15
Kaun Allāh ke Huzūr Qāym Rah Saktā Hai?
Dāūd kā zabūr.
Ai Rab, kaun tere ḳhaime meṅ ṭhahar saktā hai? Kis ko tere muqaddas pahāṛ par rahne kī ijāzat hai?
Wuh jis kā chāl-chalan begunāh hai, jo rāstbāz zindagī guzār kar dil se sach boltā hai.
Aisā shaḳhs apnī zabān se kisī par tohmat nahīṅ lagātā. Na wuh apne paṛosī par ziyādatī kartā, na us kī be'izzatī kartā hai.
Wuh mardūd ko haqīr jāntā lekin ḳhudātars kī izzat kartā hai. Jo wādā us ne qasam khā kar kiyā use pūrā kartā hai, ḳhāh use kitnā hī nuqsān kyoṅ na pahuṅche.
Wuh sūd lie baġhair udhār detā hai aur us kī rishwat qabūl nahīṅ kartā jo begunāh kā haq mārnā chāhtā hai. Aisā shaḳhs kabhī ḍāṅwāṅḍol nahīṅ hogā.