29
Nae Sāl kī Īd kī Qurbāniyāṅ
1 Sātweṅ māh ke pandrahweṅ din bhī kām na karnā balki muqaddas ijtimā ke lie ikaṭṭhe honā. Us din narsinge phūṅke jāeṅ.
2 Rab ko bhasm hone wālī qurbānī pesh kī jāe jis kī ḳhushbū use pasand ho yānī ek jawān bail, ek menḍhā aur bheṛ ke sāt yaksālā bachche. Sab nuqs ke baġhair hoṅ.
3 Har jānwar ke sāth ġhallā kī nazar bhī pesh karnā jis ke lie tel ke sāth milāyā gayā behtarīn maidā istemāl kiyā jāe. Bail ke sāth sāṛhe 4 kilogrām, menḍhe ke sāth 3 kilogrām
4 aur bheṛ ke har bachche ke sāth ḍeṛh kilogrām maidā pesh karnā.
5 Ek bakrā bhī gunāh kī qurbānī ke taur par pesh karnā tāki tumhārā kaffārā diyā jāe.
6 Yih qurbāniyāṅ rozānā aur har māh ke pahle din kī qurbāniyoṅ aur un ke sāth kī ġhallā aur mai kī nazaroṅ ke alāwā haiṅ. In kī ḳhushbū Rab ko pasand hai.
Kaffārā ke Din kī Qurbāniyāṅ
7 Sātweṅ mahīne ke dasweṅ din muqaddas ijtimā ke lie ikaṭṭhe honā. Us din kām na karnā aur apnī jān ko dukh denā.
8-11 Rab ko wuhī qurbāniyāṅ pesh karnā jo isī mahīne ke pahle din pesh kī jātī haiṅ. Sirf ek farq hai, us din ek nahīṅ balki do bakre gunāh kī qurbānī ke taur par pesh kie jāeṅ tāki tumhārā kaffārā diyā jāe. Aisī qurbāniyāṅ Rab ko pasand haiṅ.
Jhoṅpṛiyoṅ kī Īd kī Qurbāniyāṅ
12 Sātweṅ mahīne ke pandrahweṅ din bhī kām na karnā balki muqaddas ijtimā ke lie ikaṭṭhe honā. Sāt din tak Rab kī tāzīm meṅ īd manānā.
13 Īd ke pahle din Rab ko 13 jawān bail, 2 menḍhe aur 14 bheṛ ke yaksālā bachche bhasm hone wālī qurbānī ke taur par pesh karnā. In kī ḳhushbū use pasand hai. Sab nuqs ke baġhair hoṅ.
14 Har jānwar ke sāth ġhallā kī nazar bhī pesh karnā jis ke lie tel se milāyā gayā behtarīn maidā istemāl kiyā jāe. Har bail ke sāth sāṛhe 4 kilogrām, har menḍhe ke sāth 3 kilogrām
15 aur bheṛ ke har bachche ke sāth ḍeṛh kilogrām maidā pesh karnā.
16 Is ke alāwā ek bakrā bhī gunāh kī qurbānī ke taur par pesh karnā. Yih qurbāniyāṅ rozānā kī bhasm hone wālī qurbāniyoṅ aur un ke sāth wālī ġhallā aur mai kī nazaroṅ ke alāwā haiṅ.
17-34 Īd ke bāqī chhih din yihī qurbāniyāṅ pesh karnī haiṅ. Lekin har din ek bail kam ho yānī dūsre din 12, tīsre din 11, chauthe din 10, pāṅchweṅ din 9, chhaṭe din 8 aur sātweṅ din 7 bail. Har din gunāh kī qurbānī ke lie bakrā aur māmūl kī rozānā kī qurbāniyāṅ bhī pesh karnā.
35 Īd ke āṭhweṅ din kām na karnā balki muqaddas ijtimā ke lie ikaṭṭhe honā.
36 Rab ko ek jawān bail, ek menḍhā aur bheṛ ke sāt yaksālā bachche bhasm hone wālī qurbānī ke taur par pesh karnā. In kī ḳhushbū Rab ko pasand hai. Sab nuqs ke baġhair hoṅ.
37-38 Sāth hī wuh tamām qurbāniyāṅ bhī pesh karnā jo pahle din pesh kī jātī haiṅ.
39 Yih sab wuhī qurbāniyāṅ haiṅ jo tumheṅ Rab ko apnī īdoṅ par pesh karnī haiṅ. Yih un tamām qurbāniyoṅ ke alāwā haiṅ jo tum dilī ḳhushī se yā mannat mān kar dete ho, chāhe wuh bhasm hone wālī, ġhallā kī, mai kī yā salāmatī kī qurbāniyāṅ kyoṅ na hoṅ.”
40 Mūsā ne Rab kī yih tamām hidāyāt Isrāīliyoṅ ko batā dīṅ.