10
Rab ne Mūsā se kahā, “Chāṅdī ke do bigul ghaṛ kar banwā le. Unheṅ jamāt ko jamā karne aur qabīloṅ ko rawānā karne ke lie istemāl kar. Jab donoṅ ko der tak bajāyā jāe to pūrī jamāt mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par ā kar tere sāmne jamā ho jāe. Lekin agar ek hī bajāyā jāe to sirf kunboṅ ke buzurg tere sāmne jamā ho jāeṅ. Agar un kī āwāz sirf thoṛī der ke lie sunāī de to maqdis ke mashriq meṅ maujūd qabīle rawānā ho jāeṅ. Phir jab un kī āwāz dūsrī bār thoṛī der ke lie sunāī de to maqdis ke junūb meṅ maujūd qabīle rawānā ho jāeṅ. Jab un kī āwāz thoṛī der ke lie sunāī de to yih rawānā hone kā elān hogā. Is ke muqābale meṅ jab un kī āwāz der tak sunāī de to yih is bāt kā elān hogā ki jamāt jamā ho jāe.
Bigul bajāne kī zimmedārī Hārūn ke beṭoṅ yānī imāmoṅ ko dī jāe. Yih tumhāre aur āne wālī nasloṅ ke lie dāymī usūl ho. Un kī āwāz us waqt bhī thoṛī der ke lie sunā do jab tum apne mulk meṅ kisī zālim dushman se jang laṛne ke lie nikloge. Tab Rab tumhārā Ḳhudā tumheṅ yād karke dushman se bachāegā.
10 Isī tarah un kī āwāz maqdis meṅ ḳhushī ke mauqoṅ par sunāī de yānī muqarrarā īdoṅ aur Nae Chāṅd kī Īdoṅ par. In mauqoṅ par wuh bhasm hone wālī qurbāniyāṅ aur salāmatī kī qurbāniyāṅ chaṛhāte waqt bajāe jāeṅ. Phir tumhārā Ḳhudā tumheṅ yād karegā. Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.”
Sīnā Pahāṛ se Rawānagī
11 Isrāīliyoṅ ko Misr se nikle ek sāl se zāyd arsā ho chukā thā. Dūsre mahīne ke bīsweṅ din bādal mulāqāt ke ḳhaime par se uṭhā. 12 Phir Isrāīlī muqarrarā tartīb ke mutābiq Dasht-e-Sīnā se rawānā hue. Chalte chalte bādal Fārān ke registān meṅ utar āyā.
13 Us waqt wuh pahlī dafā us tartīb se rawānā hue jo Rab ne Mūsā kī mārifat muqarrar kī thī. 14 Pahle Yahūdāh ke qabīle ke tīn daste apne alam ke taht chal paṛe. Tīnoṅ kā kamānḍar Nahson bin Ammīnadāb thā. 15 Sāth chalne wāle qabīle Ishkār kā kamānḍar Nataniyel bin Zuġhar thā. 16 Zabūlūn kā qabīlā bhī sāth chalā jis kā kamānḍar Iliyāb bin Helon thā. 17 Is ke bād mulāqāt kā ḳhaimā utārā gayā. Jairsonī aur Mirārī use uṭhā kar chal die. 18 In Lāwiyoṅ ke bād Rūbin ke qabīle ke tīn daste apne alam ke taht chalne lage. Tīnoṅ kā kamānḍar Ilīsūr bin Shadiyūr thā. 19 Sāth chalne wāle qabīle Shamāūn kā kamānḍar Salūmiyel bin Sūrīshaddī thā. 20 Jad kā qabīlā bhī sāth chalā jis kā kamānḍar Iliyāsaf bin Daūel thā. 21 Phir Lāwiyoṅ meṅ se Qihātī maqdis kā sāmān uṭhā kar rawānā hue. Lāzim thā ki un ke aglī manzil par pahuṅchne tak mulāqāt kā ḳhaimā lagā diyā gayā ho. 22 Is ke bād Ifrāīm ke qabīle ke tīn daste apne alam ke taht chal die. Un kā kamānḍar Ilīsamā bin Ammīhūd thā. 23 Ifrāīm ke sāth chalne wāle qabīle Manassī kā kamānḍar Jamliyel bin Fadāhsūr thā. 24 Binyamīn kā qabīlā bhī sāth chalā jis kā kamānḍar Abidān bin Jidāūnī thā. 25 Āḳhir meṅ Dān ke tīn daste aqbī muhāfiz ke taur par apne alam ke taht rawānā hue. Un kā kamānḍar Aḳhiyazar bin Ammīshaddī thā. 26 Dān ke sāth chalne wāle qabīle Āshar kā kamānḍar Fajiyel bin Akrān thā. 27 Naftālī kā qabīlā bhī sāth chalā jis kā kamānḍar Aḳhīrā bin Enān thā. 28 Isrāīlī isī tartīb se rawānā hue.
Mūsā Hobāb ko sāth Chalne par Majbūr Kartā Hai
29 Mūsā ne apne Midiyānī susar Raūel yānī Yitro ke beṭe Hobāb se kahā, “Ham us jagah ke lie rawānā ho rahe haiṅ jis kā wādā Rab ne ham se kiyā hai. Hamāre sāth chaleṅ! Ham āp par ehsān kareṅge, kyoṅki Rab ne Isrāīl par ehsān karne kā wādā kiyā hai.” 30 Lekin Hobāb ne jawāb diyā, “Maiṅ sāth nahīṅ jāūṅgā balki apne mulk aur rishtedāroṅ ke pās wāpas chalā jāūṅgā.” 31 Mūsā ne kahā, “Mehrbānī karke hameṅ na chhoṛeṅ. Kyoṅki āp hī jānte haiṅ ki ham registān meṅ kahāṅ kahāṅ apne ḍere ḍāl sakte haiṅ. Āp registān meṅ hameṅ rāstā dikhā sakte haiṅ. 32 Agar āp hamāre sāth jāeṅ to ham āp ko us ehsān meṅ sharīk kareṅge jo Rab ham par karegā.”
Ahd ke Sandūq kā Safr
33 Chunāṅche unhoṅ ne Rab ke pahāṛ se rawānā ho kar tīn din safr kiyā. Is daurān Rab kā ahd kā sandūq un ke āge āge chalā tāki un ke lie ārām karne kī jagah mālūm kare. 34 Jab kabhī wuh rawānā hote to Rab kā bādal din ke waqt un ke ūpar rahtā. 35 Sandūq ke rawānā hote waqt Mūsā kahtā, “Ai Rab, uṭh. Tere dushman titar-bitar ho jāeṅ. Tujh se nafrat karne wāle tere sāmne se farār ho jāeṅ.” 36 Aur jab bhī wuh ruk jātā to Mūsā kahtā, “Ai Rab, Isrāīl ke hazāroṅ ḳhāndānoṅ ke pās wāpas ā.”