28
Rozmarrā kī Qurbāniyāṅ
1 Rab ne Mūsā se kahā,
2 “Isrāīliyoṅ ko batānā, ḳhayāl rakho ki tum muqarrarā auqāt par mujhe jalne wālī qurbāniyāṅ pesh karo. Yih merī roṭī haiṅ aur in kī ḳhushbū mujhe pasand hai.
3 Rab ko jalne wālī yih qurbānī pesh karnā:
Rozānā bheṛ ke do yaksālā bachche jo beaib hoṅ pūre taur par jalā denā.
4 Ek ko subah ke waqt pesh karnā aur dūsre ko sūraj ke ḍūbne ke ain bād.
5 Bheṛ ke bachche ke sāth ġhallā kī nazar bhī pesh kī jāe yānī ḍeṛh kilogrām behtarīn maidā jo ek liṭar zaitūn ke kūṭ kar nikāle hue tel ke sāth milāyā gayā ho.
6 Yih rozmarrā kī qurbānī hai jo pūre taur par jalāī jātī hai aur pahlī dafā Sīnā Pahāṛ par chaṛhāī gaī. Is jalne wālī qurbānī kī ḳhushbū Rab ko pasand hai.
7-8 Sāth hī ek liṭar sharāb bhī nazar ke taur par qurbāngāh par ḍālī jāe. Subah aur shām kī yih qurbāniyāṅ donoṅ hī is tarīqe se pesh kī jāeṅ.
Sabat Yānī Hafte kī Qurbānī
9 Sabat ke din bheṛ ke do aur bachche chaṛhānā. Wuh bhī beaib aur ek sāl ke hoṅ. Sāth hī mai aur ġhallā kī nazareṅ bhī pesh kī jāeṅ. Ġhallā kī nazar ke lie 3 kilogrām behtarīn maidā tel ke sāth milāyā jāe.
10 Bhasm hone wālī yih qurbānī har hafte ke din pesh karnī hai. Yih rozmarrā kī qurbāniyoṅ ke alāwā hai.
Har Māh ke Pahle Din kī Qurbānī
11 Har māh ke shurū meṅ Rab ko bhasm hone wālī qurbānī ke taur par do jawān bail, ek menḍhā aur bheṛ ke sāt yaksālā bachche pesh karnā. Sab baġhair nuqs ke hoṅ.
12 Har jānwar ke sāth ġhallā kī nazar pesh karnā jis ke lie tel meṅ milāyā gayā behtarīn maidā istemāl kiyā jāe. Har bail ke sāth sāṛhe 4 kilogrām, har menḍhe ke sāth 3 kilogrām
13 aur bheṛ ke har bachche ke sāth ḍeṛh kilogrām maidā pesh karnā. Bhasm hone wālī yih qurbāniyāṅ Rab ko pasand haiṅ.
14 In qurbāniyoṅ ke sāth mai kī nazar bhī qurbāngāh par ḍālnā yānī har bail ke sāth do liṭar, har menḍhe ke sāth sawā liṭar aur bheṛ ke har bachche ke sāth ek liṭar mai pesh karnā. Yih qurbānī sāl meṅ har mahīne ke pahle din ke mauqe par pesh karnī hai.
15 Is qurbānī aur rozmarrā kī qurbāniyoṅ ke alāwā Rab ko ek bakrā gunāh kī qurbānī ke taur par pesh karnā.
Fasah kī Qurbāniyāṅ
16 Pahle mahīne ke chaudhweṅ din Fasah kī Īd manāī jāe.
17 Agle din pūre hafte kī wuh īd shurū hotī hai jis ke daurān tumheṅ sirf beḳhamīrī roṭī khānī hai.
18 Pahle din kām na karnā balki muqaddas ijtimā ke lie ikaṭṭhe honā.
19 Rab ke huzūr bhasm hone wālī qurbānī ke taur par do jawān bail, ek menḍhā aur bheṛ ke sāt yaksālā bachche pesh karnā. Sab baġhair nuqs ke hoṅ.
20 Har jānwar ke sāth ġhallā kī nazar bhī pesh karnā jis ke lie tel ke sāth milāyā gayā behtarīn maidā istemāl kiyā jāe. Har bail ke sāth sāṛhe 4 kilogrām, har menḍhe ke sāth 3 kilogrām
21 aur bheṛ ke har bachche ke sāth ḍeṛh kilogrām maidā pesh karnā.
22 Gunāh kī qurbānī ke taur par ek bakrā bhī pesh karnā tāki tumhārā kaffārā diyā jāe.
23-24 In tamām qurbāniyoṅ ko īd ke daurān har roz pesh karnā. Yih rozmarrā kī bhasm hone wālī qurbāniyoṅ ke alāwā haiṅ. Is ḳhurāk kī ḳhushbū Rab ko pasand hai.
25 Sātweṅ din kām na karnā balki muqaddas ijtimā ke lie ikaṭṭhe honā.
Fasal kī Kaṭāī kī Īd kī Qurbāniyāṅ
26 Fasal kī Kaṭāī ke Pahle Din kī Īd par jab tum Rab ko apnī fasal kī pahlī paidāwār pesh karte ho to kām na karnā balki muqaddas ijtimā ke lie ikaṭṭhe honā.
27-29 Us din do jawān bail, ek menḍhā aur bheṛ ke sāt yaksālā bachche qurbāngāh par pūre taur par jalā denā. Is ke sāth ġhallā aur mai kī wuhī nazareṅ pesh karnā jo Fasah kī Īd par bhī pesh kī jātī haiṅ.
30 Is ke alāwā Rab ko ek bakrā gunāh kī qurbānī ke taur par chaṛhānā.
31 Yih tamām qurbāniyāṅ rozmarrā kī bhasm hone wālī qurbāniyoṅ aur un ke sāth wālī ġhallā aur mai kī nazaroṅ ke alāwā haiṅ. Wuh beaib hoṅ.