21
Bewā kā Chandā
1 Īsā ne nazar uṭhā kar dekhā ki amīr log apne hadiye Baitul-muqaddas ke chande ke baks meṅ ḍāl rahe haiṅ.
2 Ek ġharīb bewā bhī wahāṅ se guzarī jis ne us meṅ tāṅbe ke do māmūlī-se sikke ḍāl die.
3 Īsā ne kahā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki is ġharīb bewā ne tamām logoṅ kī nisbat zyādā ḍālā hai.
4 Kyoṅki in sab ne to apnī daulat kī kasrat se kuchh ḍālā jabki is ne zarūratmand hone ke bāwujūd bhī apne guzāre ke sāre paise de die haiṅ.”
Baitul-muqaddas par Āne Wālī Tabāhī
5 Us waqt kuchh log Baitul-muqaddas kī tārīf meṅ kahne lage ki wuh kitne ḳhūbsūrat pattharoṅ aur mannat ke tohfoṅ se sajī huī hai. Yih sun kar Īsā ne kahā,
6 “Jo kuchh tum ko yahāṅ nazar ātā hai us kā patthar par patthar nahīṅ rahegā. Āne wāle dinoṅ meṅ sab kuchh ḍhā diyā jāegā.”
Musībatoṅ aur Īzārasānī kī Peshgoī
7 Unhoṅ ne pūchhā, “Ustād, yih kab hogā? Kyā kyā nazar āegā jis se mālūm ho ki yih ab hone ko hai?”
8 Īsā ne jawāb diyā, “Ḳhabardār raho ki koī tumheṅ gumrāh na kar de. Kyoṅki bahut-se log merā nām le kar āeṅge aur kaheṅge, ‘Maiṅ hī Masīh hūṅ’ aur ki ‘Waqt qarīb ā chukā hai.’ Lekin un ke pīchhe na lagnā.
9 Aur jab jangoṅ aur fitnoṅ kī ḳhabreṅ tum tak pahuṅcheṅgī to mat ghabrānā. Kyoṅki lāzim hai ki yih sab kuchh pahle pesh āe. To bhī abhī āḳhirat na hogī.”
10 Us ne apnī bāt jārī rakhī, “Ek qaum dūsrī ke ḳhilāf uṭh khaṛī hogī, aur ek bādshāhī dūsrī ke ḳhilāf.
11 Shadīd zalzale āeṅge, jagah jagah kāl paṛeṅge aur wabāī bīmāriyāṅ phail jāeṅgī. Haibatnāk wāqiyāt aur āsmān par baṛe nishān deḳhne meṅ āeṅge.
12 Lekin in tamām wāqiyāt se pahle log tum ko pakaṛ kar satāeṅge. Wuh tum ko Yahūdī ibādatḳhānoṅ ke hawāle kareṅge, qaidḳhānoṅ meṅ ḍalwāeṅge aur bādshāhoṅ aur hukmrānoṅ ke sāmne pesh kareṅge. Aur yih is lie hogā ki tum mere pairokār ho.
13 Natīje meṅ tumheṅ merī gawāhī dene kā mauqā milegā.
14 Lekin ṭhān lo ki tum pahle se apnā difā karne kī taiyārī na karo,
15 kyoṅki maiṅ tum ko aise alfāz aur hikmat atā karūṅga ki tumhāre tamām muḳhālif na us kā muqābalā aur na us kī tardīd kar sakeṅge.
16 Tumhāre wālidain, bhāī, rishtedār aur dost bhī tum ko dushman ke hawāle kar deṅge, balki tum meṅ se bāz ko qatl kiyā jāegā.
17 Sab tum se nafrat kareṅge, is lie ki tum mere pairokār ho.
18 To bhī tumhārā ek bāl bhī bīkā nahīṅ hogā.
19 Sābitqadam rahne se hī tum apnī jān bachā loge.
Yarūshalam kī Tabāhī
20 Jab tum Yarūshalam ko faujoṅ se ghirā huā dekho to jān lo ki us kī tabāhī qarīb ā chukī hai.
21 Us waqt Yahūdiyā ke bāshinde bhāg kar pahāṛī ilāqe meṅ panāh leṅ. Shahr ke rahne wāle us se nikal jāeṅ aur dehāt meṅ ābād log shahr meṅ dāḳhil na hoṅ.
22 Kyoṅki yih ilāhī ġhazab ke din hoṅge jin meṅ wuh sab kuchh pūrā ho jāegā jo kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai.
23 Un ḳhawātīn par afsos jo un dinoṅ meṅ hāmilā hoṅ yā apne bachchoṅ ko dūdh pilātī hoṅ, kyoṅki mulk meṅ bahut musībat hogī aur is qaum par Allāh kā ġhazab nāzil hogā.
24 Log unheṅ talwār se qatl kareṅge aur qaid karke tamām Ġhairyahūdī mamālik meṅ le jāeṅge. Ġhairyahūdī Yarūshalam ko pāṅwoṅ tale kuchal ḍāleṅge. Yih silsilā us waqt tak jārī rahegā jab tak Ġhairyahūdiyoṅ kā daur pūrā na ho jāe.
Ibn-e-Ādam kī Āmad
25 Sūraj, chāṅd aur sitāroṅ meṅ ajīb-o-ġharīb nishān zāhir hoṅge. Qaumeṅ samundar ke shor aur ṭhāṭheṅ mārne se hairān-o-pareshān hoṅgī.
26 Log is andeshe se ki kyā kyā musībat duniyā par āegī is qadar ḳhauf khāeṅge ki un kī jān meṅ jān na rahegī, kyoṅki āsmān kī quwwateṅ hilāī jāeṅgī.
27 Aur phir wuh Ibn-e-Ādam ko baṛī qudrat aur jalāl ke sāth bādal meṅ āte hue dekheṅge.
28 Chunāṅche jab yih kuchh pesh āne lage to sīdhe khaṛe ho kar apnī nazar uṭhāo, kyoṅki tumhārī najāt nazdīk hogī.”
Anjīr ke Daraḳht kī Tamsīl
29 Is silsile meṅ Īsā ne unheṅ ek tamsīl sunāī. “Anjīr ke daraḳht aur bāqī daraḳhtoṅ par ġhaur karo.
30 Jyoṅ hī koṅpleṅ nikalne lagtī haiṅ tum jān lete ho ki garmiyoṅ kā mausam nazdīk hai.
31 Isī tarah jab tum yih wāqiyāt dekhoge to jān loge ki Allāh kī bādshāhī qarīb hī hai.
32 Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki is nasl ke ḳhatm hone se pahle pahle yih sab kuchh wāqe hogā.
33 Āsmān-o-zamīn to jāte raheṅge, lekin merī bāteṅ hameshā tak qāym raheṅgī.
Ḳhabardār Rahnā
34 Ḳhabardār raho tāki tumhāre dil aiyāshī, nashābāzī aur rozānā kī fikroṅ tale dab na jāeṅ. Warnā yih din achānak tum par ān paṛegā,
35 aur phande kī tarah tumheṅ jakaṛ legā. Kyoṅki wuh duniyā ke tamām bāshindoṅ par āegā.
36 Har waqt chaukas raho aur duā karte raho ki tum ko āne wālī in sab bātoṅ se bach nikalne kī taufīq mil jāe aur tum Ibn-e-Ādam ke sāmne khaṛe ho sako.”
37 Har roz Īsā Baitul-muqaddas meṅ tālīm detā rahā aur har shām wuh nikal kar us pahāṛ par rāt guzārtā thā jis kā nām Zaitūn kā Pahāṛ hai.
38 Aur tamām log us kī bāteṅ sunane ke lie subah-sawere Baitul-muqaddas meṅ us ke pās āte the.