4
Qihātiyoṅ kī Zimmedāriyāṅ
Rab ne Mūsā aur Hārūn se kahā, “Lāwī ke qabīle meṅ se Qihātiyoṅ kī mardumshumārī un ke kunboṅ aur ābāī gharānoṅ ke mutābiq karnā. Un tamām mardoṅ ko rajisṭar meṅ darj karnā jo 30 se le kar 50 sāl ke haiṅ aur mulāqāt ke ḳhaime meṅ ḳhidmat karne ke lie ā sakte haiṅ. Qihātiyoṅ kī ḳhidmat Muqaddastarīn Kamre kī dekh-bhāl hai.
Jab ḳhaime ko safr ke lie sameṭnā hai to Hārūn aur us ke beṭe dāḳhil ho kar Muqaddastarīn Kamre kā pardā utāreṅ aur use sharīat ke sandūq par ḍāl deṅ. Is par wuh taḳhas kī khāloṅ kā ġhilāf aur āḳhir meṅ pūrī tarah nīle rang kā kapṛā bichhāeṅ. Is ke bād wuh sandūq ko uṭhāne kī lakaṛiyāṅ lagāeṅ.
Wuh us mez par bhī nīle rang kā kapṛā bichhāeṅ jis par Rab ko roṭī pesh kī jātī hai. Us par thāl, pyāle, mai kī nazareṅ pesh karne ke bartan aur martabān rakhe jāeṅ. Jo roṭī hameshā mez par hotī hai wuh bhī us par rahe. Hārūn aur us ke beṭe in tamām chīzoṅ par qirmizī rang kā kapṛā bichhā kar āḳhir meṅ un ke ūpar taḳhas kī khāloṅ kā ġhilāf ḍāleṅ. Is ke bād wuh mez ko uṭhāne kī lakaṛiyāṅ lagāeṅ.
Wuh shamādān aur us ke sāmān par yānī us ke charaġh, battī katarne kī qainchiyoṅ, jalte koele ke chhoṭe bartanoṅ aur tel ke bartanoṅ par nīle rang kā kapṛā rakheṅ. 10 Yih sab kuchh wuh taḳhas kī khāloṅ ke ġhilāf meṅ lapeṭeṅ aur use uṭhā kar le jāne ke lie ek chaukhaṭe par rakheṅ.
11 Wuh baḳhūr jalāne kī sone kī qurbāngāh par bhī nīle rang kā kapṛā bichhā kar us par taḳhas kī khāloṅ kā ġhilāf ḍāleṅ aur phir use uṭhāne kī lakaṛiyāṅ lagāeṅ. 12 Wuh sārā sāmān jo Muqaddas Kamre meṅ istemāl hotā hai le kar nīle rang ke kapṛe meṅ lapeṭeṅ, us par taḳhas kī khāloṅ kā ġhilāf ḍāleṅ aur use uṭhā kar le jāne ke lie ek chaukhaṭe par rakheṅ.
13 Phir wuh jānwaroṅ ko jalāne kī qurbāngāh ko rākh se sāf karke us par arġhawānī rang kā kapṛā bichhāeṅ. 14 Us par wuh qurbāngāh kī ḳhidmat ke lie sārā zarūrī sāmān rakheṅ yānī chhiṛkāw ke kaṭore, jalte hue koele ke bartan, belche aur kāṅṭe. Is sāmān par wuh taḳhas kī khāloṅ kā ġhilāf ḍāl kar qurbāngāh ko uṭhāne kī lakaṛiyāṅ lagāeṅ.
15 Safr ke lie rawānā hote waqt yih sab kuchh uṭhā kar le jānā Qihātiyoṅ kī zimmedārī hai. Lekin lāzim hai ki pahle Hārūn aur us ke beṭe yih tamām muqaddas chīzeṅ ḍhāṅpeṅ. Qihātī in meṅ se koī bhī chīz na chhueṅ warnā mar jāeṅge.
16 Hārūn Imām kā beṭā Iliyazar pūre muqaddas ḳhaime aur us ke sāmān kā inchārj ho. Is meṅ charāġhoṅ kā tel, baḳhūr, ġhallā kī rozānā nazar aur masah kā tel bhī shāmil hai.”
17 Rab ne Mūsā aur Hārūn se kahā, 18 “Ḳhabardār raho ki Qihāt ke kunbe Lāwī ke qabīle meṅ se miṭne na pāeṅ. 19 Chunāṅche jab wuh muqaddastarīn chīzoṅ ke pās āeṅ to Hārūn aur us ke beṭe har ek ko us sāmān ke pās le jāeṅ jo use uṭhā kar le jānā hai tāki wuh na mareṅ balki jīte raheṅ. 20 Qihātī ek lamhe ke lie bhī muqaddas chīzeṅ deḳhne ke lie andar na jāeṅ, warnā wuh mar jāeṅge.”
Jairsoniyoṅ kī Zimmedāriyāṅ
21 Phir Rab ne Mūsā se kahā, 22 “Jairson kī aulād kī mardumshumārī bhī un ke ābāī gharānoṅ aur kunboṅ ke mutābiq karnā. 23 Un tamām mardoṅ ko rajisṭar meṅ darj karnā jo 30 se le kar 50 sāl ke haiṅ aur mulāqāt ke ḳhaime meṅ ḳhidmat ke lie ā sakte haiṅ. 24 Wuh yih chīzeṅ uṭhā kar le jāne ke zimmedār haiṅ: 25 mulāqāt kā ḳhaimā, us kī chhat, chhat par rakhī huī taḳhas kī khāl kī poshish, ḳhaime ke darwāze kā pardā, 26 ḳhaime aur qurbāngāh kī chārdīwārī ke parde, chārdīwārī ke darwāze kā pardā, us ke rasse aur use lagāne kā bāqī sāmān. Wuh un tamām kāmoṅ ke zimmedār haiṅ jo in chīzoṅ se munsalik haiṅ. 27 Jairsoniyoṅ kī pūrī ḳhidmat Hārūn aur us ke beṭoṅ kī hidāyāt ke mutābiq ho. Ḳhabardār raho ki wuh sab kuchh ain hidāyāt ke mutābiq uṭhā kar le jāeṅ. 28 Yih sab mulāqāt ke ḳhaime meṅ Jairsoniyoṅ kī zimmedāriyāṅ haiṅ. Is kām meṅ Hārūn Imām kā beṭā Itamar un par muqarrar hai.”
Mirāriyoṅ kī Zimmedāriyāṅ
29 Rab ne kahā, “Mirārī kī aulād kī mardumshumārī bhī un ke ābāī gharānoṅ aur kunboṅ ke mutābiq karnā. 30 Un tamām mardoṅ ko rajisṭar meṅ darj karnā jo 30 se le kar 50 sāl ke haiṅ aur mulāqāt ke ḳhaime meṅ ḳhidmat ke lie ā sakte haiṅ. 31 Wuh mulāqāt ke ḳhaime kī yih chīzeṅ uṭhā kar le jāne ke zimmedār haiṅ: dīwār ke taḳhte, shahtīr, khambe aur pāe, 32 phir ḳhaime kī chārdīwārī ke khambe, pāe, meḳheṅ, rasse aur yih chīzeṅ lagāne kā sāmān. Har ek ko tafsīl se batānā ki wuh kyā kyā uṭhā kar le jāe. 33 Yih sab kuchh Mirāriyoṅ kī mulāqāt ke ḳhaime meṅ zimmedāriyoṅ meṅ shāmil hai. Is kām meṅ Hārūn Imām kā beṭā Itamar un par muqarrar ho.”
Lāwiyoṅ kī Mardumshumārī
34 Mūsā, Hārūn aur jamāt ke rāhnumāoṅ ne Qihātiyoṅ kī mardumshumārī un ke kunboṅ aur ābāī gharānoṅ ke mutābiq kī. 35-37 Unhoṅ ne un tamām mardoṅ ko rajisṭar meṅ darj kiyā jo 30 se le kar 50 sāl ke the aur jo mulāqāt ke ḳhaime meṅ ḳhidmat kar sakte the. Un kī kul tādād 2,750 thī. Mūsā aur Hārūn ne sab kuchh waisā hī kiyā jaisā Rab ne Mūsā kī mārifat farmāyā thā. 38-41 Phir Jairsoniyoṅ kī mardumshumārī un ke kunboṅ aur ābāī gharānoṅ ke mutābiq huī. Ḳhidmat ke lāyq mardoṅ kī kul tādād 2,630 thī. Mūsā aur Hārūn ne sab kuchh waisā hī kiyā jaisā Rab ne Mūsā ke zariye farmāyā thā. 42-45 Phir Mirāriyoṅ kī mardumshumārī un ke kunboṅ aur ābāī gharānoṅ ke mutābiq huī. Ḳhidmat ke lāyq mardoṅ kī kul tādād 3,200 thī. Mūsā aur Hārūn ne sab kuchh waisā hī kiyā jaisā Rab ne Mūsā ke zariye farmāyā thā. 46-48 Lāwiyoṅ ke un mardoṅ kī kul tādād 8,580 thī jinheṅ mulāqāt ke ḳhaime meṅ ḳhidmat karnā aur safr karte waqt use uṭhā kar le jānā thā.
49 Mūsā ne Rab ke hukm ke mutābiq har ek ko us kī apnī apnī zimmedārī sauṅpī aur use batāyā ki use kyā kyā uṭhā kar le jānā hai. Yoṅ un kī mardumshumārī Rab ke us hukm ke ain mutābiq kī gaī jo us ne Mūsā kī mārifat diyā thā.