14
Bedīn kī Hamāqat
Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie.
Ahmaq dil meṅ kahtā hai, “Allāh hai hī nahīṅ!” Aise log badchalan haiṅ, un kī harkateṅ qābil-e-ghin haiṅ. Ek bhī nahīṅ hai jo achchhā kām kare.
Rab ne āsmān se insān par nazar ḍālī tāki dekhe ki kyā koī samajhdār hai? Kyā koī Allāh kā tālib hai?
Afsos, sab sahīh rāh se bhaṭak gae. Sab ke sab bigaṛ gae haiṅ. Koī nahīṅ jo bhalāī kartā ho, ek bhī nahīṅ.
 
Kyā jo badī karke merī qaum ko roṭī kī tarah khā lete haiṅ un meṅ se ek ko bhī samajh nahīṅ ātī? Wuh to Rab ko pukārte hī nahīṅ.
 
Tab un par saḳht dahshat chhā gaī, kyoṅki Allāh rāstbāz kī nasl ke sāth hai.
Tum nāchār ke mansūboṅ ko ḳhāk meṅ milānā chāhte ho, lekin Rab ḳhud us kī panāhgāh hai.
 
Kāsh Koh-e-Siyyūn se Isrāīl kī najāt nikle! Jab Rab apnī qaum ko bahāl karegā to Yāqūb ḳhushī ke nāre lagāegā, Isrāīl bāġh bāġh hogā.