe kar diyā jin kī pūjā kī jātī thī aur Yasīrat Dewī ke khamboṅ ko kāṭ ḍālā. Pītal kā jo sāṅp Mūsā ne banāyā thā use bhī bādshāh ne ṭukṛe ṭukṛe kar diyā, kyoṅki Isrāīlī un aiyām tak us ke sāmne baḳhūr jalāne āte the. (Sāṅp Naḳhushtān kahlātā thā.)
Hizqiyāh Rab Isrāīl ke Ḳhudā par bharosā rakhtā thā. Yahūdāh meṅ na is se pahle aur na is ke bād aisā bādshāh huā. Wuh Rab ke sāth lipṭā rahā aur us kī pairawī karne se kabhī bhī bāz na āyā. Wuh un ahkām par amal kartā rahā jo Rab ne Mūsā ko die the. Is lie Rab us ke sāth rahā. Jab bhī wuh kisī maqsad ke lie niklā to use kāmyābī hāsil huī.
Chunāṅche wuh Asūr kī hukūmat se āzād ho gayā aur us ke tābe na rahā. Filistiyoṅ ko us ne sab se chhoṭī chaukī se le kar baṛe se baṛe qilāband shahr tak shikast dī aur unheṅ mārte mārte Ġhazzā Shahr aur us ke ilāqe tak pahuṅch gayā.
Asūrī Isrāīl par Qabzā Karte Haiṅ
Hizqiyāh kī hukūmat ke chauthe sāl meṅ aur Isrāīl ke bādshāh Hosea kī hukūmat ke sātweṅ sāl meṅ Asūr ke bādshāh Salmanasar ne Isrāīl par hamlā kiyā. Sāmariya Shahr kā muhāsarā karke 10 wuh tīn sāl ke bād us par qabzā karne meṅ kāmyāb huā. Yih Hizqiyāh kī hukūmat ke chhaṭe sāl aur Isrāīl ke bādshāh Hosea kī hukūmat ke naweṅ sāl meṅ huā. 11 Asūr ke bādshāh ne Isrāīliyoṅ ko jilāwatan karke kuchh Ḳhalah ke ilāqe meṅ, kuchh Jauzān ke Dariyā-e-Ḳhābūr ke kināre par aur kuchh Mādiyoṅ ke shahroṅ meṅ basāe.
12 Yih sab kuchh is lie huā ki wuh Rab apne Ḳhudā ke tābe na rahe balki us ke un ke sāth bandhe hue ahd ko toṛ kar un tamām ahkām ke farmāṅbardār na rahe jo Rab ke ḳhādim Mūsā ne unheṅ die the. Na wuh un kī sunte aur na un par amal karte the.
Asūrī Yarūshalam kā Muhāsarā Karte Haiṅ
13 Hizqiyāh Bādshāh kī hukūmat ke 14weṅ sāl meṅ Asūr ke bādshāh Sanherib ne Yahūdāh ke tamām qilāband shahroṅ par dhāwā bol kar un par qabzā kar liyā. 14 Jab Asūr kā bādshāh Lakīs ke ās-pās pahuṅchā to Yahūdāh ke bādshāh Hizqiyāh ne use ittalā dī, “Mujh se ġhaltī huī hai. Mujhe chhoṛ deṅ to jo kuchh bhī āp mujh se talab kareṅge maiṅ āp ko adā karūṅga.”
Tab Sanherib ne Hizqiyāh se chāṅdī ke taqrīban 10,000 kilogrām aur sone ke taqrīban 1,000 kilogrām māṅg liyā. 15 Hizqiyāh ne use wuh tamām chāṅdī de dī jo Rab ke ghar aur shāhī mahal ke ḳhazānoṅ meṅ paṛī thī. 16 Sone kā taqāzā pūrā karne ke lie us ne Rab ke ghar ke darwāzoṅ aur chaukhaṭoṅ par lagā sonā utarwā kar use Asūr ke bādshāh ko bhej diyā. Yih sonā us ne ḳhud darwāzoṅ aur chaukhaṭoṅ par chaṛhwāyā thā.
17 Phir bhī Asūr kā bādshāh mutma'in na huā. Us ne apne sab se ālā afsaroṅ ko baṛī fauj ke sāth Lakīs se Yarūshalam ko bhejā. (Un kī apnī zabān meṅ afsaroṅ ke ohdoṅ ke nām Tartān, Rab-sāris aur Rabshāqī the.) Yarūshalam pahuṅch kar wuh us nāle ke pās ruk gae jo pānī ko ūpar wāle tālāb tak pahuṅchātā hai. (Yih tālāb us rāste par hai jo Dhobiyoṅ ke Ghāṭ tak le jātā hai.) 18 In tīn Asūrī afsaroṅ ne ittalā dī ki bādshāh ham se milne āe, lekin Hizqiyāh ne mahal ke inchārj Iliyāqīm bin Ḳhilqiyāh, mīrmunshī Shibnāh aur mushīr-e-ḳhās Yuāḳh bin Āsaf ko un ke pās bhejā. 19 Rabshāqī ne un ke hāth Hizqiyāh ko paiġhām bhejā,
“Asūr ke azīm bādshāh farmāte haiṅ, tumhārā bharosā kis chīz par hai? 20 Tum samajhte ho ki ḳhālī bāteṅ karnā faujī hikmat-e-amlī aur tāqat ke barābar hai. Yih kaisī bāt hai? Tum kis par etamād kar rahe ho ki mujh se sarkash ho gae ho? 21 Kyā tum Misr par bharosā karte ho? Wuh to ṭūṭā huā sarkanḍā hī hai. Jo bhī us par ṭek lagāe us kā hāth wuh chīr kar zaḳhmī kar degā. Yihī kuchh un sab ke sāth ho jāegā jo Misr ke bādshāh Firaun par bharosā kareṅ! 22 Shāyad tum kaho, ‘Ham Rab apne Ḳhudā par tawakkul karte haiṅ.’ Lekin yih kis tarah ho saktā hai? Hizqiyāh ne to us kī behurmatī kī hai. Kyoṅki us ne ūṅchī jaghoṅ ke mandiroṅ aur qurbāngāhoṅ ko ḍhā kar Yahūdāh aur Yarūshalam se kahā hai ki sirf Yarūshalam kī qurbāngāh ke sāmne parastish kareṅ.
23 Āo, mere āqā Asūr ke bādshāh se saudā karo. Maiṅ tumheṅ 2,000 ghoṛe dūṅgā basharteki tum un ke lie sawār muhaiyā kar sako. Lekin afsos, tumhāre pās itne ghuṛsawār haiṅ hī nahīṅ! 24 Tum mere āqā Asūr ke bādshāh ke sab se chhoṭe afsar kā bhī muqābalā nahīṅ kar sakte. Lihāzā Misr ke rathoṅ par bharosā rakhne kā kyā fāydā? 25 Shāyad tum samajhte ho ki maiṅ Rab kī marzī ke baġhair hī is jagah par hamlā karne āyā hūṅ tāki sab kuchh barbād karūṅ. Lekin aisā hargiz nahīṅ hai! Rab ne ḳhud mujhe kahā ki is mulk par dhāwā bol kar ise tabāh kar de.”
26 Yih sun kar Iliyāqīm bin Ḳhilqiyāh, Shibnāh aur Yuāḳh ne Rabshāqī kī taqrīr meṅ daḳhl de kar kahā, “Barāh-e-karm Arāmī zabān meṅ apne ḳhādimoṅ ke sāth guftgū kījie, kyoṅki ham yih achchhī tarah bol lete haiṅ. Ibrānī zabān istemāl na kareṅ, warnā shahr kī fasīl par khaṛe log āp kī bāteṅ sun leṅge.” 27 Lekin Rabshāqī ne jawāb diyā, “Kyā tum samajhte ho ki mere mālik ne yih paiġhām sirf tumheṅ aur tumhāre mālik ko bhejā hai? Hargiz nahīṅ! Wuh chāhte haiṅ ki tamām log yih bāteṅ sun leṅ. Kyoṅki wuh bhī tumhārī tarah apnā fuzlā khāne aur apnā peshāb pīne par majbūr ho jāeṅge.”
28 Phir wuh fasīl kī taraf muṛ kar buland āwāz se Ibrānī zabān meṅ awām se muḳhātib huā, “Suno, shahanshāh, Asūr ke bādshāh ke farmān par dhyān do! 29 Bādshāh farmāte haiṅ ki Hizqiyāh tumheṅ dhokā na de. Wuh tumheṅ mere hāth se bachā nahīṅ saktā. 30 Beshak wuh tumheṅ tasallī dilāne kī koshish karke kahtā hai, ‘Rab hameṅ zarūr chhuṭkārā degā, yih shahr kabhī bhī Asūrī bādshāh ke qabze meṅ nahīṅ āegā.’ Lekin is qism kī bātoṅ se tasallī pā kar Rab par bharosā mat karnā. 31 Hizqiyāh kī bāteṅ na māno balki Asūr ke bādshāh kī. Kyoṅki wuh farmāte haiṅ, mere sāth sulah karo aur shahr se nikal kar mere pās ā jāo. Phir tum meṅ se har ek angūr kī apnī bel aur anjīr ke apne daraḳht kā phal khāegā aur apne hauz kā pānī piegā. 32 Phir kuchh der ke bād maiṅ tumheṅ ek aise mulk meṅ le jāūṅgā jo tumhāre apne mulk kī mānind hogā. Us meṅ bhī anāj, naī mai, roṭī aur angūr ke bāġh, zaitūn ke daraḳht aur shahd hai. Ġharz, maut kī rāh iḳhtiyār na karnā balki zindagī kī rāh. Hizqiyāh kī mat sunanā. Jab wuh kahtā hai, ‘Rab hameṅ bachāegā’ to wuh tumheṅ dhokā de rahā hai. 33 Kyā dīgar aqwām ke dewatā apne mulkoṅ ko Shāh-e-Asūr se bachāne ke qābil rahe haiṅ? 34 Hamāt aur Arfād ke dewatā kahāṅ rah gae haiṅ? Sifarwāym, Henā aur Iwwā ke dewatā kyā kar sake? Aur kyā kisī dewatā ne Sāmariya ko merī girift se bachāyā? 35 Nahīṅ, koī bhī dewatā apnā mulk mujh se bachā na sakā. To phir Rab Yarūshalam ko kis tarah mujh se bachāegā?”
36 Fasīl par khaṛe log ḳhāmosh rahe. Unhoṅ ne koī jawāb na diyā, kyoṅki bādshāh ne hukm diyā thā ki jawāb meṅ ek lafz bhī na kaheṅ. 37 Phir mahal kā inchārj Iliyāqīm bin Ḳhilqiyāh, mīrmunshī Shibnāh aur mushīr-e-ḳhās Yuāḳh bin Āsaf ranjish ke māre apne libās phāṛ kar Hizqiyāh ke pās wāpas gae. Darbār meṅ pahuṅch kar unhoṅ ne bādshāh ko sab kuchh kah sunāyā jo Rabshāqī ne unheṅ kahā thā.