25
Rab ke Ghar meṅ Mausīqāroṅ ke Guroh
Dāūd ne fauj ke ālā afsaroṅ ke sāth Āsaf, Haimān aur Yadūtūn kī aulād ko ek ḳhās ḳhidmat ke lie alag kar diyā. Unheṅ nabuwwat kī rūh meṅ sarod, sitār aur jhāṅjh bajānā thā. Zail ke ādmiyoṅ ko muqarrar kiyā gayā:
Āsaf ke ḳhāndān se Āsaf ke beṭe Zakkūr, Yūsuf, Nataniyāh aur Asarelāh. Un kā bāp guroh kā rāhnumā thā, aur wuh bādshāh kī hidāyāt ke mutābiq nabuwwat kī rūh meṅ sāz bajātā thā.
Yadūtūn ke ḳhāndān se Yadūtūn ke beṭe Jidaliyāh, Zarī, Yasāyāh, Simaī, Hasbiyāh, aur Mattitiyāh. Un kā bāp guroh kā rāhnumā thā, aur wuh nabuwwat kī rūh meṅ Rab kī hamd-o-sanā karte hue sitār bajātā thā.
Haimān ke ḳhāndān se Haimān ke beṭe Buqqiyāh, Mattaniyāh, Uzziyel, Sabuel, Yarīmot, Hananiyāh, Hanānī, Iliyātā, Jiddāltī, Rūmamtī-azar, Yasbiqāshā, Mallūtī, Hautīr aur Mahāziyot. In sab kā bāp Haimān Dāūd Bādshāh kā ġhaibbīn thā. Allāh ne Haimān se wādā kiyā thā ki maiṅ terī tāqat baṛhā dūṅgā, is lie us ne use 14 beṭe aur tīn beṭiyāṅ atā kī thīṅ.
Yih sab apne apne bāp yānī Āsaf, Yadūtūn aur Haimān kī rāhnumāī meṅ sāz bajāte the. Jab kabhī Rab ke ghar meṅ gīt gāe jāte the to yih mausīqār sāth sāth jhāṅjh, sitār aur sarod bajāte the. Wuh apnī ḳhidmat bādshāh kī hidāyāt ke mutābiq saranjām dete the. Apne bhāiyoṅ samet jo Rab kī tāzīm meṅ gīt gāte the un kī kul tādād 288 thī. Sab ke sab māhir the. Un kī muḳhtalif zimmedāriyāṅ bhī qurā ke zariye muqarrar kī gaīṅ. Is meṅ sab ke sāth sulūk ek jaisā thā, ḳhāh jawān the yā būṛhe, ḳhāh ustād the yā shāgird.
Qurā ḍāl kar 24 gurohoṅ ko muqarrar kiyā gayā. Har guroh ke bārah bārah ādmī the. Yoṅ zail ke ādmiyoṅ ke gurohoṅ ne tashkīl pāī:
1. Āsaf ke ḳhāndān kā Yūsuf,
2. Jidaliyāh,
10 3. Zakkūr,
11 4. Zarī,
12 5. Nataniyāh,
13 6. Buqqiyāh,
14 7. Yasarelāh,
15 8. Yasāyāh,
16 9. Mattaniyāh,
17 10. Simaī,
18 11. Azarel,
19 12. Hasbiyāh,
20 13. Sūbāel,
21 14. Mattitiyāh,
22 15. Yarīmot,
23 16. Hananiyāh,
24 17. Yasbiqāshā,
25 18. Hanānī,
26 19. Mallūtī,
27 20. Iliyātā,
28 21. Hautīr,
29 22. Jiddāltī,
30 23. Mahāziyot,
31 24. Rūmamtī-azar.
Har guroh meṅ rāhnumā ke beṭe aur kuchh rishtedār shāmil the.