11
Yarūshalam meṅ Īsā kā Purjosh Istiqbāl
1 Wuh Yarūshalam ke qarīb Bait-fage aur Bait-aniyāh pahuṅchne lage. Yih gāṅw Zaitūn ke pahāṛ par wāqe the. Īsā ne apne shāgirdoṅ meṅ se do ko bhejā
2 aur kahā, “Sāmne wāle gāṅw meṅ jāo. Wahāṅ tum ek jawān gadhā dekhoge. Wuh bandhā huā hogā aur ab tak koī bhī us par sawār nahīṅ huā hai. Use khol kar yahāṅ le āo.
3 Agar koī pūchhe ki yih kyā kar rahe ho to use batā denā, ‘Ḳhudāwand ko is kī zarūrat hai. Wuh jald hī ise wāpas bhej deṅge.’ ”
4 Donoṅ shāgird wahāṅ gae to ek jawān gadhā dekhā jo bāhar galī meṅ kisī darwāze ke sāth bandhā huā thā. Jab wuh us kī rassī kholne lage
5 to wahāṅ khaṛe kuchh logoṅ ne pūchhā, “Tum yih kyā kar rahe ho? Jawān gadhe ko kyoṅ khol rahe ho?”
6 Unhoṅ ne jawāb meṅ wuh kuchh batā diyā jo Īsā ne unheṅ kahā thā. Is par logoṅ ne unheṅ kholne diyā.
7 Wuh jawān gadhe ko Īsā ke pās le āe aur apne kapṛe us par rakh die. Phir Īsā us par sawār huā.
8 Jab wuh chal paṛā to bahut-se logoṅ ne us ke āge āge rāste meṅ apne kapṛe bichhā die. Bāz ne harī shāḳheṅ bhī us ke āge bichhā dīṅ jo unhoṅ ne khetoṅ ke daraḳhtoṅ se kāṭ lī thīṅ.
9 Log Īsā ke āge aur pīchhe chal rahe the aur chillā chillā kar nāre lagā rahe the,
“Hoshānā!
Mubārak hai wuh jo Rab ke nām se ātā hai.
10 Mubārak hai hamāre bāp Dāūd kī bādshāhī jo ā rahī hai.
Āsmān kī bulandiyoṅ par hoshānā.”
11 Yoṅ Īsā Yarūshalam meṅ dāḳhil huā. Wuh Baitul-muqaddas meṅ gayā aur apne irdgird nazar dauṛā kar sab kuchh deḳhne ke bād chalā gayā. Chūṅki shām kā pichhlā waqt thā is lie wuh bārah shāgirdoṅ samet shahr se nikal kar Bait-aniyāh wāpas gayā.
Anjīr ke Daraḳht par Lānat
12 Agle din jab wuh Bait-aniyāh se nikal rahe the to Īsā ko bhūk lagī.
13 Us ne kuchh fāsile par anjīr kā ek daraḳht dekhā jis par patte the. Is lie wuh yih deḳhne ke lie us ke pās gayā ki āyā koī phal lagā hai yā nahīṅ. Lekin jab wuh wahāṅ pahuṅchā to dekhā ki patte hī patte haiṅ. Wajah yih thī ki anjīr kā mausam nahīṅ thā.
14 Is par Īsā ne daraḳht se kahā, “Ab se hameshā tak tujh se phal khāyā na jā sake!” Us ke shāgirdoṅ ne us kī yih bāt sun lī.
Īsā Baitul-muqaddas meṅ Jātā Hai
15 Wuh Yarūshalam pahuṅch gae. Aur Īsā Baitul-muqaddas meṅ jā kar unheṅ nikālne lagā jo wahāṅ qurbāniyoṅ ke lie darkār chīzoṅ kī ḳharīd-o-faroḳht kar rahe the. Us ne sikkoṅ kā tabādalā karne wāloṅ kī mezeṅ aur kabūtar bechne wāloṅ kī kursiyāṅ ulaṭ dīṅ
16 aur jo tijāratī māl le kar Baitul-muqaddas ke sahnoṅ meṅ se guzar rahe the unheṅ rok liyā.
17 Tālīm de kar us ne kahā, “Kyā kalām-e-muqaddas meṅ nahīṅ likhā hai, ‘Merā ghar tamām qaumoṅ ke lie duā kā ghar kahlāegā’? Lekin tum ne use ḍākuoṅ ke aḍḍe meṅ badal diyā hai.”
18 Rāhnumā imāmoṅ aur sharīat ke ulamā ne jab yih sunā to use qatl karne kā mauqā ḍhūṅḍne lage. Kyoṅki wuh us se ḍarte the is lie ki pūrā hujūm us kī tālīm se nihāyat hairān thā.
19 Jab shām huī to Īsā aur us ke shāgird shahr se nikal gae.
Anjīr ke Daraḳht se Sabaq
20 Agle din wuh subah-sawere anjīr ke us daraḳht ke pās se guzare jis par Īsā ne lānat bhejī thī. Jab unhoṅ ne us par ġhaur kiyā to mālūm huā ki wuh jaṛoṅ tak sūkh gayā hai.
21 Tab Patras ko wuh bāt yād āī jo Īsā ne kal anjīr ke daraḳht se kī thī. Us ne kahā, “Ustād, yih dekheṅ! Anjīr ke jis daraḳht par āp ne lānat bhejī thī wuh sūkh gayā hai.”
22 Īsā ne jawāb diyā, “Allāh par īmān rakho.
23 Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki agar koī is pahāṛ se kahe, ‘Uṭh, apne āp ko samundar meṅ girā de’ to yih ho jāegā. Shart sirf yih hai ki wuh shak na kare balki īmān rakhe ki jo kuchh us ne kahā hai wuh us ke lie ho jāegā.
24 Is lie maiṅ tum ko batātā hūṅ, jab bhī tum duā karke kuchh māṅgte ho to īmān rakho ki tum ko mil gayā hai. Phir wuh tumheṅ zarūr mil jāegā.
25 Aur jab tum khaṛe ho kar duā karte ho to agar tumheṅ kisī se shikāyat ho to pahle use muāf karo tāki āsmān par tumhārā Bāp bhī tumhāre gunāhoṅ ko muāf kare.
26 [Aur agar tum muāf na karo to tumhārā āsmānī Bāp tumhāre gunāh bhī muāf nahīṅ karegā.]”
Kis ne Īsā ko Iḳhtiyār Diyā?
27 Wuh ek aur dafā Yarūshalam pahuṅch gae. Aur jab Īsā Baitul-muqaddas meṅ phir rahā thā to rāhnumā imām, sharīat ke ulamā aur buzurg us ke pās āe.
28 Unhoṅ ne pūchhā, “Āp yih sab kuchh kis iḳhtiyār se kar rahe haiṅ? Kis ne āp ko yih karne kā iḳhtiyār diyā hai?”
29 Īsā ne jawāb diyā, “Merā bhī tum se ek sawāl hai. Is kā jawāb do to phir tum ko batā dūṅgā ki maiṅ yih kis iḳhtiyār se kar rahā hūṅ.
30 Mujhe batāo, kyā Yahyā kā baptismā āsmānī thā yā insānī?”
31 Wuh āpas meṅ bahs karne lage, “Agar ham kaheṅ ‘Āsmānī’ to wuh pūchhegā, ‘To phir tum us par īmān kyoṅ na lāe?’
32 Lekin ham kaise kah sakte haiṅ ki wuh insānī thā?” Wajah yih thī ki wuh ām logoṅ se ḍarte the, kyoṅki sab mānte the ki Yahyā wāqaī nabī thā.
33 Chunāṅche unhoṅ ne jawāb diyā, “Ham nahīṅ jānte.”
Īsā ne kahā, “To phir maiṅ bhī tum ko nahīṅ batātā ki maiṅ yih sab kuchh kis iḳhtiyār se kar rahā hūṅ.”