3
Hārūn ke Beṭe
Yih Hārūn aur Mūsā ke ḳhāndān kā bayān hai. Us waqt kā zikr hai jab Rab ne Sīnā Pahāṛ par Mūsā se bāt kī. Hārūn ke chār beṭe the. Baṛā beṭā Nadab thā, phir Abīhū, Iliyazar aur Itamar. Yih imām the jin ko masah karke is ḳhidmat kā iḳhtiyār diyā gayā thā. Lekin Nadab aur Abīhū us waqt mar gae jab unhoṅ ne Dasht-e-Sīnā meṅ Rab ke huzūr nājāyz āg pesh kī. Chūṅki wuh beaulād the is lie Hārūn ke jīte-jī sirf Iliyazar aur Itamar imām kī ḳhidmat saranjām dete the.
Lāwiyoṅ kī Maqdis meṅ Zimmedārī
Rab ne Mūsā se kahā, “Lāwī ke qabīle ko lā kar Hārūn kī ḳhidmat karne kī zimmedārī de. Unheṅ us ke lie aur pūrī jamāt ke lie mulāqāt ke ḳhaime kī ḳhidmāt saṅbhālnā hai. Wuh mulāqāt ke ḳhaime kā sāmān saṅbhāleṅ aur tamām Isrāīliyoṅ ke lie maqdis ke farāyz adā kareṅ. Tamām Isrāīliyoṅ meṅ se sirf Lāwiyoṅ ko Hārūn aur us ke beṭoṅ kī ḳhidmat ke lie muqarrar kar. 10 Lekin sirf Hārūn aur us ke beṭoṅ ko imām kī haisiyat hāsil hai. Jo bhī bāqiyoṅ meṅ se un kī zimmedāriyāṅ uṭhāne kī koshish karegā use sazā-e-maut dī jāegī.”
11 Rab ne Mūsā se yih bhī kahā, 12 “Maiṅ ne Isrāīliyoṅ meṅ se Lāwiyoṅ ko chun liyā hai. Wuh tamām Isrāīlī pahlauṭhoṅ ke ewaz mere lie maḳhsūs haiṅ, 13 kyoṅki tamām pahlauṭhe mere hī haiṅ. Jis din maiṅ ne Misr meṅ tamām pahlauṭhoṅ ko mār diyā us din maiṅ ne Isrāīl ke pahlauṭhoṅ ko apne lie maḳhsūs kiyā, ḳhāh wuh insān ke the yā haiwān ke. Wuh mere hī haiṅ. Maiṅ Rab hūṅ.”
Lāwiyoṅ kī Mardumshumārī
14 Rab ne Sīnā ke registān meṅ Mūsā se kahā, 15 “Lāwiyoṅ ko gin kar un ke ābāī gharānoṅ aur kunboṅ ke mutābiq rajisṭar meṅ darj karnā. Har beṭe ko ginanā hai jo ek māh yā is se zāyd kā hai.” 16 Mūsā ne aisā hī kiyā.
17 Lāwī ke tīn beṭe Jairson, Qihāt aur Mirārī the. 18 Jairson ke do kunbe us ke beṭoṅ Libnī aur Simaī ke nām rakhte the. 19 Qihāt ke chār kunbe us ke beṭoṅ Amrām, Izhār, Habrūn aur Uzziyel ke nām rakhte the. 20 Mirārī ke do kunbe us ke beṭoṅ Mahlī aur Mūshī ke nām rakhte the. Ġharz Lāwī ke qabīle ke kunbe us ke potoṅ ke nām rakhte the.
21 Jairson ke do kunboṅ banām Libnī aur Simaī 22 ke 7,500 mard the jo ek māh yā is se zāyd ke the. 23 Unheṅ apne ḳhaime maġhrib meṅ maqdis ke pīchhe lagāne the. 24 Un kā rāhnumā Iliyāsaf bin Lāel thā, 25 aur wuh ḳhaime ko saṅbhālte the yānī us kī poshisheṅ, ḳhaime ke darwāze kā pardā, 26 ḳhaime aur qurbāngāh kī chārdīwārī ke parde, chārdīwārī ke darwāze kā pardā aur tamām rasse. In chīzoṅ se mutālliq sārī ḳhidmat un kī zimmedārī thī.
27 Qihāt ke chār kunboṅ banām Amrām, Izhār, Habrūn aur Uzziyel 28 ke 8,600 mard the jo ek māh yā is se zāyd ke the aur jin ko maqdis kī ḳhidmat karnī thī. 29 Unheṅ apne ḍere maqdis ke junūb meṅ ḍālne the. 30 Un kā rāhnumā Ilīsafan bin Uzziyel thā, 31 aur wuh yih chīzeṅ saṅbhālte the: ahd kā sandūq, mez, shamādān, qurbāngāheṅ, wuh bartan aur sāz-o-sāmān jo maqdis meṅ istemāl hotā thā aur Muqaddastarīn Kamre kā pardā. In chīzoṅ se mutālliq sārī ḳhidmat un kī zimmedārī thī. 32 Hārūn Imām kā beṭā Iliyazar Lāwiyoṅ ke tamām rāhnumāoṅ par muqarrar thā. Wuh un tamām logoṅ kā inchārj thā jo maqdis kī dekh-bhāl karte the.
33 Mirārī ke do kunboṅ banām Mahlī aur Mūshī 34 ke 6,200 mard the jo ek māh yā is se zāyd ke the. 35 Un kā rāhnumā Sūriyel bin Abīḳhail thā. Unheṅ apne ḍere maqdis ke shimāl meṅ ḍālne the, 36 aur wuh yih chīzeṅ saṅbhālte the: ḳhaime ke taḳhte, us ke shahtīr, khambe, pāe aur is tarah kā sārā sāmān. In chīzoṅ se mutālliq sārī ḳhidmat un kī zimmedārī thī. 37 Wuh chārdīwārī ke khambe, pāe, meḳheṅ aur rasse bhī saṅbhālte the.
38 Mūsā, Hārūn aur un ke beṭoṅ ko apne ḍere mashriq meṅ maqdis ke sāmne ḍālne the. Un kī zimmedārī maqdis meṅ banī Isrāīl ke lie ḳhidmat karnā thī. Un ke alāwā jo bhī maqdis meṅ dāḳhil hone kī koshish kartā use sazā-e-maut denī thī.
39 Un Lāwī mardoṅ kī kul tādād jo ek māh yā is se zāyd ke the 22,000 thī. Rab ke kahne par Mūsā aur Hārūn ne unheṅ kunboṅ ke mutābiq gin kar rajisṭar meṅ darj kiyā.
Lāwī ke Qabīle ke Mard Pahlauṭhoṅ ke Ewazī Haiṅ
40 Rab ne Mūsā se kahā, “Tamām Isrāīlī pahlauṭhoṅ ko ginanā jo ek māh yā is se zāyd ke haiṅ aur un ke nām rajisṭar meṅ darj karnā. 41 Un tamām pahlauṭhoṅ kī jagah Lāwiyoṅ ko mere lie maḳhsūs karnā. Isī tarah Isrāīliyoṅ ke maweshiyoṅ ke pahlauṭhoṅ kī jagah Lāwiyoṅ ke maweshī mere lie maḳhsūs karnā. Maiṅ Rab hūṅ.” 42 Mūsā ne aisā hī kiyā jaisā Rab ne use hukm diyā. Us ne tamām Isrāīlī pahlauṭhe 43 jo ek māh yā is se zāyd ke the gin lie. Un kī kul tādād 22,273 thī.
44 Rab ne Mūsā se kahā, 45 “Mujhe tamām Isrāīlī pahlauṭhoṅ kī jagah Lāwiyoṅ ko pesh karnā. Isī tarah mujhe Isrāīliyoṅ ke maweshiyoṅ kī jagah Lāwiyoṅ ke maweshī pesh karnā. Lāwī mere hī haiṅ. Maiṅ Rab hūṅ. 46 Lāwiyoṅ kī nisbat bāqī Isrāīliyoṅ ke 273 pahlauṭhe zyādā haiṅ. Un meṅ se 47 har ek ke ewaz chāṅdī ke pāṅch sikke le jo maqdis ke wazn ke mutābiq hoṅ (fī sikkā taqrīban 11 grām). 48 Yih paise Hārūn aur us ke beṭoṅ ko denā.”
49 Mūsā ne aisā hī kiyā. 50 Yoṅ us ne chāṅdī ke 1,365 sikke (taqrīban 16 kilogrām) jamā karke 51 Hārūn aur us ke beṭoṅ ko die, jis tarah Rab ne use hukm diyā thā.