12
Angūr ke Bāġh ke Muzāreoṅ kī Baġhāwat
1 Phir wuh tamsīloṅ meṅ un se bāt karne lagā. “Kisī ādmī ne angūr kā ek bāġh lagāyā. Us ne us kī chārdīwārī banāī, angūroṅ kā ras nikālne ke lie ek gaṛhe kī khudāī kī aur pahredāroṅ ke lie burj tāmīr kiyā. Phir wuh use muzāreoṅ ke sapurd karke bairūn-e-mulk chalā gayā.
2 Jab angūr pak gae to us ne apne naukar ko muzāreoṅ ke pās bhej diyā tāki wuh un se mālik kā hissā wasūl kare.
3 Lekin muzāreoṅ ne use pakaṛ kar us kī piṭāī kī aur use ḳhālī hāth lauṭā diyā.
4 Phir mālik ne ek aur naukar ko bhej diyā. Lekin unhoṅ ne us kī bhī be'izzatī karke us kā sar phoṛ diyā.
5 Jab mālik ne tīsre naukar ko bhejā to unhoṅ ne use mār ḍālā. Yoṅ us ne kaī ek ko bhejā. Bāz ko unhoṅ ne mārā-pīṭā, bāz ko qatl kiyā.
6 Āḳhirkār sirf ek bāqī rah gayā thā. Wuh thā us kā pyārā beṭā. Ab us ne use bhej kar kahā, ‘Āḳhir mere beṭe kā to lihāz kareṅge.’
7 Lekin muzāre ek dūsre se kahne lage, ‘Yih zamīn kā wāris hai. Āo ham ise mār ḍāleṅ to phir is kī mīrās hamārī hī hogī.’
8 Unhoṅ ne use pakaṛ kar qatl kiyā aur bāġh se bāhar phaiṅk diyā.
9 Ab batāo, bāġh kā mālik kyā karegā? Wuh jā kar muzāreoṅ ko halāk karegā aur bāġh ko dūsroṅ ke sapurd kar degā.
10 Kyā tum ne kalām-e-muqaddas kā yih hawālā nahīṅ paṛhā,
‘Jis patthar ko makān banāne wāloṅ ne radd kiyā
wuh kone kā buniyādī patthar ban gayā.
11 Yih Rab ne kiyā
aur deḳhne meṅ kitnā hairatangez hai.’ ”
12 Is par dīnī rāhnumāoṅ ne Īsā ko giriftār karne kī koshish kī, kyoṅki wuh samajh gae the ki tamsīl meṅ bayānshudā muzāre ham hī haiṅ. Lekin wuh hujūm se ḍarte the, is lie wuh use chhoṛ kar chale gae.
Kyā Ṭaiks Denā Jāyz Hai?
13 Bād meṅ unhoṅ ne kuchh Farīsiyoṅ aur Herodes ke pairokāroṅ ko us ke pās bhej diyā tāki wuh use koī aisī bāt karne par ubhāreṅ jis se use pakaṛā jā sake.
14 Wuh us ke pās ā kar kahne lage, “Ustād, ham jānte haiṅ ki āp sachche haiṅ aur kisī kī parwā nahīṅ karte. Āp jānibdār nahīṅ hote balki diyānatdārī se Allāh kī rāh kī tālīm dete haiṅ. Ab hameṅ batāeṅ ki kyā Romī shahanshāh ko ṭaiks denā jāyz hai yā nājāyz? Kyā ham adā kareṅ yā na kareṅ?”
15 Lekin Īsā ne un kī riyākārī jān kar un se kahā, “Mujhe kyoṅ phaṅsānā chāhte ho? Chāṅdī kā ek Romī sikkā mere pās le āo.”
16 Wuh ek sikkā us ke pās le āe to us ne pūchhā, “Kis kī sūrat aur nām is par kandā hai?” Unhoṅ ne jawāb diyā, “Shahanshāh kā.”
17 Us ne kahā, “To jo shahanshāh kā hai shahanshāh ko do aur jo Allāh kā hai Allāh ko.” Us kā yih jawāb sun kar unhoṅ ne baṛā tājjub kiyā.
Kyā Ham Jī Uṭheṅge?
18 Phir kuchh Sadūqī Īsā ke pās āe. Sadūqī nahīṅ mānte ki roz-e-qiyāmat murde jī uṭheṅge. Unhoṅ ne Īsā se ek sawāl kiyā,
19 “Ustād, Mūsā ne hameṅ hukm diyā ki agar koī shādīshudā ādmī beaulād mar jāe aur us kā bhāī ho to bhāī kā farz hai ki wuh bewā se shādī karke apne bhāī ke lie aulād paidā kare.
20 Ab farz kareṅ ki sāt bhāī the. Pahle ne shādī kī, lekin beaulād faut huā.
21 Is par dūsre ne us se shādī kī, lekin wuh bhī beaulād mar gayā. Phir tīsre bhāī ne us se shādī kī.
22 Yih silsilā sātweṅ bhāī tak jārī rahā. Yake bād dīgare har bhāī bewā se shādī karne ke bād mar gayā. Āḳhir meṅ bewā bhī faut ho gaī.
23 Ab batāeṅ ki qiyāmat ke din wuh kis kī bīwī hogī? Kyoṅki sāt ke sāt bhāiyoṅ ne us se shādī kī thī.”
24 Īsā ne jawāb diyā, “Tum is lie ġhaltī par ho ki na tum kalām-e-muqaddas se wāqif ho, na Allāh kī qudrat se.
25 Kyoṅki jab murde jī uṭheṅge to na wuh shādī kareṅge na un kī shādī karāī jāegī balki wuh āsmān par farishtoṅ kī mānind hoṅge.
26 Rahī yih bāt ki murde jī uṭheṅge. Kyā tum ne Mūsā kī kitāb meṅ nahīṅ paṛhā ki Allāh jaltī huī jhāṛī meṅ se kis tarah Mūsā se hamkalām huā? Us ne farmāyā, ‘Maiṅ Ibrāhīm kā Ḳhudā, Is'hāq kā Ḳhudā aur Yāqūb kā Ḳhudā hūṅ,’ hālāṅki us waqt tīnoṅ kāfī arse se mar chuke the.
27 Is kā matlab hai ki yih haqīqat meṅ zindā haiṅ, kyoṅki Allāh murdoṅ kā nahīṅ, balki zindoṅ kā Ḳhudā hai. Tum se baṛī ġhaltī huī hai.”
Awwal Hukm
28 Itne meṅ sharīat kā ek ālim un ke pās āyā. Us ne unheṅ bahs karte hue sunā thā aur jān liyā ki Īsā ne achchhā jawāb diyā, is lie us ne pūchhā, “Tamām ahkām meṅ se kaun-sā hukm sab se aham hai?”
29 Īsā ne jawāb diyā, “Awwal hukm yih hai: ‘Sun ai Isrāīl! Rab hamārā Ḳhudā ek hī Rab hai.
30 Rab apne Ḳhudā se apne pūre dil, apnī pūrī jān, apne pūre zahan aur apnī pūrī tāqat se pyār karnā.’
31 Dūsrā hukm yih hai: ‘Apne paṛosī se waisī muhabbat rakhnā jaisī tū apne āp se rakhtā hai.’ Dīgar koī bhī hukm in do ahkām se aham nahīṅ hai.”
32 Us ālim ne kahā, “Shābāsh, ustād! Āp ne sach kahā hai ki Allāh sirf ek hī hai aur us ke siwā koī aur nahīṅ hai.
33 Hameṅ use apne pūre dil, apne pūre zahan aur apnī pūrī tāqat se pyār karnā chāhie aur sāth sāth apne paṛosī se waisī muhabbat rakhnī chāhie jaisī apne āp se rakhte haiṅ. Yih do ahkām bhasm hone wālī tamām qurbāniyoṅ aur dīgar nazaroṅ se zyādā ahmiyat rakhte haiṅ.”
34 Jab Īsā ne us kā yih jawāb sunā to us se kahā, “Tū Allāh kī bādshāhī se dūr nahīṅ hai.” Is ke bād kisī ne bhī us se sawāl pūchhne kī jurrat na kī.
Masīh ke bāre meṅ Sawāl
35 Jab Īsā Baitul-muqaddas meṅ tālīm de rahā thā to us ne pūchhā, “Sharīat ke ulamā kyoṅ dāwā karte haiṅ ki Masīh Dāūd kā farzand hai?
36 Kyoṅki Dāūd ne to ḳhud Rūhul-quds kī mārifat yih farmāyā,
‘Rab ne mere Rab se kahā,
mere dahne hāth baiṭh,
jab tak maiṅ tere dushmanoṅ ko tere pāṅwoṅ ke nīche na kar dūṅ.’
37 Dāūd to ḳhud Masīh ko Rab kahtā hai. To phir wuh kis tarah Dāūd kā farzand ho saktā hai?”
Sharīat ke Ulamā se Ḳhabardār Rahnā
Ek baṛā hujūm maze se Īsā kī bāteṅ sun rahā thā.
38 Unheṅ tālīm dete waqt us ne kahā, “Ulamā se ḳhabardār raho! Kyoṅki wuh shāndār choġhe pahan kar idhar-udhar phirnā pasand karte haiṅ. Jab log bāzāroṅ meṅ salām karke un kī izzat karte haiṅ to phir wuh ḳhush ho jāte haiṅ.
39 Un kī bas ek hī ḳhāhish hotī hai ki ibādatḳhānoṅ aur ziyāfatoṅ meṅ izzat kī kursiyoṅ par baiṭh jāeṅ.
40 Yih log bewāoṅ ke ghar haṛap kar jāte aur sāth sāth dikhāwe ke lie lambī lambī duāeṅ māṅgte haiṅ. Aise logoṅ ko nihāyat saḳht sazā milegī.”
Bewā kā Chandā
41 Īsā Baitul-muqaddas ke chande ke baks ke muqābil baiṭh gayā aur hujūm ko hadiye ḍālte hue deḳhne lagā. Kaī amīr baṛī baṛī raqmeṅ ḍāl rahe the.
42 Phir ek ġharīb bewā bhī wahāṅ se guzarī jis ne us meṅ tāṅbe ke do māmūlī-se sikke ḍāl die.
43 Īsā ne shāgirdoṅ ko apne pās bulā kar kahā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki is ġharīb bewā ne tamām logoṅ kī nisbat zyādā ḍālā hai.
44 Kyoṅki in sab ne apnī daulat kī kasrat se de diyā jabki us ne zarūratmand hone ke bāwujūd bhī apne guzāre ke sāre paise de die haiṅ.”