26
Rab ke Ghar ke Darbān
1 Rab ke ghar ke sahan ke darwāzoṅ par pahrādārī karne ke guroh bhī muqarrar kie gae. Un meṅ zail ke ādmī shāmil the:
Qorah ke ḳhāndān kā fard Masalamiyāh bin Qore jo Āsaf kī aulād meṅ se thā.
2 Masalamiyāh ke sāt beṭe baṛe se le kar chhoṭe tak Zakariyāh, Yadiyael, Zabadiyāh, Yatniyel,
3 Ailām, Yūhanān aur Ilīhuainī the.
4-5 Obed-adom bhī darbān thā. Allāh ne use barkat de kar āṭh beṭe die the. Baṛe se le kar chhoṭe tak un ke nām Samāyāh, Yahūzabad, Yuāḳh, Sakār, Nataniyel, Ammiyel, Ishkār aur Fa'ūllatī the.
6 Samāyāh bin Obed-adom ke beṭe ḳhāndānī sarbarāh the, kyoṅki wuh kāfī asar-o-rasūḳh rakhte the.
7 Un ke nām utnī, rafāel, Obed aur Ilzabad the. Samāyāh ke rishtedār Ilīhū aur Samakiyāh bhī guroh meṅ shāmil the, kyoṅki wuh bhī ḳhās haisiyat rakhte the.
8 Obed-adom se nikle yih tamām ādmī lāyq the. Wuh apne beṭoṅ aur rishtedāroṅ samet kul 62 afrād the aur sab mahārat se apnī ḳhidmat saranjām dete the.
9 Masalamiyāh ke beṭe aur rishtedār kul 18 ādmī the. Sab lāyq the.
10 Mirārī ke ḳhāndān kā fard Hūsā ke chār beṭe Simrī, Ḳhilqiyāh, Tabaliyāh aur Zakariyāh the. Hūsā ne Simrī ko ḳhidmat ke guroh kā sarbarāh banā diyā thā agarche wuh pahlauṭhā nahīṅ thā.
11 Dūsre beṭe baṛe se le kar chhoṭe tak Ḳhilqiyāh, Tabaliyāh aur Zakariyāh the. Hūsā ke kul 13 beṭe aur rishtedār the.
12 Darbānoṅ ke in gurohoṅ meṅ ḳhāndānī sarparast aur tamām ādmī shāmil the. Bāqī Lāwiyoṅ kī tarah yih bhī Rab ke ghar meṅ apnī ḳhidmat saranjām dete the.
13 Qurā-andāzī se muqarrar kiyā gayā ki kaun-sā guroh sahan ke kis darwāze kī pahrādārī kare. Is silsile meṅ baṛe aur chhoṭe ḳhāndānoṅ meṅ imtiyāz na kiyā gayā.
14 Yoṅ jab qurā ḍālā gayā to Masalamiyāh ke ḳhāndān kā nām Mashriqī Darwāze kī pahrādārī karne ke lie niklā. Zakariyāh bin Masalamiyāh ke ḳhāndān kā nām Shimālī Darwāze kī pahrādārī karne ke lie niklā. Zakariyāh apne dānā mashwaroṅ ke lie mashhūr thā.
15 Jab qurā Junūbī Darwāze kī pahrādārī ke lie ḍālā gayā to Obed-adom kā nām niklā. Us ke beṭoṅ ko godām kī pahrādārī karne kī zimmedārī dī gaī.
16 Jab Maġhribī Darwāze aur Salakat Darwāze ke lie qurā ḍālā gayā to Suffīm aur Hūsā ke nām nikle. Salakat Darwāzā chaṛhne wāle rāste par hai.
Pahrādārī kī ḳhidmat yoṅ bāṅṭī gaī:
17 Rozānā Mashriqī Darwāze par chhih Lāwī pahrā dete the, Shimālī aur Junūbī Darwāzoṅ par chār chār afrād aur godām par do.
18 Rab ke ghar ke sahan ke Maġhribī Darwāze par chhih Lāwī pahrā dete the, chār rāste par aur do sahan meṅ.
19 Yih sab darbānoṅ ke guroh the. Sab Qorah aur Mirārī ke ḳhāndānoṅ kī aulād the.
Ḳhidmat ke lie Lāwiyoṅ ke Mazīd Guroh
20 Dūsre kuchh Lāwī Allāh ke ghar ke ḳhazānoṅ aur Rab ke lie maḳhsūs kī gaī chīzeṅ saṅbhālte the.
21-22 Do bhāī Zaitām aur Yoel Rab ke ghar ke ḳhazānoṅ kī pahrādārī karte the. Wuh Yihiyel ke ḳhāndān ke sarparast the aur yoṅ Lādān Jairsonī kī aulād the.
23 Amrām, Izhār, Habrūn aur Uzziyel ke ḳhāndānoṅ kī yih zimmedāriyāṅ thīṅ:
24 Sabuel bin Jairsom bin Mūsā ḳhazānoṅ kā nigarān thā.
25 Jairsom ke bhāī Iliyazar kā beṭā Rahabiyāh thā. Rahabiyāh kā beṭā Yasāyāh, Yasāyāh kā beṭā Yūrām, Yūrām kā beṭā Zikrī aur Zikrī kā beṭā Salūmīt thā.
26 Salūmīt apne bhāiyoṅ ke sāth un muqaddas chīzoṅ ko saṅbhāltā thā jo Dāūd Bādshāh, ḳhāndānī sarparastoṅ, hazār hazār aur sau sau faujiyoṅ par muqarrar afsaroṅ aur dūsre ālā afsaroṅ ne Rab ke lie maḳhsūs kī thīṅ.
27 Yih chīzeṅ jangoṅ meṅ lūṭe hue māl meṅ se le kar Rab ke ghar ko mazbūt karne ke lie maḳhsūs kī gaī thīṅ.
28 In meṅ wuh sāmān bhī shāmil thā jo Samuel Ġhaibbīn, Sāūl bin Qīs, Abinair bin Nair aur Yoāb bin Zarūyāh ne maqdis ke lie maḳhsūs kiyā thā. Salūmīt aur us ke bhāī in tamām chīzoṅ ko saṅbhālte the.
29 Izhār ke ḳhāndān ke afrād yānī kananiyāh aur us ke beṭoṅ ko Rab ke ghar se bāhar kī zimmedāriyāṅ dī gaīṅ. Unheṅ nigarānoṅ aur qāziyoṅ kī haisiyat se Isrāīl par muqarrar kiyā gayā.
30 Habrūn ke ḳhāndān ke afrād yānī Hasbiyāh aur us ke bhāiyoṅ ko Dariyā-e-Yardan ke maġhrib ke ilāqe ko saṅbhālne kī zimmedārī dī gaī. Wahāṅ wuh Rab ke ghar se mutālliq kāmoṅ ke alāwā bādshāh kī ḳhidmat bhī saranjām dete the. In lāyq ādmiyoṅ kī kul tādād 1,700 thī.
31 Dāūd Bādshāh kī hukūmat ke 40weṅ sāl meṅ nasabnāme kī tahqīq kī gaī tāki Habrūn ke ḳhāndān ke bāre meṅ mālūmāt hāsil ho jāeṅ. Patā chalā ki us ke kaī lāyq rukn Jiliyād ke ilāqe ke shahr Yāzer meṅ ābād haiṅ. Yariyāh un kā sarparast thā.
32 Dāūd Bādshāh ne use Rūbin, Jad aur Manassī ke mashriqī ilāqe ko saṅbhālne kī zimmedārī dī. Yariyāh kī is ḳhidmat meṅ us ke ḳhāndān ke mazīd 2,700 afrād bhī shāmil the. Sab lāyq aur apne apne ḳhāndānoṅ ke sarparast the. Us ilāqe meṅ wuh Rab ke ghar se mutālliq kāmoṅ ke alāwā bādshāh kī ḳhidmat bhī saranjām dete the.