11
Taberā meṅ Rab kī Āg
1 Ek din log ḳhūb shikāyat karne lage. Jab yih shikāyateṅ Rab tak pahuṅchīṅ to use ġhussā āyā aur us kī āg un ke darmiyān bhaṛak uṭhī. Jalte jalte us ne ḳhaimāgāh kā ek kinārā bhasm kar diyā.
2 Log madad ke lie Mūsā ke pās ā kar chillāne lage to us ne Rab se duā kī, aur āg bujh gaī.
3 Us maqām kā nām Taberā yānī Jalnā paṛ gayā, kyoṅki Rab kī āg un ke darmiyān jal uṭhī thī.
Mūsā 70 Rāhnumā Chuntā Hai
4 Isrāīliyoṅ ke sāth jo ajnabī safr kar rahe the wuh gosht khāne kī shadīd ārzū karne lage. Tab Isrāīlī bhī ro paṛe aur kahne lage, “Kaun hameṅ gosht khilāegā?
5 Misr meṅ ham machhlī muft khā sakte the. Hāy, wahāṅ ke khīre, tarbūz, gandane, pyāz aur lahsan kitne achchhe the!
6 Lekin ab to hamārī jān sūkh gaī hai. Yahāṅ bas man hī man nazar ātā rahtā hai.”
7 Man dhanie ke dānoṅ kī mānind thā, aur us kā rang gūgal ke gūṅd kī mānind thā.
8-9 Rāt ke waqt wuh ḳhaimāgāh meṅ os ke sāth zamīn par girtā thā. Subah ke waqt log idhar-udhar ghūmte-phirte hue use jamā karte the. Phir wuh use chakkī meṅ pīs kar yā ukhlī meṅ kūṭ kar ubālte yā roṭī banāte the. Us kā zāyqā aisī roṭī kā-sā thā jis meṅ zaitūn kā tel ḍālā gayā ho.
10 Tamām ḳhāndān apne apne ḳhaime ke darwāze par rone lage to Rab ko shadīd ġhussā āyā. Un kā shor Mūsā ko bhī bahut burā lagā.
11 Us ne Rab se pūchhā, “Tū ne apne ḳhādim ke sāth itnā burā sulūk kyoṅ kiyā? Maiṅ ne kis kām se tujhe itnā nārāz kiyā ki tū ne in tamām logoṅ kā bojh mujh par ḍāl diyā?
12 Kyā maiṅ ne hāmilā ho kar is pūrī qaum ko janm diyā ki tū mujh se kahtā hai, ‘Ise us tarah uṭhā kar le chalnā jis tarah āyā shīrḳhār bachche ko uṭhā kar har jagah sāth lie phirtī hai. Isī tarah ise us mulk meṅ le jānā jis kā wādā maiṅ ne qasam khā kar in ke bāpdādā se kiyā hai.’
13 Ai Allāh, maiṅ in tamām logoṅ ko kahāṅ se gosht muhaiyā karūṅ? Wuh mere sāmne rote rahte haiṅ ki hameṅ khāne ke lie gosht do.
14 Maiṅ akelā in tamām logoṅ kī zimmedārī nahīṅ uṭhā saktā. Yih bojh mere lie had se zyādā bhārī hai.
15 Agar tū is par isrār kare to phir behtar hai ki abhī mujhe mār de tāki maiṅ apnī tabāhī na dekhūṅ.”
16 Jawāb meṅ Rab ne Mūsā se kahā, “Mere pās Isrāīl ke 70 buzurg jamā kar. Sirf aise log chun jin ke bāre meṅ tujhe mālūm hai ki wuh logoṅ ke buzurg aur nigahbān haiṅ. Unheṅ mulāqāt ke ḳhaime ke pās le ā. Wahāṅ wuh tere sāth khaṛe ho jāeṅ,
17 to maiṅ utar kar tere sāth hamkalām hūṅgā. Us waqt maiṅ us Rūh meṅ se kuchh lūṅgā jo maiṅ ne tujh par nāzil kiyā thā aur use un par nāzil karūṅga. Tab wuh qaum kā bojh uṭhāne meṅ terī madad kareṅge aur tū is meṅ akelā nahīṅ rahegā.
18 Logoṅ ko batānā, ‘Apne āp ko maḳhsūs-o-muqaddas karo, kyoṅki kal tum gosht khāoge. Rab ne tumhārī sunī jab tum ro paṛe ki kaun hameṅ gosht khilāegā, Misr meṅ hamārī hālat behtar thī. Ab Rab tumheṅ gosht muhaiyā karegā aur tum use khāoge.
19 Tum use na sirf ek, do yā pāṅch din khāoge balki 10 yā 20 din se bhī zyādā arse tak.
20 Tum ek pūrā mahīnā ḳhūb gosht khāoge, yahāṅ tak ki wuh tumhārī nāk se niklegā aur tumheṅ us se ghin āegī. Aur yih is sabab se hogā ki tum ne Rab ko jo tumhāre darmiyān hai radd kiyā aur rote rote us ke sāmne kahā ki ham kyoṅ Misr se nikle.’ ”
21 Lekin Mūsā ne etarāz kiyā, “Agar qaum ke paidal chalne wāle gine jāeṅ to chhih lākh haiṅ. Tū kis tarah hameṅ ek māh tak gosht muhaiyā karegā?
22 Kyā gāy-bailoṅ yā bheṛ-bakriyoṅ ko itnī miqdār meṅ zabah kiyā jā saktā hai ki kāfī ho? Agar samundar kī tamām machhliyāṅ un ke lie pakaṛī jāeṅ to kyā kāfī hoṅgī?”
23 Rab ne kahā, “Kyā Rab kā iḳhtiyār kam hai? Ab tū ḳhud dekh legā ki merī bāteṅ durust haiṅ ki nahīṅ.”
24 Chunāṅche Mūsā ne wahāṅ se nikal kar logoṅ ko Rab kī yih bāteṅ batāīṅ. Us ne un ke buzurgoṅ meṅ se 70 ko chun kar unheṅ mulāqāt ke ḳhaime ke irdgird khaṛā kar diyā.
25 Tab Rab bādal meṅ utar kar Mūsā se hamkalām huā. Jo Rūh us ne Mūsā par nāzil kiyā thā us meṅ se us ne kuchh le kar un 70 buzurgoṅ par nāzil kiyā. Jab Rūh un par āyā to wuh nabuwwat karne lage. Lekin aisā phir kabhī na huā.
26 Ab aisā huā ki in sattar buzurgoṅ meṅ se do ḳhaimāgāh meṅ rah gae the. Un ke nām Ildād aur medād the. Unheṅ chunā to gayā thā lekin wuh mulāqāt ke ḳhaime ke pās nahīṅ āe the. Is ke bāwujūd Rūh un par bhī nāzil huā aur wuh ḳhaimāgāh meṅ nabuwwat karne lage.
27 Ek naujawān bhāg kar Mūsā ke pās āyā aur kahā, “Ildād aur medād ḳhaimāgāh meṅ hī nabuwwat kar rahe haiṅ.”
28 Yashua bin Nūn jo jawānī se Mūsā kā madadgār thā bol uṭhā, “Mūsā mere āqā, unheṅ rok deṅ!”
29 Lekin Mūsā ne jawāb diyā, “Kyā tū merī ḳhātir ġhairat khā rahā hai? Kāsh Rab ke tamām log nabī hote aur wuh un sab par apnā Rūh nāzil kartā!”
30 Phir Mūsā aur Isrāīl ke buzurg ḳhaimāgāh meṅ wāpas āe.
31 Tab Rab kī taraf se zordār hawā chalne lagī jis ne samundar ko pār karne wāle baṭeroṅ ke ġhol dhakel kar ḳhaimāgāh ke irdgird zamīn par phaiṅk die. Un ke ġhol tīn fuṭ ūṅche aur ḳhaimāgāh ke chāroṅ taraf 30 kilomīṭar tak paṛe rahe.
32 Us pūre din aur rāt aur agle pūre din log nikal kar baṭereṅ jamā karte rahe. Har ek ne kam az kam das baṛī ṭokriyāṅ bhar līṅ. Phir unhoṅ ne un kā gosht ḳhaime ke irdgird zamīn par phailā diyā tāki wuh ḳhushk ho jāe.
33 Lekin gosht ke pahle ṭukṛe abhī muṅh meṅ the ki Rab kā ġhazab un par ān paṛā, aur us ne un meṅ saḳht wabā phailne dī.
34 Chunāṅche maqām kā nām Qabrot-hattāwā yānī ‘Lālach kī Qabreṅ’ rakhā gayā, kyoṅki wahāṅ unhoṅ ne un logoṅ ko dafn kiyā jo gosht ke lālach meṅ ā gae the.
35 Is ke bād Isrāīlī Qabrot-hattāwā se rawānā ho kar Hasīrāt pahuṅch gae. Wahāṅ wuh ḳhaimāzan hue.