2
Ḳhaimāgāh meṅ Qabīloṅ kī Tartīb
1 Rab ne Mūsā aur Hārūn se kahā
2 ki Isrāīlī apne ḳhaime kuchh fāsile par mulāqāt ke ḳhaime ke irdgird lagāeṅ. Har ek apne apne alam aur apne apne ābāī gharāne ke nishān ke sāth ḳhaimāzan ho.
3 In hidāyāt ke mutābiq maqdis ke mashriq meṅ Yahūdāh kā alam thā jis ke irdgird tīn daste ḳhaimāzan the. Pahle, Yahūdāh kā qabīlā jis kā kamānḍar Nahson bin Ammīnadāb thā,
4 aur jis ke lashkar ke 74,600 faujī the.
5 Dūsre, Ishkār kā qabīlā jis kā kamānḍar Nataniyel bin Zuġhar thā,
6 aur jis ke lashkar ke 54,400 faujī the.
7 Tīsre, Zabūlūn kā qabīlā jis kā kamānḍar Iliyāb bin Helon thā
8 aur jis ke lashkar ke 57,400 faujī the.
9 Tīnoṅ qabīloṅ ke faujiyoṅ kī kul tādād 1,86,400 thī. Rawānā hote waqt yih āge chalte the.
10 Maqdis ke junūb meṅ Rūbin kā alam thā jis ke irdgird tīn daste ḳhaimāzan the. Pahle, Rūbin kā qabīlā jis kā kamānḍar Ilīsūr bin Shadiyūr thā,
11 aur jis ke 46,500 faujī the.
12 Dūsre, Shamāūn kā qabīlā jis kā kamānḍar Salūmiyel bin Sūrīshaddī thā,
13 aur jis ke 59,300 faujī the.
14 Tīsre, Jad kā qabīlā jis kā kamānḍar Iliyāsaf bin Daūel thā,
15 aur jis ke 45,650 faujī the.
16 Tīnoṅ qabīloṅ ke faujiyoṅ kī kul tādād 1,51,450 thī. Rawānā hote waqt yih mashriqī qabīloṅ ke pīchhe chalte the.
17 In junūbī qabīloṅ ke bād Lāwī mulāqāt kā ḳhaimā uṭhā kar qabīloṅ ke ain bīch meṅ chalte the. Qabīle us tartīb se rawānā hote the jis tartīb se wuh apne ḳhaime lagāte the. Har qabīlā apne alam ke pīchhe chaltā thā.
18 Maqdis ke maġhrib meṅ Ifrāīm kā alam thā jis ke irdgird tīn daste ḳhaimāzan the. Pahle, Ifrāīm kā qabīlā jis kā kamānḍar Ilīsamā bin Ammīhūd thā,
19 aur jis ke 40,500 faujī the.
20 Dūsre, Manassī kā qabīlā jis kā kamānḍar Jamliyel bin Fadāhsūr thā,
21 aur jis ke 32,200 faujī the.
22 Tīsre, Binyamīn kā qabīlā jis kā kamānḍar Abidān bin Jidāūnī thā,
23 aur jis ke 35,400 faujī the.
24 Tīnoṅ qabīloṅ ke faujiyoṅ kī kul tādād 1,08,100 thī. Rawānā hote waqt yih junūbī qabīloṅ ke pīchhe chalte the.
25 Maqdis ke shimāl meṅ Dān kā alam thā jis ke irdgird tīn daste ḳhaimāzan the. Pahle, Dān kā qabīlā jis kā kamānḍar Aḳhiyazar bin Ammīshaddī thā,
26 aur jis ke 62,700 faujī the.
27 Dūsre, Āshar kā qabīlā jis kā kamānḍar Fajiyel bin Akrān thā,
28 aur jis ke 41,500 faujī the.
29 Tīsre, Naftālī kā qabīlā jis kā kamānḍar Aḳhīrā bin Enān thā,
30 aur jis ke 53,400 faujī the.
31 Tīnoṅ qabīloṅ kī kul tādād 1,57,600 thī. Wuh āḳhir meṅ apnā alam uṭhā kar rawānā hote the.
32 Pūrī ḳhaimāgāh ke faujiyoṅ kī kul tādād 6,03,550 thī.
33 Sirf Lāwī is tādād meṅ shāmil nahīṅ the, kyoṅki Rab ne Mūsā ko hukm diyā thā ki un kī bhartī na kī jāe.
34 Yoṅ Isrāīliyoṅ ne sab kuchh un hidāyāt ke mutābiq kiyā jo Rab ne Mūsā ko dī thīṅ. Un ke mutābiq hī wuh apne jhanḍoṅ ke irdgird apne ḳhaime lagāte the aur un ke mutābiq hī apne kunboṅ aur ābāī gharānoṅ ke sāth rawānā hote the.